kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?
Posted: Sat Feb 05, 2011 5:40 am
urdubandhan ke chaahne waaloN ko Khayaal kaa aadaab ,ek taazah kalaam aiHbaab kee Khidmat meN
arz kiya hai
kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?
Soorat se hai bezaar tuu , gardan bhee tanee hai
hai teraa jo farmaan wohee meraa hai kaihnaa
bheje meN tire kis liye yeh jaNg Thanee hai ?
ulfat kee tawaqqoA hai tujhe mujh se tow har pal
chehre peh tire phir bhee naheeN KhaNdah zanee hai
daa'Eee hai tuu ilm o adab shEr o suKhan kaa
kyuN teree zubaaN turshee o nafrat kee janee hai ?
nafrat kee agar dhoop ne jhulsaayaa hai tujh ko
aa meree muHabbat meN baRee chaaNowN ghanee hai
mil jul ke kareN kaam hum Allah kee raZaa meN
woh kaam "Khayaal" jis ke liye dunyaa banee hai
Ismail Ajaz Khayaal