mujh se pahlii si moHabbat mere maHbuub na maaNg...Faiz

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

mujh se pahlii si moHabbat mere maHbuub na maaNg...Faiz

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

aapkii pesh_kash jai Faiz kii ek nazm jise malka-e-tarannum ne apnii dil_kash aawaaz se film "Qaidi" ke liye sajaayaa thaa. kahte jaiN ki Fauz saaHib ko Noor JahaaN kii is nazm kii naGhma_saraaii is qadar bhali lagii ki unhoN ne is nazm ko mausoofa kii nazar kar dii.

yehii nazm malka-e-tarannum ne 38 saal ke ba'd jab vo apne Hindustan ke daure par gaiiN to saare HindustaniyoN kii farmaaish par hazaaroN ke majme ke saamne nagHma_saraaii kii jis par taaliyoN ke shor se saaraa Haal goonj uTTha aur dusre roz aKhbaaroN kii surKhii banii...har aKhbaar Har risaale par unkii tasveer par yeh jumla chaspaaN thaa..."bulbul-e-Hind_o_Pak SINGS...and CAPTURES the NATION"

ek aur maze kii baat bataataa chaluN. Noor JahaaN Ji ek roz us ghar ko dekhne ke liye gaiiN jis meN voh 38 baras pahle apnii Bombay kii sukoonat ke dauraan barsoN rahii thiiN. us ghar meN aapko yaqeen nahiiN aayegaa ki ab kaun rahtaa hai...mere chacha_zaad bhaaii rahte jaiN. Pakistan jaane se pahle unhoN ne vo ghar mere chacha jaan ko de kar gaii thiiN. yeh makaan muslim waqf board ka thaa aur aaj bhi hai. mere chacha jaan BOLLYWOOD se vaabasta the aur Noor JahaaN Ji se unkii rasm o raah thii...unkii filmoN meN Noor JahaaN Ji ne kaam bhii kiyaa thaa. 1975 meN mere chacha jaan ne tabliiGhi jamaa'at JOIN kar li aur BOLLYWOOD hameshaa ke liye chhoR diyaa...unke bachchoN ne chand ek aur filmeN banaaiiN magar kaamiyaabi nahiN mili so yeh sab film industry se nikal aaye...AlHamdolillah ki unheN hidaayat mili.



mujh se pahlii sii moHabbat mere maHbuub na maaNg


maiN ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKhshaaN hai Hayaat
teraa Gham hai to Gham-e-daihr kaa jhagRaa kia hai
terii suurat se hai 'aalam meN bahaaroN ko sabaat

terii aaNkhoN ke sivaa duniyaa meN rakkhaa kia hai (*)
tuu jo mil jaaye to taqdiir niguuN ho jaaye
yuuN na thaa maiN ne faqat chaahaa thaa yuuN ho jaaye
aur bhii dukh haiN zamaane meN moHabbat ke sivaa
raaHateN aur bhii haiN vasl kii raaHat ke sivaa

mujh se pahlii sii moHabbat mere maHbuub na maaNg

an_ginat sadiyoN ke taariik bahimaanaa talism
resham-o-atlas-o-kam_Khowaab meN bunvaaye huye
jaa-ba-jaa bikte huye kuuchaa-o-baazaar meN jism
Khaak meN lithRe huye Khuun meN nahlaaye huye
jism nikle huye amraaz ke tannuuroN se
piip bahtii huii galte huye naasuuroN se
lauT jaatii hai udhar ko bhii nazar, kia kiije!
ab bhii dil_kash hai tiraa Husn, magar kia kiije!
aur bhii dukh haiN zamaane meN moHabbat ke sivaa
raaHateN aur bhii haiN, vasl kii raaHat ke sivaa

mujh se pahlii sii moHabbat mere maHbuub na maaNg


(*) is line ko film CharaaGh ke liye MajrooH Sultaanpurii ne apne naGhme meN bartii thii. is film ke adaa_kaar the Sunil Dutt aur Asha Parekh
Image
Post Reply