RaAna jee:
salaam arz hai aur mehfil mein khush.aamdeed
aap ki ghazal bahot pasand aayee, acha likhte haiN aap, isi taraH apna kalaam hameN sunaate raheN
amjad
Aik taazah ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtaram
RaAna Saahib
Purkhuloos Tasleemaat,
Seedhe saadah alfaaz meiN kahii houi aapkii ghazal pasand aayii. Merijaanib se dili daad aur mubaarakbad qubool farmaayiye. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aap apne kalaam se navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Apr 25, 2005 2:16 am, edited 1 time in total.
Re: Aik taazah ghazal
RaAna wrote:Mehfil-e-Bandhan ke Azeez dousto,
Merii aek taazah ghazal haazir-e-khidmat hei.
Ummeed ke aap sab apni qeemati aaraa se faizyaab houne kaa mauqa denge. Shukriya.
Ghazal
=========================================
1-Gar miri baat nagawar nah hou
yooN khafa mujh se bar bar nah hou
2-dil kii dhaRkan se hei vujood mira
zindagii kyaa ke jis meiN pyar nah hou
3-tujh se mehshar-khiram kii dhun mein
kiyuN qiyamat ka intizar nah hou
4-who bharousa kare tou kis pah kare
jis ko tera bhii iAtibar nah hou
5-tera ihsan ham nah bhooleNge
mehrbani pah sharmsar nah hou
6-kis ko apnayeN raah-e-ulfat meiN
koii bhi jab wafa shiAar nah hou
7-maiN agar hoon zarar rasaN :RaAna:
zindagi bhar mujhe qarar nah hou
RAANA SAHIB!
MASHA ALLAAH BOHAT JKAMAL KA KALAM HAY.KHAAS TAUR PE ======
4-who bharousa kare tou kis pah kare
jis ko tera bhii iAtibar nah hou
5-tera ihsan ham nah bhooleNge
mehrbani pah sharmsar nah hou
6-kis ko apnayeN raah-e-ulfat meiN
koii bhi jab wafa shiAar nah hou
7-maiN agar hoon zarar rasaN :RaAna:
zindagi bhar mujhe qarar nah hou
WAAH WAAAAAAH WAAAAAAAAAAH IN AS,AAR KE KYA KEHNE.
BOHAT KHOOB
DHERON DAAD QUBOOL KIJIYE
KHAIR ANDESH
NAJMA