Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam

Kalaam jis per vazn kii qaid nahiN
Post Reply
Brijinder
-
-
Posts: 86
Joined: Mon Jul 04, 2005 9:02 pm
Contact:

Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam

Post by Brijinder »

Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam


Raakh barsaygi aasmaanoN say
Fizaa main bhar jaygi qabroN ki haddiaN
Apna hi lahu bahayga dariya dariya
NiklayNgay naNgay jism murdoN kay juloos

Kuttay roaiNgay muhN aflaaq pay dhar kar
Aur raqs karyNgi siyaaroN ki hookaiN
Aankh barsa karygi naalioN kay keerhay
Shab peeti phiraygi sooraj ki kay.
-------------------------------

User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 404
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam

Post by ismail ajaz »

Brijinder wrote:Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam


Raakh barsaygi aasmaanoN say
Fizaa main bhar jaygi qabroN ki haddiaN
Apna hi lahu bahayga dariya dariya
NiklayNgay naNgay jism murdoN kay juloos

Kuttay roaiNgay muhN aflaaq pay dhar kar
Aur raqs karyNgi siyaaroN ki hookaiN
Aankh barsa karygi naalioN kay keerhay
Shab peeti phiraygi sooraj ki kay.
-------------------------------

janaab Brijinder SaaHeb

aadaab

mujhe aap kee yeh nazm paRh kar Hayerat hu'ee ,bohot der tak sochtaa rahaa ,aapkee yeh nazm kamaal kee hai iss meN aap ne qaayamaat kaa manzar keNchaa hai nafaa nafsee kaa Aalam pahaaRoN kaa rezah rezah hokar ro'ee ke gaaloN kee taraH hawaa meN bikharnaa har taraf gard o GHubaar kaa chhaa janaa ,kuttoN kaa aasmaan kee jaanib dekh kar rownaa maujoodah SCIENCE kee taiHqeeq hai keh jab ko'ee aafat zameen par aatee hai jiskaa kaaran insaan hee hotaa hai uske karam hote haiN ,jaise zalzale toofaan waGhairah tow jaanwaroN ko paihle se Khabar ho jaatee hai aur woh Ajeeb Ajeeb HarkateN karne lagte haiN kutte billiyaaN rowte haiN aur doosre baRe jaanwar us Elaaqe se bhaagnaa shuroo kar dete haiN magar GHaafil insaan apnee badmastiyoN meN hee paRaa raihtaa hai keh "eeN dilee duur ast" aur phir tabaahee o barbaadee use aise gale lagaatee hai keh SadiyoN tak ibbrat taareeKh kaa HiSSah ban jaatee hai
aur shaaEroN ke baare meN aap ne bilkul sach kahaa keh Hasrat o yaas kee hook aisee unke diloN meN uThe gee keh apne payedah hone par maatam kareN ge keh kyuN unhooN ne Khuraafaat meNM apnee umr kaaT dee
sooraj sawaa neze par hogaa jiskee tapash se insaan kabaab ho jaa'eN ge
kyaa baat hai SaaHeb kabhee kabhee meraa Allah shoArah kee zubaan se Khud kaihlwaa kar Hujjat tamaam kar detaa hai keh dekho ba'Ad meN mat kaihna keh humko tow kisee ne Khabar hee nah kee thee

Brijinder SaaHeb meree jaanib se DheroN daad aap kee Khidmat meN keh jo bhee likhaa hai Khoob likhaa hai

Khair andesh

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply