بیاں کسی طرح روداد بیکسی bayaaN kisee t^araH roodaad

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

بیاں کسی طرح روداد بیکسی bayaaN kisee t^araH roodaad

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: salaam

ek Ghazal pesh-e-Khidmat hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
=====================
Ghazal

bayaaN kisee t^araH roodaad-e-bekasee nah huyee
woh saamne the mire aur baat bhee nah huyee!

kabhee nah bhool ke poochhaa kisee ne Haal miraa
yeh dostee hai to phir koyee dostee nah huyee

a'jeeb Haal thaa dil kaa mire shab-e-hijraaN
Khayaal-o-Khwaab kee phir aisee raushanee nah huyee!

hazaar baar saNbhaalaa, hazaar samjhaayaa
magar yeh dil! keh Khalish meN koyee kamee nah huyee

guzar gayee yooNhee dunyaa meN zindagee apnee
kabhee sukoon kee Soorat huyee, kabhee nah huyee!

ba-yaad-e-weHshat-e-hijraaN, ba-yaad-e-Hasrat-e-dil
basar Hayaat huyee aur kuchh buree nah huyee!

sukoon-e-qalb kee maaNgee to thee du,a'a ik din
phir us ke ba'd koyee aarzoo kabhee nah huyee!

"nah soz hai tire dil meN, nah saaz fit^rat meN"
yeh zindagee tiree "Sarwar" to zindagee nah huyee!

======================
[/size][/b]
Attachments
gg-bayaaNkiseetarah_cr.gif
gg-bayaaNkiseetarah_cr.gif (18.31 KiB) Viewed 207 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply