Page 1 of 2

EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Sun Apr 03, 2005 11:36 pm
by najma
sathiyo!
ek ghazal k saath is ummeed par hazir hooN ,keh apkopasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa ki bhi muntazir rahoongii.
:-)

1=ho sake to mehrbaaN! mujh par ik ehsaaN kijiye
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey

2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey

3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey

4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey

5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey

6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey

:NAJJMA ANSAR NAJMA

Posted: Mon Apr 04, 2005 10:44 am
by Raji
Azeezi Najma jee
Aadaab-o-tasleemat,

umeed az mizaaj bakhair hasb-e-mamool, hasb-e-rivayaat aur hasb-e-aadaat aap ek baar phir ek khoobsoorat kalam ke saat Hazir hooveN aur hameN khosh kar gaheN. :-)

tamaam hee ashaar ache lage.
ek darkhwaast hai ke roman version ko gif na baneN taa ke hameN apne pasandeeda ashaar quote karne meN aasaani ho.

meree janib se ek khoobsoorat ghazal kee peshkash par daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Mon Apr 04, 2005 12:00 pm
by najma
Raji wrote:Azeezi Najma jee
Aadaab-o-tasleemat,

umeed az mizaaj bakhair hasb-e-mamool, hasb-e-rivayaat aur hasb-e-aadaat aap ek baar phir ek khoobsoorat kalam ke saat Hazir hooveN aur hameN khosh kar gaheN. :-)

tamaam hee ashaar ache lage.
ek darkhwaast hai ke roman version ko gif na baneN taa ke hameN apne pasandeeda ashaar quote karne meN aasaani ho.

meree janib se ek khoobsoorat ghazal kee peshkash par daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

1=ho sake to aap mujh par ek ehsaaN kijiye
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey

2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey

3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey

4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey

5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey

6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey

:NAJJMA ANSAR NAJMA

raji jaan!
wa alaikum assalaam
aapki itni pur kholoos hausla afzaaee be-had shukriya
hukm ki ta,meel meiN, ghazal baGhair gif ke bhi haazir hay :oops: .aainda khayaal rak,khoongii .====wa,daa :cry:
:wink:

Bahut khoob, waah waah

Posted: Mon Apr 04, 2005 4:59 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramah Najma Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behut pasand aayi. Saare ashAar pasand aaye. MaiN is ghazal per tabsirah karte houe yeh bataadenaa chaahtaa hooN ke maiN usko aek kuhnah mashq shayer kii ghazal samajhkar apni raaye pesh karraha hooN jis se aapka muttafiq hounaa zaroori nahiN. Agar aap paRhengi tou kuch nah kuch faa'idah uThaasakengi aur agar rad kardengi tou na aapka nuqsaan houaa nah meraa.

1-Housake tou aap mujh per aek iHsaaN keejiye
aap heiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN keejiye.

Mafhoom ke liHaaz se bahut hii achcha maTlaA hei. Alfaaz ke liHaaz se dounoN misraAoN meiN lafz aap ki takraar theek nahiN hei. Pahle misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
Housake tou mehrbaaN mujh per yeh iHsaaN keejiye
2-mausam-e-gul kaa taqaaza hei ba'unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah houN khud ko ghazalkhwaaN keejiye

Yeh sheAr bhii achchaa hei. Lafz "agar" kaa isteAmal aap ne agar is qasd se kiyaa hei ke samajhne waalaa yeh samjhe ke basharT yeh ke yaa us haalat meiN ke agar hamraah aanaa houaa tou. Warnah lafz "agar" kii jagah "jab" munaasib hougaa.
3-Shiddat-e-iHsaas se her aankh lau dene lage
dil ke daaghaoN ko kuch is soorat numaayaaN keejiye

Waah waah, bahut achcha sheAr hei.
4-dekhkar unko pashemaan-e-jafaa kehtaa hei dil
nazr-e-husn-e-doust phir naqd-e-dil o jaaN keejiye

Yeh sheAr bhii bahut achchaa hei. Doosre misreA mein husn-e-doust kii jagah mandarjae zail alfaaz isteAmaal kiye jaasakte heiN:
Chashm-e-doust, luTf-e-doust, waghairah.
5-Asr-e-nau ke aadami ke muZmaHil iHsaas ko
mashAal-e-ieecaar ki Zau se farouzaaN keejiye

Bahut achcha sheAr hei.
6-zindagi ke aayienah-khaane pah hou kuch yooN nazar
khud bhii houN Hairaan, :Najmah: ko bhii hairaaN keejiye.

MaqTaA bhii bahut achchaa hei.

Is bahut hii achchi ghazal per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Re: Bahut khoob, waah waah

Posted: Tue Apr 05, 2005 11:57 pm
by najma
WEBMASTER wrote:
MuHtaramah Najma Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behut pasand aayi. Saare ashAar pasand aaye. MaiN is ghazal per tabsirah karte houe yeh bataadenaa chaahtaa hooN ke maiN usko aek kuhnah mashq shayer kii ghazal samajhkar apn raaye pesh karraha hooN jis se aapka muttafiq hounaa zaroori nahiN. Agar aap paRhengi tou kuch nah kuch faa'idah uThaasakengi aur agar rad kardengi tou na aapka nuqsaan houaa nah meraa.

1-Housake tou aap mujh per aek iHsaaN keejiye
aap heiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN keejiye.

Mafhoom ke liHaaz se bahut hii achcha maTlaA hei. Alfaaz ke liHaaz se dounoN misraAoN meiN lafz aap ki takraar theek nahiN hei. Pahle misreA ko yooN kiyaa jaasaktaa hei:
Housake tou mehrbaaN mujh per yeh iHsaaN keejiye
2-mausam-e-gul kaa taqaaza hei ba'unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah houN khud ko ghazalkhwaaN keejiye

Yeh sheAr bhii achchaa hei. Lafz "agar" kaa isteAmal aap ne agar is qasd se kiyaa hei ke samajhne waalaa yeh samjhe ke basharT yeh ke yaa us haalat meiN ke agar hamraah aanaa houaa tou. Warnah lafz "agar" kii jagah "jab" munaasib hougaa.
3-Shiddat-e-iHsaas se her aankh lau dene lage
dil ke daaghaoN ko kuch is soorat numaayaaN keejiye

Waah waah, bahut achcha sheAr hei.
4-dekhkar unko pashemaan-e-jafaa kehtaa hei dil
nazr-e-husn-e-doust phir naqd-e-dil o jaaN keejiye

Yeh sheAr bhii bahut achchaa hei. Doosre misreA mein husn-e-doust kii jagah mandarjae zail alfaaz isteAmaal kiye jaasakte heiN:
Chashm-e-doust, luTf-e-doust, waghairah.
5-Asr-e-nau ke aadami ke muZmaHil iHsaas ko
mashAal-e-ieecaar ki Zau se farouzaaN keejiye

Bahut achcha sheAr hei.
6-zindagi ke aayienah-khaane pah hou kuch yooN nazar
khud bhii houN Hairaan, :Najmah: ko bhii hairaaN keejiye.

MaqTaA bhii bahut achchaa hei.

Is bahut hii achchi ghazal per meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

mohtaram abdullaah nazir sahib!
assalam-0-alaikum
aap ki is shafqat bharii daad aur islaahii mashware ki dil se qadr karte huey, aap k us qeematii waqk ke liye bhi mamnoon, jo aap ne apni masroofiyaat k bawujood is naa cheez ke liye sarf kiya.
allaah aapko sehat-o-salamati k saath umre daraaz ata farmaey, aur aap hamarii rahbarii farmate raheN.
aameen
:-)
khair andesh
najma

Re: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Thu Apr 07, 2005 11:53 am
by najma
sara_j wrote:
najma wrote:sathiyo!
ek ghazal k saath is ummeed par hazir hooN ,keh apkopasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa ki bhi muntazir rahoongii.
:-)

Beshak! zaroor pasand ayegi, akhir kyun pasand nahi ayegi bhala 8)

1=ho sake to aap mujh par ek ehsaaN kijiye ( :wink: bas aek hi ehsaan na!)
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey

bohat khoob! bohat khoobsurat matla kaha aapne!

2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey

waah! bohat khoob!

3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey

bohat khoob najma ji kya kehne!

4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey

very nice!

5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey

bohat ache!

6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey

wah wah!

:NAJJMA ANSAR NAJMA
Najma ji is haseen ghazal per daad o mubarakbaad qubool keejiye.

sara

sara j
:shock:
aap ne daad kuch ziyada hi naheeN dedee bhala? :oops:
bohat shukriya sara j
khush rahiye
:-)

Posted: Thu Apr 07, 2005 11:31 pm
by asad
Najma Sahiba Adab! :-)

iss behad murassaa' kalaam pe nacheez ki daad bhi qubool farmaayeiN!

khairaNdesh
asad

Re: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Fri Apr 08, 2005 1:26 am
by Hashmat Usmani
salaam Najma saaHiba,

aapkii Ghazal nazar se guzrii aur paRh kar bahot pasand aayii. moHtaram Naazir saaHib kii aaraa ke ba'd ab ham aur kia kah sakte haiN. aapkaa kalaam bahot nafees hai aur merii jaanib se DheroN mubaarakbaad qubool kijiiye.

Hashmat

Posted: Sat Apr 09, 2005 8:28 pm
by najma
asad wrote:Najma Sahiba Adab! :-)

iss behad murassaa' kalaam pe nacheez ki daad bhi qubool farmaayeiN!

khairaNdesh
asad
asad sahib!
is pur-khuloos hausla-afzaaee aur daa k liye maiN aap kii be-had mamnoon hooN.
khair andesh
najma
:-)

Posted: Tue Apr 12, 2005 3:51 pm
by najma
asad wrote:Najma Sahiba Adab! :-)

iss behad murassaa' kalaam pe nacheez ki daad bhi qubool farmaayeiN!

khairaNdesh
asad
asad sahib!
itnii pur-khuloos daad-o-tehseen ke liye apki be-had mamnoon hooN.aainda bhi hausla-afzaae farmate rahiye
shukriya
:-)

aoa

Posted: Tue Apr 12, 2005 5:16 pm
by Dawood_Rizwan
mashaallah najma ji

mujay zati toor par teesra sher bhuhat acha laga. dad qabool kijay
rizwan

janab dawood rizwan sahib
bohat shukriya.
poori ghazal me se 1 she,r bhi pasand ka nikal aaey to baRii baat hotii hay.
apko pasand aya.bohat shukriya
:-)

Posted: Wed Apr 13, 2005 4:18 am
by zmufti
Najma jee,
Aap ki ghazal behad pasand aayi dad qabool kijye
I like the 2nd last best
zarqa

Posted: Thu Apr 14, 2005 5:43 am
by Ibn-e-siddique
Najma baji

aap ki ye ghazal mujhe pasand aayee

meri jaanib se daad Haazir hai, zaroor qubool keejiye ga :)

amjad

Re: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Thu Apr 14, 2005 9:00 pm
by najma
Hashmat Usmani wrote:salaam Najma saaHiba,

aapkii Ghazal nazar se guzrii aur paRh kar bahot pasand aayii. moHtaram Naazir saaHib kii aaraa ke ba'd ab ham aur kia kah sakte haiN. aapkaa kalaam bahot nafees hai aur merii jaanib se DheroN mubaarakbaad qubool kijiiye.

Hashmat
biradaram!
aapki is hausla-afzaaee k liye be-had mamnoon hooN.bohat shukriya.
khair andesh
najma

Re: aoa

Posted: Fri Apr 15, 2005 9:26 pm
by najma
Dawood_Rizwan wrote:mashaallah najma ji