مملکت خدادادِ پاکستان اور اسکی حالتِ زار آپکے غور و فکر کی نذر
ghar meN makeeN hai ko'ee , Emaarat kisee kee hai
abb hai nishaanah ko'ee ,Adaawat kisee kee hai
sho'AloN ke haiN bagoole dhuweN ke siyaah saHaab
jaltaa hai ghar kisee kaa sharaart kisee kee hai
maiN apnee justujoo meN wahaaN tak chalaa gayaa
jahaaN par Khudee kisee kee chaahat kisee kee hai
itnaa Ajeeb saaniHah paihle nah huwaa thaa
maiN jee rahaa hooN par abb ijaazat kisee kee hai
abb zindagee ko aise hai taskeen mil rahee
takleef meN hai ko'ee raaHat kisee kee hai
Zaahir meN hai sukoon par baatin hai beqaraar
kyaa apnee jaisee aur bhee Haalat kisee kee hai ?
kal aa'inah farosh ne aakar yeh dee Sadaa
hai apnee apnee shkl shabaahat kisee kee hai
islaam kaa da'Awaa hai muHabbat bhee hai "Khayaal"
Allah rasool sach hai itaa'At kisee kee hai
Ismail Ajaz Khayaal
مملکت خدادادِ پاکستان اور اسکی حالتِ زار آپکے غور و فکر ک
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- ismail ajaz
- -
- Posts: 436
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
مملکت خدادادِ پاکستان اور اسکی حالتِ زار آپکے غور و فکر ک
- Attachments
-
- jaltaa hai ghar kisee kaa sharaarat kisee kee hai.gif (200.22 KiB) Viewed 136 times
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)