maah e April ke liye shaa'ir ke naam tajveez kijiiye-shukria

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

maah e April ke liye shaa'ir ke naam tajveez kijiiye-shukria

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

yeh gosha e nau 'ataa farmaane ke liye ham aapke mamnoon haiN. par mera Khayaal se iskaa iftetaah bhii honaa ashadd zaroorii hai. merii raaye hai ki ek maah ke bajaaye ek hafte ke liye muddat rakkhii jaaye taakii aHbaab boriiyat ka shikaar na hoN. aap Khawaateen o Hazraat se merii guzaarish hai ki aap is tajveez par Ghaur o fikr farmaayeN aur apnii tajaaveez se hameN muttal'a bhii kijiiye. ai'n navaazish hogii. shukria.

neez, aap log apne pasandeedah shaa'ir kaa naam bhii tajveez farmaaiye taaki maah e april ke liye kisii ek shaa'ir kaa intiKhaab ho sake. peshgii shukria.

maiN apne maHboob shaa'ir ke naam kii naam-zadgii kii tajveez pesh karta huuN...aur vo haiN:


'allaamah Iqbaal

faqat muntazir e jawaabaat,

Hashmat
Image
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

assalam o alaikum hashmat sahib

MA SHA ALLAH buhut accha silsila hay . kia aisa nahi ho sakta tha keh koye say 3 shoara ka naam day deya jata aur jitnay loog vote detay . vote count ker kay us ko muntakhib ker kay us shaaer ka kalam pesh kia jata ya seedhi terah ik hi poet ka naam day deya jata .ham koye ziaadti to nahi ker rehay keh koye shaaer bara hay koye choota., her hafta kisi na kisi shaeer kay leye muntakhib hay . is terah to koye kuch kehay ga koye kuch . meri raye hay keh aap koye fix poet ya kam az kam ik do choice rakhain takeh log jawab jald day sakain aur topic mukhtalif khayalaat ka shikaar na ho jayee..

niaz mand

waqar masood
hello
Post Reply