Search found 427 matches

by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 8:05 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nazm.......!!
Replies: 8
Views: 879

Re: Nazm.......!!

Sara jii, aadab! ummid hai khair-o-aafiyat se hoN gi?! muddatoN baad aap ka kalaam paRhne ko milaa, aur voh bhii itnanii pyaari nazm, maiN bataa nahiN sakta k isey paRh kar mujhe kyaa hua. is kalaam kii taareef k liye mere paas alfaaz nahiN haiN, kuch der k liye mehsoos huaa k kahiN yeh sab maiN ne ...
by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 7:42 pm
Forum: Anjuman
Topic: Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN
Replies: 178
Views: 48008

Re: Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN

abhi is taraf na nigah kar, maiN Ghazal ki palkeN saNwaar looN,
mera lafz-lafz ho aa'iina, tujhe aa'iine meiN utaaaaar looooooN!
by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 7:37 pm
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!
Replies: 42
Views: 16573

Re: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!

zamaane bhar kii nigaahoN se giir chuka hooN maiN,
nazar se tum na giraao, k maiN sharaabii hooN!
:|
by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 7:33 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum
Replies: 21
Views: 9150

Re: Lafz par ash'aar #32---muskurahaT/tabassum

merii rooh kii haqiiqat mere aaNsuuoN se puChho,
mera majlisii tabassum mera tarjimah nahiiN hai!
[-X
by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 7:28 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#13--"TAMANNA / ARMAAN "
Replies: 44
Views: 12200

Re: Lafz par Ashaar#13--"TAMANNA / ARMAAN "

kaaT kar phaiNk do is nakhl-e-tamanna ko :Ameer:
phul kambakht pe aaya na kabhii phal aaaayaaaa!!
by hassan_bashir
Thu Jul 24, 2008 7:25 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#13--"TAMANNA / ARMAAN "
Replies: 44
Views: 12200

Re:

yaraane mehfil aadaab. lafz tamanaa/aarzoo par jo sher mujhe yaad aa rahe haiN, pesh kar rahaa hooN. agar ek se jiyaadaa sher likhnaa munaasib naheeN to maazratkhwaaH hooN. aapkaa izhaar.e pasandgee mere liye hausalaa afzaaie hogee! tamanna thee agar apnee to ye thee aakhiree apnee k tum saahil pe ...
by hassan_bashir
Sat Sep 15, 2007 9:44 pm
Forum: Taqreebaat
Topic: RamaZaan Mubarak!
Replies: 2
Views: 628

[align=center] Aadab, dosto! http://i9.photobucket.com/albums/a55/hassan_bashir/ramadan1.jpg maiN apni jaanib se bazm-e-urdubandhan k tamaam dosto ko aamad-e-maah-e-Ramzaan par dilii mubaarak-baad pesh kartaa hooN. :rose dua'a hai k Allah azzaavajall hameN, aap ko aur tamaam mominoN ko is maah-e ...
by hassan_bashir
Mon Aug 20, 2007 9:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 108333

jab tere hukm milaa tark-e-muhabbat kar dii
dil magar us pe voh dhaRkaa k qiyaamat kar dii
by hassan_bashir
Sun Aug 19, 2007 9:00 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 108333

koh-e-anaa kii barf thii donoN jame rahe
jazboN kii tez dhoop se pighla na TU na MAIN
by hassan_bashir
Sun Aug 19, 2007 8:54 pm
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 35643

na hogaa dil hii seene meiN kahaaN par tiir aayeN ge,
na hogaa mezabaaN phir naaz-e-mehmaaN kaun dekhe ga!
by hassan_bashir
Sun Aug 19, 2007 8:50 pm
Forum: Anjuman
Topic: Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN
Replies: 178
Views: 48008

ab agar aao to jaane k liYe mat aana!
sirf ehsaan jataane k liYe mat aana!!
by hassan_bashir
Sun Aug 19, 2007 8:49 pm
Forum: Anjuman
Topic: is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Replies: 111
Views: 34061

ai shama'a tujh pe raat yeh bhaarii hai jis tarah,
maiN ne tamaam umr guzaarii hai is tarah!!
by hassan_bashir
Sun Aug 19, 2007 8:45 pm
Forum: Anjuman
Topic: MAHAK - Lafz pe pasandeedah Sher bheziye... Please !!
Replies: 36
Views: 9364

Beradaram Hassan Bashir Saaheb, Intehaayi shukr guzaar hoon ke aap ne "Mahek" unwaan pe dher saare ashaar ke Mahak se POST ko ekdum Mehka diya hai.... Alla'h kare ye mahek ta-der qaayam rahe... Plz. kuch aur sher bhi enayat karein. aap ka bhai, Armaan Bhaii Arman, aap k diye gaye lafz par jitane ...
by hassan_bashir
Wed Aug 15, 2007 10:47 pm
Forum: Anjuman
Topic: MAHAK - Lafz pe pasandeedah Sher bheziye... Please !!
Replies: 36
Views: 9364

tere aane kii jab Khabar mahake tere Khushbuu se saaraa ghar mahake shaam mahake tere tasavvur se shaam ke baad phir sahar mahake raat bhar sochataa rahaa tujh ko zahan-o-dil mere raat bhar mahake yaad aaYe to dil munavvar ho diid ho jaaye to nazar mahake vo ghaRii do ghaRii jahaaN baiThe vo zamiiN ...
by hassan_bashir
Wed Aug 15, 2007 10:43 pm
Forum: Anjuman
Topic: MAHAK - Lafz pe pasandeedah Sher bheziye... Please !!
Replies: 36
Views: 9364

dil meiN mahak raheN haiN kisii aarzuu ke phuul
palkon meiN khilane vaale haiN shaayad lahuu ke phuul