Page 1 of 2
EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Mon Apr 11, 2005 12:00 pm
by najma
sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
Posted: Mon Apr 11, 2005 7:35 pm
by tahira Masood
waaaah waaaaaaah waaaaah =D> =D> =D>
Mashallah!! subHaan Allah
aik aik sh'er daad kaa mustaHq hai. Najma ji aap ne tau meHfil loot li hai.
kayaa baat hai. dilee daad -o-teHseen qabul fermaaiN.
wassalam
Posted: Tue Apr 12, 2005 4:43 am
by Hashmat Usmani
salaam Najma saaHiba,
aapkii taraHii Ghazal nazar_guzar huii aur maiN ne ise bahot bahot pasand kiyaa...aasaan zabaan aur seedhe andaaz meN apnii fikr ko she'rii jaama pahnaane meN aap kaamiyaab rahii haiN. sabhi ash'aar ek hii paaye ke haiN, ya'ni sabhi achchhe haiN.
aazmaaye ko aazmaane se!
hmmm...yaqeenan!
aazmooda ra aazmoodan, jehl ast
Hashmat
Posted: Thu Apr 14, 2005 9:18 pm
by najma
tahira Masood wrote:waaaah waaaaaaah waaaaah =D> =D> =D>
Mashallah!! subHaan Allah
aik aik sh'er daad kaa mustaHq hai. Najma ji aap ne tau meHfil loot li hai.
kayaa baat hai. dilee daad -o-teHseen qabul fermaaiN.
wassalam
tahira sahiba!!!!!!!!!!!!
aap ko itneeeeeeeee pasand aaeeeeeeeeeeee
bohat bohat aur bohat hi shukriya tahira!
sada khush rahiye
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Fri Apr 15, 2005 8:48 pm
by Anis Hasan
najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
Mohtarma Najma sahiba aap nay tarahee misray par buhat umdah ghazal likhi hai. Waisay tu tamam hi ashaar buhat achay hain taham shair no.2, 4 aur 6 khusisiat kay saath lajawab hain meri daad qabool kijiyay.
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se
Posted: Sun Apr 17, 2005 7:10 pm
by najma
sara_j wrote:najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
waah najma ji! asatiza tou aate rahenge lekin humaari daad qubool keejiye :rose .
bhai waah bohat khoob ghazal, maqta tou bohat hi zabardast hai.
sara j!
itni zabar dast daad ke liyey zabar dast shukriya bhi to wusool kijiye
Posted: Mon Apr 18, 2005 8:07 am
by Ibn-e-siddique
Najma baji
achi ghazal hai
daad qubool kjiye :)
amjad
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Mon Apr 18, 2005 7:44 pm
by naheedv
najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
TooT jaataa hai shisha.e.dil bhee
aik ummeed TooT jaane se
waah, Najma jee, aap ne buhat khoob ghazal kahee hai.
ye she'r buhat pasaNd aayaa,
daad qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
p.s. aap kaa ye she'r paRh kar be.ikhteyaar gaanaa yaad aa geyaa "sheesha ho yaa dil ho aakhir TooT jaataa hai :) "
Posted: Mon Apr 18, 2005 9:14 pm
by najma
Hashmat Usmani wrote:salaam Najma saaHiba,
aapkii taraHii Ghazal nazar_guzar huii aur maiN ne ise bahot bahot pasand kiyaa...aasaan zabaan aur seedhe andaaz meN apnii fikr ko she'rii jaama pahnaane meN aap kaamiyaab rahii haiN. sabhi ash'aar ek hii paaye ke haiN, ya'ni sabhi achchhe haiN.
aazmaaye ko aazmaane se!
hmmm...yaqeenan!
aazmooda ra aazmoodan, jehl ast
Hashmat
bohat shukriya is hausla afzaaee aur pasandeedgii ka, biradaram!
mamnoon hooN
khair andesh
najma
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Wed Apr 20, 2005 9:23 pm
by najma
Anis Hasan wrote:najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
Mohtarma Najma sahiba aap nay tarahee misray par buhat umdah ghazal likhi hai. Waisay tu tamam hi ashaar buhat achay hain taham shair no.2, 4 aur 6 khusisiat kay saath lajawab hain meri daad qabool kijiyay.
anis hasan sahib!
aapki be-had mamnoon hooN keaap ne meri kawish pasand kii.
shukriya qubool farmaiye
aur khush rahiye
Posted: Sat Apr 23, 2005 2:21 am
by najma
Ibn-e-siddique wrote:Najma baji
achi ghazal hai
daad qubool kjiye :)
amjad
azizam amjad!
aapka bohat shukriya keh aap ne meri ye kawish bhi pasand kii.
khush rahiye
waah waah
Posted: Wed Apr 27, 2005 10:50 am
by Mahtab Qadr
waah waah Najma sahiba aapka aik aik sher murassa hai, aur aapki kuhnamashqi ka suboot bhi. bahut khooob .
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Sat Apr 30, 2005 11:45 pm
by najma
naheedv wrote:najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
TooT jaataa hai shisha.e.dil bhee
aik ummeed TooT jaane se
waah, Najma jee, aap ne buhat khoob ghazal kahee hai.
ye she'r buhat pasaNd aayaa,
daad qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
p.s. aap kaa ye she'r paRh kar be.ikhteyaar gaanaa yaad aa geyaa "sheesha ho yaa dil ho aakhir TooT jaataa hai :) "
naheed v sahiba
bohat shukriya ke apko meri ye ghazal pasand aaee.
hausla afzaaee ke liye mamnoon hooN.
khush rahiye
najma
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Wed May 04, 2005 11:50 am
by najma
naheedv wrote:najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
TooT jaataa hai shisha.e.dil bhee
aik ummeed TooT jaane se
waah, Najma jee, aap ne buhat khoob ghazal kahee hai.
ye she'r buhat pasaNd aayaa,
daad qubool kijiye!
mukhliS
Naheed
p.s. aap kaa ye she'r paRh kar be.ikhteyaar gaanaa yaad aa geyaa "sheesha ho yaa dil ho aakhir TooT jaataa hai :) "
naheedv sahiba!
aoa
is khoobsoorat hausla-afzaaee ke liye be-had mamnoon hooN.
((p.s. aap kaa ye she'r paRh kar be.ikhteyaar gaanaa yaad aa geyaa "sheesha ho yaa dil ho aakhir TooT jaataa hai :) "[/quote]))
mujhe gane yaad hi nahi rehte
aur acha laga keh mere she,r par aap ni kisi achay shair ke gane ke she,r ka hawala diya
khair andesh
najma