Page 1 of 1

Hind Hai SadyoN Se Ek Gahwarah E Sher O Sukhan

Posted: Fri Jun 14, 2013 10:07 am
by aabarqi
Hind Hai SadyoN Se Ek Gahwarah E Sher O Sukhan
Ahmad Ali Barqi Azmi
Hind hai sadyon se ek gahwarah e sher o sukhan
Jis ka charcha har taraf hai anjuman dar anjuman

Mushtarak tahzeeb hai is ki nehayat dilfareb
Daman e dil kheenchti hai wadi e Gang o Jaman

Hali o chakbastr o Mulla, Meer o Ghalib aur Firaq
BaagbaaN gulzar e Urdu ke haiN shaikh o barhaman

Aaj bhi Pandit Data Shankar ki "Gulzar e Naseem"
Door kar dete hai zehn o dil se sab ranj o mehan

Hai nishat e rooh ka saman yeh sab ke liye
Kam na hoga ta abad Urdu Ghazal ka baankpan

Kaif o sarmasti se hai sarshar Urdu shayari
Is ki asnaf e sukhan haiN fakhr e abna e watan

Hai yeh Barqi Tarjuman e soz o saaz e zindagi
Mazhar e husn e bayaaN hai Is ka usloob e sukhan

Re: Hind Hai SadyoN Se Ek Gahwarah E Sher O Sukhan

Posted: Wed Jun 19, 2013 3:30 pm
by sbashwar
:mashallah: bohat khoob.

Re: Hind Hai SadyoN Se Ek Gahwarah E Sher O Sukhan

Posted: Wed Jun 19, 2013 5:15 pm
by Tanwir Phool
:salaam2:
:mash: :subh: