Page 1 of 1

Ek ghazal urdu bandhan ke shaeqqeen ke liye

Posted: Thu Apr 07, 2011 8:51 pm
by Ehsan Raza
Apki samaatoN meN

Til bachey haiN na tel (oil) baqi hai
Ik faqat rail pail baqi hai

Gulshan-e- zeest ki munderoN per
Ek sookhi si bail baqi hai

Daore hazir ke na khuda se pooch
kiya koi aor fail baqi hai

Woh musafir jo saath chorh gaya
uski yadoN ki rail baqi hai

kash laot ayeN pal wo mazi ke
jin se sadiyoN ka mail baqi hai

KhooN ugaltee zameen pe Ehsan
Qatal_o_ gharat ka khel baqi hai

Re: Ek ghazal urdu bandhan ke shaeqqeen ke liye

Posted: Fri Apr 08, 2011 3:05 am
by sbashwar
Mohtaram Ehsan Raza Saheb
:salaam:

kash laot ayeN pal wo mazi ke
jin se sadiyoN ka mail baqi hai

Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Ek ghazal urdu bandhan ke shaeqqeen ke liye

Posted: Wed Apr 13, 2011 6:10 am
by Nayeem Khan
Iss khoobsurat ghazal par daad pesh hai.