Page 1 of 1

ek tajweez hay====

Posted: Sun Apr 24, 2005 12:51 am
by najma
sathiyo!
ek tajweez hay keh bil-tarteeb huroof-e-tahajji se ash,aar kehne ka silsila shuru kardeN to inayat hogii.
goya sab se pehle ''alif'' se shuruu hone wale ash,aar 2 hafte tak pesh l
kiye jaeiN, aur har 2 hafte baa,d huroof bil-tarteeb badalte raheN.
khair andesh
najma

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:30 am
by Hashmat Usmani
laibbaik Najma saaHiba, labbaik!

Saara saaHiba sun rahii haiN na aap hamaarii maang? ummeed hai k aapkii ijaazat jald hii hameN mil jaayegii...Najma saaHiba aap taiyaar rahiiye...Saara bahot nek Khaatoon haiN...kisii kii jaa'iz maang ko naa nahiiN kartiiN...haiN na nek, Najma saaHiba? ;)

Hashmat

Posted: Sun Apr 24, 2005 11:42 am
by najma
shukriya sara j sahiba!
ek mashwara hay keh is thread ko bhi beit-bazi ke saath saath ''sticky'' rakha jaey to kesa rahega?
:-)
aur kyuuN na aaj hi iskii ibtidaa bhi ho jaey :grin:
khair andesh
najma
:-)

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:14 pm
by najma
sara_j wrote:
najma wrote:shukriya sara j sahiba!
ek mashwara hay keh is thread ko bhi beit-bazi ke saath saath ''sticky'' rakha jaey to kesa rahega?
:-)
aur kyuuN na aaj hi iskii ibtidaa bhi ho jaey :grin:
khair andesh
najma
:-)
Najma ji bas Hashmat Usmani sahib ka intezar hai :grin:
shukriya sara j sahiba!
ab to masha allaah ye silsila 2 pages pe chal chuka hay
v.good
:grin:

Posted: Tue Apr 26, 2005 2:08 am
by Hashmat Usmani
najma wrote:ab to masha allaah ye silsila 2 pages pe chal chuka hay
v.good :grin:
masha Allah Hamsheera saaHiba...yeh sab aapkii sarparastii aur dil_chaspii ke sabab hai...shukria. :-)

Hashmat

Posted: Wed Apr 27, 2005 12:26 am
by najma
nawazish
:-)