Page 1 of 2

EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Posted: Sat Apr 30, 2005 10:57 pm
by najma
sathiyo!
aadaab!
ek ghazal ap sab ki nazr hay, pasand aey to zaroor aaggah farmaiye.
asaatizah-kiraam ki raey ki bhi muntazor rahoongii.
khair andesh
najma
:-)

arz hay
========================

saathiyo!
aadaab
aap meiN se kuch saathii hamarii ghazal ko urdu
hamarre kuch saathiyoN, khusuusi taur pe waqar sahib najm sahib aur khurram ko hamari ye ghazal urdu meiN nazar nahii aasakii, lihaza ab ham, un ke hukm ki ta,meel meiN, ise roman meiN bhi pesh kar rahay haiN.
:grin:


sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho

mazloom ko soolii pe chaRhaa dete haiN haalaat
aiy dosto! kya shikwa-e-haalaat karo ho

karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho

is darjah sulagte huey mausim meiN bhi logo!
zondah ho agar tum, to karamaat karo ho

jannat se nikaale huey insaan ke beTo!
dunyaa ko bhi dunyaa-e-kharaabaat karo ho

apnoN ki sii chaahat hay na GhairoN ki sii nafrat
dunya se niraalii hiihar-ik baat karo ho

saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho

NAJMA ANSAR NAJMA

Posted: Sun May 01, 2005 2:37 am
by naheedv
Dear Najma jee,
aadaab,

aap kee ghazal paRh kar mohtaram buzrug shaa'ir Kaleem Ajiz kee aik ghazal yaad aa ga'ee jiss kee bhee yahee zameen thee, voh ghazal tau mujhe yaad naheeN hai magar aik she'r kaa aik misra' yaad hai jo ke kuch yooN hai shaayad:
"daaman pe koyee daagh...........
tum qatl karo ho yaa karaamaat karo ho"

aap kee ghazal pasaNd aayee aur khar taur par matla' buhat khoob hai,
daad qubool kijiye!

mukhliS
Naheed

Posted: Sun May 01, 2005 2:47 am
by najma
naheed sahiba!
aadaab

wo sher, yuuN hay

khanjar pe koee khoon na daman pe koee daaGh
tum qatl karo ho ya karamaat karo ho


ghazal pasand karne aur hausla fazaaee ke liye bohat shukriya
khush rahiye
najma
:-)

Posted: Sun May 01, 2005 5:32 am
by Sarwar A. Raz
Kaleem Ajiz:

daaman peh koyee ch`eeNT nah Khanjar peh koyee daaGh
tum qatl karo ho keh karaamaat karo ho

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Posted: Sun May 01, 2005 5:43 am
by Ibn-e-siddique
Najma baji

salaam arz hai

aap ki ye ghazal dekhi aur bahot pasand aayee

matle ke misra-e-caani meiN "vohi" munasib nahin lag rahaa, ye sirf meri zaati raaye hai jo ghalat bhi ho sakti hai ;)

she'r no. 2 aur teen to paRh ker lutf aa gayaa :

mazloom ko sooli pe chaRhaa dete haiN Haalaat
ae dosto !! kia shikva-e-haalaat karo ho

karne ko yaqeeN kar looN maiN baatoN pe tumhaari
her roz magar tum to nayee baat karo ho


bahot khoob, deegar ash'aar bhi pasand aaye, maqta bhi khoob hai :)

amjad

Posted: Sun May 01, 2005 6:42 pm
by najma
Sarwar Raz wrote:Kaleem Ajiz:

daaman peh koyee ch`eeNT nah Khanjar peh koyee daaGh
tum qatl karo ho keh karaamaat karo ho

Sarwar A. Raz :Sarwar:

:grin:
janab sarwar a.raz sahib!
saheeh she,r batane ka bohat shukriya
:grin:
najma

Posted: Mon May 02, 2005 11:04 pm
by irfan abid
najma sahiba, aadaab!

aap kii Ghazal pasand aayii. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Tue May 03, 2005 1:57 pm
by waqar_masood
ghazalk nazar hi nahi a rehi mujhay

Posted: Tue May 03, 2005 3:31 pm
by Hashmat Usmani
waqar_masood wrote:ghazalk nazar hi nahi a rehi mujhay
hellooo...JOIN the CLUB :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

Posted: Wed May 04, 2005 1:48 am
by najma
Ibn-e-siddique wrote:Najma baji

salaam arz hai

aap ki ye ghazal dekhi aur bahot pasand aayee

matle ke misra-e-caani meiN "vohi" munasib nahin lag rahaa, ye sirf meri zaati raaye hai jo ghalat bhi ho sakti hai ;)

she'r no. 2 aur teen to paRh ker lutf aa gayaa :

mazloom ko sooli pe chaRhaa dete haiN Haalaat
ae dosto !! kia shikva-e-haalaat karo ho

karne ko yaqeeN kar looN maiN baatoN pe tumhaari
her roz magar tum to nayee baat karo ho


bahot khoob, deegar ash'aar bhi pasand aaye, maqta bhi khoob hai :)

amjad



azizam amjad!

((matle ke misra-e-caani meiN "vohi" munasib nahin lag rahaa, ye sirf meri zaati raaye hai jo ghalat bhi ho sakti hai ;)))

shukriya. maiN is ke bare meiN sochoongii :-)

aur baqi jo ash,aar aap ko pasand aey, main mamnoon hooN.
hausla-afzaaee ka bohat shukriya
khush rahiye
ab shukriya meiN aur kya kahooN?
kuch phool pesh karooN?
lol

lijiye
hazaroN----------lol

Posted: Wed May 04, 2005 4:42 am
by waqar_masood
najma ji abhi bhi nazar nahi a rehi ..ab to mein log in ho ker aya hoon phir bhi....................

Posted: Wed May 04, 2005 9:30 am
by najma
waqar_masood wrote:najma ji abhi bhi nazar nahi a rehi ..ab to mein log in ho ker aya hoon phir bhi....................






:o
herat hay waqar sahib!
auroN ko to nazar araha hay aur reply bhi kiya :o .
ek baat poochooN?
aap ne apne interner service k wajibaat ada kiye haiN :roll: ya naheeN :P

:twisted:
khair---mazaq bar-taraf
waqaee he herat ki baat hay.
deegar nazireen se guzarish hay keh agar unko nazar araha hay to bataiye pleeeeeeeeeeeeeeeeeeeezzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
najma
:-)

Re: EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Posted: Wed May 04, 2005 1:31 pm
by khurram_shaikh
najma wrote:sathiyo!
aadaab!
ek ghazal ap sab ki nazr hay, pasand aey to zaroor aaggah farmaiye.
asaatizah-kiraam ki raey ki bhi muntazor rahoongii.
khair andesh
najma
:-)

arz hay


Assalaam o alekum,



Najma baaaji aapki yeh ghazal sabko nazer aarahi lekin mujhe kyoon nazer nahin aarahi ??? :roll:

Re: EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Posted: Wed May 04, 2005 3:13 pm
by najma
khurram_shaikh wrote:
najma wrote:sathiyo!
aadaab!
ek ghazal ap sab ki nazr hay, pasand aey to zaroor aaggah farmaiye.
asaatizah-kiraam ki raey ki bhi muntazor rahoongii.
khair andesh
najma
:-)

arz hay


Assalaam o alekum,



Najma baaaji aapki yeh ghazal sabko nazer aarahi lekin mujhe kyoon nazer nahin aarahi ??? :roll:

khurram!
sorry, keh apko nazar nahii aarahii.chashma laga ke dekhiye shayad------

:grin:

Bahut khoob

Posted: Wed May 04, 2005 8:17 pm
by Abdullah Nazir


MuHtarama
Najma Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat, :oops:

Mujhe tou achchi TaraH se nazar aarahi hei aur beHad pasand aayii.

Pahle souchaa ke is ghazal per tafseeli tabsirah karuN aur uski aek copy bhii apne computer per naql karlii. Raftah raftah aek aek sheAr paRhtaa gayaa. Bahut hii luTf aayaa. Bahut hii khoobsoorat aur dilkash ghazal hei.
Is liye yeh mukhtasar saa tabSirah pesh karne per majboor hougayaa.

Meri jaanib se dili daad aur mubaarakbaad qubool farmayiye. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aapko isi TaraH daste_e_kamal Haasil rahegaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.