" charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

" charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

Post by ismail ajaz »

ilm o adab ilm e Arooz shEr shaaEree aur uskee Khidmat ke daAwedaaroN ko Khayaal kaa salaam
Arz Khidmat hai


Khud apne raaste mushkil banaa diye tuu ne
har ek samt hee kaaNTe bichaa diye tuu ne

adab ke naam peh dunyaa ko teergee dekar
" charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

tamaam umr tuu taihZeeb kaa banaa paikar
pas e Khayaal sabaq bhee bhulaa diye tuu ne

agar hai naaz bohot , Husn par tujhe apne
tow kyuN sab aa'ine ghar se haTaa diye tuu ne

Zaraa see chauT lagee jis peh tuu taRaptaa hai
kaleje sochaa keh kitne jalaa diye tuu ne

tuu sachchee baat se bezaar horahaa hai kyuN ?
jo mere lafz the sachche miTaa diye tuu ne

baRaa kamaal kiyaa tuu ne zindagee bhar meN
jo tere dost the dushman banaa diye tuu ne

tuu saath detaa hai shayetaan kaa jabhee insaaN
Khudaa ke madd e muqaabil biThaa diye tuu ne

Khirad kee baat ko aihl e junoon kyaa jaaneN
"Khayaal" kin ko yeh qiSSe sunaa diye tuu ne

Ismail Ajaz Khayaal
Attachments
charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne.gif
charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne.gif (26.95 KiB) Viewed 270 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
azeezbelgaumi
-
-
Posts: 420
Joined: Thu Apr 05, 2007 2:52 pm
Location: BANGALORE INDIA
Contact:

Re: " charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

Post by azeezbelgaumi »

bahut khoob
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: " charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

Post by ismail ajaz »

"azeezbelgaumi"]bahut khoob
janaab moHtaram "azeezbelgaumi" SaaHeb
aap kaa beHad shukriyah .Allah paak aap ko dunyaa o aaKhirta kee izzatoN se nawaaze
mamnoon

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Tanwir Phool
-
-
Posts: 2218
Joined: Sun May 30, 2010 5:06 pm
Contact:

Re: " charaaGh Aql o Khirad ke bujhaa diye tuu ne "

Post by Tanwir Phool »

SUBHAAN ALLAH , bahut khoob Khayaal sb.
Daad aur dili mubaarakbaad qabool keeji'ey
Mukhlis
Tanwir Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.abitabout.com/Tanwir+Phool
http://duckduckgo.com/Tanwir_Phool
http://www.allaboutreligions.blogspot.com
Post Reply