salaam/aadaab saathiyo,
dil thaam ke baiThiye ki ek aur naGhma jaa raha hai aapke simt jise aap gunguna kar thak jaayeNge par dil nahiiN bharegaa [please, ise job par na gaaiyega varna.....SEE at the bottom for WHAT?]
yeh naGhma filam "Phir Vohi Dil Laayaa huuN" se liya hai maiN ne. yeh film Naasir Husain kii banaai hui thii jo tafreehi aur musical aur halki phulki filmeN banaate the aur baRa naam kamaayaa tha. O.P. Naiyar mausiqaar haiN. gulukaar haiN Mohd. Rafi aur Asha Bhosle. naGhma_nigaar MajrooH Sultaanpurii haiN:
Rafi: door bahut mat jaaiye, leke qaraar hamaaraa
aisaa na ho koii looT le raah meN pyaar hamaaraa
Asha: paas raho yaa duur tum, tum ho saath hamaare
deNge gawaahii, poochh lo! ye Kaamosh nazaare
Rafi: naazniiN baRaa raNgiN hai va'da tiraa
o HasiiN!, hai kidhar kaa iraada tiraa! -2
aaNkh muRtii huii, zulf uRtii huii
faasla kiuN hai ziyaada tiraa
Asha: o ham_dam mire, khel na jaano chaahat ke iqaraar ko
jaan-e-jahaaN! yaad karoge! ik din mire pyaar ko
chhaaye ho, mere dil pe, nazar pe tumhiN
aaj to, merii ulfat kaa kar lo yaqiN
ae jii! ham se tumheN ik lagaavaT to hai
tumheN ham se mohabbat nahiiN
Rafi: ham_safar! tuu hii meraa hai lekin sanam
saath meN! haiN kisii ajnabii ke qadam -2
merii uljhan yuNhi be_sabab to nahiiN
dil kii be_taabiyoN kii kasam
Asha: ham_dam mere! khel na jaano! chaahat ke iqaraar ko
jaan-e-jahaaN! yaad karoge! ik din mire pyaar ko
varna.....saara jahaaN is gaane ka deevaana ho jaayeg!!!!!
Hashmat Usmani
OLD is GOLD series #2...Raf'ii/Asha/MajrooH/OP Naiyar
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam Saara,
kaisi haiN? haN, aapne saHeeH kahaa yeh naGhma bahot Khoobsoorat hai aur Raf'ii saaHib kii aawaaz ne kia jaadoo jagaaye haiN. simply, zabardast!
dar_asl, maiN yeh naGhma #3 par post karne waalaa thaa magar achchha kiyaa aapne post kar diyaa, mera kaam halka karne ke liye aapkaa bahot bahot shukria!'
Hashmat
kaisi haiN? haN, aapne saHeeH kahaa yeh naGhma bahot Khoobsoorat hai aur Raf'ii saaHib kii aawaaz ne kia jaadoo jagaaye haiN. simply, zabardast!
dar_asl, maiN yeh naGhma #3 par post karne waalaa thaa magar achchha kiyaa aapne post kar diyaa, mera kaam halka karne ke liye aapkaa bahot bahot shukria!'
Hashmat
