pas-e-marg mere mazaar par jo charaaGh kisii ne jalaa diyaa
use, aah! daaman-e-baad ne sare shaam hii se bujhaa diyaa
mujhe dafn karnaa tu jis ghaRii, to ye us se kahnaa ki, ai parii!
vo jo teraa 'aashiq-e-zaar thaa, tah-e-Khaak usko dabaa diyaa
dam-e-Gusl se mere peshtar, use ham_damoN ne ye soch kar
kahiiN jaave us kaa na dil dahel, merii laash par se haTaa diyaa
merii aaNkh jhapkii thii ek pal, mere dil ne chaahaa ki uTh ke chal
dil-e-be_qaraar ne, o miyaaN! vahiiN chuTkii le ke jagaa diyaa
zaraa un kii shoKhii to dekhiye, liye zulf-e-Kham_shuda haath meN
mere piichhe aaye dabe-dabe, mujhe "saaNp!" kah ke Daraa diyaa
maiN ne dil diyaa, maiN ne jaan dii; magar, aah! tu ne na qadr kii
kisii baat ko jo kahaa kabhii, use chuTkiiyoN meN uRaa diyaa
pas-e-marg mere mazar par jo charaGh kisi ne jala diya-Zafar
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact: