Page 1 of 12

Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN

Posted: Sun Apr 24, 2005 12:21 pm
by Mahtab Qadr
Najma sahiba ki tajveez aur Hashmat sahib ki tayeed sath hi sara ji ka approval in sab ke baad takheer ke baghair ye nai link shuroo ki jarahi hai. is se aik faida ye hoga ke bait bazi ke shayeqeen bhi mustafeeed ho sakeiN ge .
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:05 pm
by najma
bohat shukriya mahtab qadr sahib!
ab aap sab ki ijazat se maiN hi ibtida karooN?

''ek arz hay, keh agar shaair kaa naam maa,loom ho to plz she,r ke saath zaroor likhye ga''
:-)


us adaalat ke kaTehre meiN khaRe haiN ham , jahaaN
nutq-e-goyaaee tarastaa hay bayaanoN ke liye
''bakhsh lyalpuree''

Alif se Allah

Posted: Sun Apr 24, 2005 4:36 pm
by Mahtab Qadr
Alif se Allah aur shuroo karte haiN ham Allah ke naam se ,

ALLAH re is daur e siaasat ke karishmay
is daur mai insaan ko insaan ka dar hai
(shabnam)

alif

Posted: Sun Apr 24, 2005 10:08 pm
by Abdullah Nazir



Aadami vo hei jo apnaye muHabbat kii ravish

varnah dunyaa meiN hazarouN heiN bhaTakne waale.



Nazir.


Posted: Sun Apr 24, 2005 10:11 pm
by Hashmat Usmani
salaam Mahtaab saaHib aur Hamsheerah Najma saaHiba,

shukria janaab is naii laRii ke kholne kaa. merii taraf se pahla she'r pesh e Khidmat hai:


aatii hai kis taraH se merii qabz-e-ruuh ko
dekhuuN to maut DhuuNDh rahii hai bahaana kia!


Haidar Ali "Aatish"

Posted: Sun Apr 24, 2005 11:33 pm
by najma
agar cheh koo-e-sitam meiN ham aas-paas rahay
maiN un ki aur wo merii pukaar sun na sakay
-------bakhsh lyapurii--------

Posted: Mon Apr 25, 2005 12:54 am
by Hashmat Usmani
unhiiN ke 'ishq meN ham naala_o_fariiyaad karte haiN
Elaahii! dekhiye, kis din hameN vo yaad karte haiN


Haidar Ali "Aatish"

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:00 am
by najma
ab sir-nigooN wo turrah-o-dastaar to huey
jinko baRa hi naaz tha qadd-aawarii pe BAKHSH
bakhsh lyalpurii

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:03 am
by Hashmat Usmani
aalaam-e-roz_gaar ko asaaN banaa diyaa
jo Gham huaa, use Gham-e-jaanaaN banaa diyaa


AsGhar GoNDvii

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:05 am
by najma
andhere meiN ujaale ka nishaaN haiN
ye jugnuu aaftaaboN se baRe haiN
bakhsh lyalpurii

Posted: Mon Apr 25, 2005 1:14 am
by Hashmat Usmani
ik tum k dil meN dard kisii Ghai'r ke liye
ik ham k dard ban gaye Khud aap ke liye


'Azra 'Aadil Rasheed

Posted: Mon Apr 25, 2005 2:16 am
by najma
uKharR gaee haiN tanaabeN sitam ke khaimoN kii
ulaT gaee hay bisaat-e-hasab nasab kab se

Posted: Mon Apr 25, 2005 3:31 am
by Hashmat Usmani
aaj kia dekhaa KhalaaoN ke sunehre Khowaab meN
reg_zaaroN ke sivaa kuchh bhii nahiiN mahtaab meN


Prem Warbartoni

Posted: Mon Apr 25, 2005 4:00 am
by Hashmat Usmani
ab kii kuchh aisii sajii meHfil-e-yaaraaN jaanaaN
sar-ba-zaanuu hai koii sar-ba-girebaaN jaanaaN


AHmad Faraaz

Posted: Mon Apr 25, 2005 4:13 am
by Hashmat Usmani
aaiina dekhuuN to ik chehre ke be-rang nuquush
ek naa_diiddaa sii zanjiir meN kaste jaayeN


Ummeed Faazlii