salaam dosto,
abhii kal hii Maaham saaHiba ne ek laRii meN jo she'r raqam kiyaa thaa vo mujhe bahot bhaayaa hai kiuNki maiN tab bhii yeh ash'aar gungunaataa thaa ek filmii naGhme kii soorat meN aur aaj bhii ek Ghazal ke pairaahan meN.
yeh Ghazal SaaHir Ludhianvii kii hai magar is Ghazal ka ek aur roop bhi hai jise SaaHir saaHib ne Khud kahii thii ba_taur e naGhma film "ek maHal ho sapnoN kaa" ke liye. gaane aur Ghazal meN aap dekhiiye kaise aur kitnaa farq hai.
to pahle Ghazal mulaaHizah farmaaiye, uske ba'd maiN is Ghazal ke gaane kii soorat pesh paruuNga jise film ke liye Ravii kii mausiiqii meN Kishore Kumar ne baGhma_saraaii kii thii:
GHAZAL:
dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
chehre tamaam lagne lage haiN 'ajiib se
is rengtii Hayaat kaa kab tak uThaayeN baar
biimaar ab ulajhne lage haiN tabiib se
har gaam par hai majm'a-e-'ushshaaq muntazir
maqtal kii raah miltii hai kuu-e-Habiib se
is tarHa zindagii ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise koii nibaah rahaa ho raqiib se
ai ruuH-e-asar jaag! kahaaN so rahii hai tuu!!
aawaaz de rahe haiN payambar saliib se
NAGHMA:
dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
chehre tamaam lagne lage haiN 'ajiib se
kahne ko dil kii baat jinheN DhuunDhte the ham - 2
maHfil meN aa gaye haiN vo apne nasiib se
dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
niilam ho rahaa thaa kisii naazniiN kaa pyaar - 2
qiimat nahiiN chukaaii gaii ik Ghariib se
dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
terii vafaa kii laash pe laa maiN hii Daal duuN - 2
resham kaa yeh kafan jo milaa hai raqiib se
dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qariib se
dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se-SaaHir Ludhianvii
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact: