Had se guZraa shab-e-furqat meN shab-e-taar kaa lut^f!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Had se guZraa shab-e-furqat meN shab-e-taar kaa lut^f!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

aaj ek Ghazal le kar HaaZ^ir huwaa hooN. is ko doosree meHfiloN meN pesh kar chukaa hooN magar yeh Ghazal (kam se kam meree teHreeree yaad-daasht ke Hisaab se!) is bazm ke liYe nayee hai. Ghazal kee "zameen" (shab-e-taar kaa lut^f, deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f) ba-z^aahir intihaayee saKht hai. ya'nee is meN she'r kehnaa baRaa hee mushkil ma'loom hotaa hai. KhuSooSa" nau-aamoz shaai'roN ke liYe is meN maZ^aameen nikaalnaa joo-e-sheer nikaalne ke baraabar lagtaa hai. aur yehee z^aahiree Soorat is ko yahaaN pesh karne kee wajh bh`ee hai. is ijmaal kee th`oRee see tafSeel yooN hai:

kayee meHfiloN meN iSlaaH kaa silsilah baa-qaa,i'dah chal rahaa hai. bohat see meHfiloN meN tabSirah aur tanqeed hee is kaam ko bilaa-waast^ah anjaam de rahe haiN. naYe shaai'roN ke liYe yeh silsile bohat kaar-aamad haiN. albattah agar un se kahaa jaaYe keh is Ghazal kee "t^araH" par fikr kareN to woh shaayad aisee himmat bh`ee karte huYe jh`ijh`ak meHsoos kareN ge. meraa mauqif yeh hai keh aisee mushkil t^araH meN bh`ee she'r kehnaa aisaa mushkil naheeN hai agar Zehn rasaa ho, shaai'ree ke bunyaadee uSool aate hoN aur Ghalat^ee karne se aap Khauf-zadah nah hoN!

aisee zameen meN she'r kehne ke liYe aap ko apnee naz^ar radeef aur qaafiyoN par har lamHeh rakh`nee ho gee, in meN posheedah maZ^aameen par Ghaur karnaa ho gaa, naYe imkaanaat talaash karne hoN ge, alfaaz^ kee :heraa-pheree: ke fan se waaqif hoN to mazeed aasaanee ho gee aur apne taSawwur ko be-lagaam ch`oR denaa ho gaa keh woh a'lam-e-baalaa se Dh`ooNd Dh`ooNd kar Khayaalaat laaYe aur is zameen kee Hudood meN unheN bayaan kare.

dekh`ne aur paRh`ne meN yeh kaam mushkil naz^ar aataa hai. lekin meHnat, shauq aur waqt se sab kaam aasaan ho sakte haiN. aisaa nah hotaa to Farhad doodh` kee nahar kh`odne ke chakkar meN jaan kyoN kh`apaataa? :-)

ab aap Ghazal paRh`iYe aur apnee raaYe se mujh` ko mustafeed keejiYe. is ke ba'd Khud bh`ee aisee hee kisee zameen meN t^aba'-aazmaayee keejiYe! aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. maiN ne nau-aamoz dostoN ke liYe mushkil alfaaz^ ke ma'nee bh`ee de diYe haiN.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=======================

Ghazal:

Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f
us meN shaamil huwaa jab deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f!

ho bayaaN kaise tiree shoKhee-e-guftaar kaa lut^f?
tere inkaar kee laZZat, tire iqraar kaa lutf!

vaqt ne Dh`aa diYe maaZ^ee ke sabh`ee baam-o-dar
Dh`ooNdte reh gaye ham saayah-e-deevaar kaa lut^f!

kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
deed say baRh` gayaa kyoN Hasrat-e-deedaar kaa lut^f!

ab nah pehlaa saa taGhaaful hai nah pehlaa saa Ghuroor
haaYe! jaataa rahaa voh roz ke aazaar kaa lut^f!

naa-shanaasaan-e-maqaamaat-e-Haram se pooch`o!
t^auf-e-Ka'bah se judaa kab huwaa zunnaar kaa lut^f?

kyoN kareN shikvah-e-be-mehree-e-yaaraan-e-vat^an?
ho gayaa is se sivaa pursish-e-aGhyaar kaa lut^f!

Zulf-e-ummeed-e-vafaa, kaakul-e-shabhaaYe-firaaq!
koyee pooch`e mire dil se rasan-o-daar kaa lut^f

kyaa hee purlut^f sunaayee hai yeh :Sarwar: ne Ghazal!
aa,iYe, leeji,Yye is gulshan-e-beKhaar kaa lut^f

--------------------------------------

shab-e-taar = taareek yaa aNdh`eree raat
deedah-e-KhooNbaar = Khoon ke aaNsoo rotee huyee aaNkh`
shoKhee-e-guftaar = baat karne ke andaaa kaa :chulbulaa-pan:
baam-e-dar = ch`at aur darwaaze ya'nee woh jis se raaHat th`ee
aazaar = takaaleef, dard
naashanaasaan-e-maqaamaat-e-Haram = woh log jo Haram (Ka'bah) kee Haqeeqat aur maqaam se naa-waaqif haiN
t^auf-e-Ka'bah = Ka'bah kaa t^awaaf (yeh i'baadat Hajj aur U'mrah kaa aham HiSSah hai)
zunnaar = "jane,oo" = woh mutabarrik dh`aagaa jo Brahmin gale meN Daale rehte haiN
shikwah-e-bemehree-e-yaaraan-e-wat^an = ham-wat^anoN kee sard-mehree kee shikaayat
pursish-e-aGhyaar = GhairoN kaa Haal pooch` lenaa
zulf = (meHboobah ke) baal
kaakul = baaloN kee woh pechdaar laT jo gaaloN par laTak aatee hai
rasan = rassee
daar = soolee
gulshan-e-beKhaar = aisaa baaGh jis meN kaNTe nah hoN
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob Waah Waah Naheed Saahibah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat,

Waah waah kyaa khoob ghazal hei. Waise aapki her ghazal hii hamaare liye aek mishAl-e-raah kii haiciat rakhti hei.


Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f
us meN shaamil huwaa jab deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f!


Bahut hii aAlaa mizaaj kaa Tanz hei. Bahut hii khoob hei yeh matlaA.


ho bayaaN kaise tiree shoKhee-e-guftaar kaa lut^f?
tere inkaar kee laZZat, tire iqraar kaa lutf!


Bahut umdah husn-e-maTlaA hei. Waaqaii luTf aagayaa.

vaqt ne Dh`aa diYe maaZ^ee ke sabh`ee baam-o-dar
Dh`ooNdte reh gaye ham saayah-e-deevaar kaa lut^f!


Waah waah, bahut khoob, agar is sheAr ko saans letaa houaa sheAr kahooN tou bejaa nah hougaa.

kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
deed say baRh` gayaa kyoN Hasrat-e-deedaar kaa lut^f!


Bahut hii meAyaari fikr aur andaaz-e-bayaan hei. Waah.

ab nah pehlaa saa taGhaaful hai nah pehlaa saa Ghuroor
haaYe! jaataa rahaa voh roz ke aazaar kaa lut^f!


MeHboob ke taghaaful aur gharoor kii aziyyat se luTf andouz hounaa yaqeenan hijr se behtar hei lekin bahut hii khoobsoorat andaaz meiN baandhaa gayaa hei yeh mazmoon.

naa-shanaasaan-e-maqaamaat-e-Haram se pooch`o!
t^auf-e-Ka'bah se judaa kab huwaa zunnaar kaa lut^f?


Bilkul bajaa hei agar zunnar kaa luTf bhii bandeh ko apne khaaliq kii Azmat kaa patah de kyaa harj hei.

kyoN kareN shikvah-e-be-mehree-e-yaaraan-e-vat^an?
ho gayaa is se sivaa pursish-e-aGhyaar kaa lut^f!


Shikwah na karte houe bhii be-mehriy-e-yaaraan-e-waTan kaa shikwah tou hou hii gayaa hei lekin pursish-e-aGhyaar se luTf uThane ki vajah se shikweh meiN aur bhii shiddat aagayi hei. Waah.

Zulf-e-ummeed-e-vafaa, kaakul-e-shabhaaYe-firaaq!
koyee pooch`e mire dil se rasan-o-daar kaa lut^f


Pahle miSreA ko majmooAi Taur per rasan-o-daar kehnaa bahut hii laTeef zauq-e-shaaAiri kaa meAyaar hei.

kyaa hee purlut^f sunaayee hai yeh :Sarwar: ne Ghazal!
aa,iYe, leeji,Yye is gulshan-e-beKhaar kaa lut^f


KiyooN nahiN, yeh ghazal yaqeenan aek gulshan-e-be-khaar kaa hii tou namoonah hei.

Aakhir meiN, dil o zubaan o qalam se daad o mubaarkabaad paish karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN.


Aapka mukhlis,
Nazir.
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

Husn-e-ittifaaq dekh`iYe keh aaj hee Tariq Hashmee SaaHeb se phone par guftgoo ke dauraan ma'loom huwaa keh woh bh`ee Jiddah meN ek muddat tak muqeem rahe th`e. ph`ir un se aap kaa taZkirah huwaa to unhoN ne bataayaa keh woh aap se baKhoobee waaqif haiN. dunyaa kis qadar muKhtaSar hai! ab`hee un se mulaaqaat naheeN ho sakee hai. mileN ge to yaqeena" aap se :bil-waast^ah: niyaaz HaaSil ho gaa.

aap ne jis faraaKh-dilee se meree is naacheez Ghazal kee daad dee hai woh mere liYe intihaayee faKhr-o-masarrat kaa baa,ic huyee. yeh Ghazal kehte waqt maiN Khud bh`ee bohat lut^f-andoz ho rahaa th`aa. kehne kee baat to naheeN hai lekin yeh :aamad: kee Ghazal hai aur mujh` ko bohat a'zeez hai. ab is kee qeemat meree naz^ar meN aap kee daad ke ba'd aur baRh gayee! shukriyah.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: Had se guZraa shab-e-furqat meN shab-e-taar kaa lut^f!

Post by Hashmat Usmani »

moHtaramii wa mukarramii janaab e Sarwar saaHib,

assalaam_o_'alaikum,

ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. jii, aapne bajaa farmaayaa ki taraHii misr'e par Ghazal goyii kaafii mushkil amr hai. aur is meN ash'aar kahnaa yaqeenan joo-e-sheer laane ke baraabar hai. aapkii Ghazal nazar guzaar karne ke ba'd yeh yeh baat waazeH ho gaii ki ustaadoN ke liye kuchh mushkil nahiiN. aapne ash'aar ke mazeen Khoob nikaale haiN aur yaqeenan aapne uska Haq adaa kar diyaa hai. merii jaanib se DheroN mubaarakbaad qubuul farmaaiye.

dekhiiye, agar aapkii du'aayeN shaamil e Haal rahiiN to maiN bhii tab'a aazmaayii karuuNga...magar jo ash'aar maiN nikaal paauuNga [agar nikaal paayaa to hii] vo maHez tiflaana kalaam hii hogaa. par koshish karne meN kia muqaaiqa hai.

mundarija zel ash'aar mujhe ba-nisbat Ghazal ke aur ash'aar ke ziyaada bhale lage, go ki, har she'r apnii jagah gohar hai.


Had se guZraa tiree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f
us meN shaamil huwaa jab deedah-e-KhooNbaar kaa lut^f!

ho bayaaN kaise tiree shoKhee-e-guftaar kaa lut^f?
tere inkaar kee laZZat, tire iqraar kaa lutf!

kaun samjh`aaYe, yeh samjh`aane kee baateN kab haiN?
deed say baRh` gayaa kyoN Hasrat-e-deedaar kaa lut^f!

kyoN kareN shikvah-e-be-mehree-e-yaaraan-e-vat^an?
ho gayaa is se sivaa pursish-e-aGhyaar kaa lut^f!

Zulf-e-ummeed-e-vafaa, kaakul-e-shabhaaYe-firaaq!
koyee pooch`e mire dil se rasan-o-daar kaa lut^f
Image
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

assalamoalikum!
sarvar sahib meree bhee aik adana si kaavish paish-e-khidmat hai-

chaand ki deed meN bhee hai tire deedaar ka lutf
dugna ho jaata hai yuuN eid ke tahvaar ka lutf

kon rokay ga mujhe dasht^navardee se aaj
ai pidar ! yaad mujhe aaya tiree maar ka lutf

meN zamaanay se tire vaastay haara huN agar
jeet se bhee hai ziaada miree is haar ka lutf


muntakhib raaz ne harchand keh ki sakht zameeN
aur hay is meN khayaalaat ke izhaar ka lutf

aaiye! kahye ghazal behr-e-ramal meN koee!!
leejiye aap bhee is lutf ke takraar ka lutf


shah! manzoor ho khushnoodi-e-Allah jinheN
ik chuvaaray se bhee laitay heN voh iftaar ka lutf


neelay rung meN qita'a darj hai
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah aur maAzirat

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat aur iHtiraam,


Ma'zirat khwaah hooN ke aapka javaab berwaqt nahiN pRhsaka. Aap ne likhkhaa tha:

(((Husn-e-ittifaaq dekh`iYe keh aaj hee Tariq Hashmee SaaHeb se phone par guftgoo ke dauraan ma'loom huwaa keh woh bh`ee Jiddah meN ek muddat tak muqeem rahe th`e. ph`ir un se aap kaa taZkirah huwaa to unhoN ne bataayaa keh woh aap se baKhoobee waaqif haiN. dunyaa kis qadar muKhtaSar hai! ab`hee un se mulaaqaat naheeN ho sakee hai. mileN ge to yaqeena" aap se :bil-waast^ah: niyaaz HaaSil ho gaa. )))

Aap ne Tariq Hashmee Saahib se phone per guftagu kaa zikr kiyaa thaa aur bataaya thaa ke wo mujh se bakhoobi waaqif heiN. Jee haaN wo mere aek junior saathi Naeem Haamid Ali ke shagird heiN (aur bar sabeel-e-tazkirah Naeem marhoom Jigar muraadi ke azeezaoN meiN se heiN). Tariq Hashmee bahut hii achche kirdaar ke maalik heiN aur shayistah zaouq rakhte heiN. Agar un se dobarah baat cheet ka mauqaA mile tou meri jaanib se salam aur duAaa farmaayiye. Bahut bahut shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply