sathiyo!
ek tajweez hay keh bil-tarteeb huroof-e-tahajji se ash,aar kehne ka silsila shuru kardeN to inayat hogii.
goya sab se pehle ''alif'' se shuruu hone wale ash,aar 2 hafte tak pesh l
kiye jaeiN, aur har 2 hafte baa,d huroof bil-tarteeb badalte raheN.
khair andesh
najma
Saara saaHiba sun rahii haiN na aap hamaarii maang? ummeed hai k aapkii ijaazat jald hii hameN mil jaayegii...Najma saaHiba aap taiyaar rahiiye...Saara bahot nek Khaatoon haiN...kisii kii jaa'iz maang ko naa nahiiN kartiiN...haiN na nek, Najma saaHiba? ;)
shukriya sara j sahiba!
ek mashwara hay keh is thread ko bhi beit-bazi ke saath saath ''sticky'' rakha jaey to kesa rahega?
aur kyuuN na aaj hi iskii ibtidaa bhi ho jaey
khair andesh
najma
najma wrote:shukriya sara j sahiba!
ek mashwara hay keh is thread ko bhi beit-bazi ke saath saath ''sticky'' rakha jaey to kesa rahega?
aur kyuuN na aaj hi iskii ibtidaa bhi ho jaey
khair andesh
najma
Najma ji bas Hashmat Usmani sahib ka intezar hai
shukriya sara j sahiba!
ab to masha allaah ye silsila 2 pages pe chal chuka hay
v.good