Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Thu Mar 31, 2005 12:15 pm
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 90703

assalam-o-alaikum bahot acha silsila hai, bas she'r likhte vaqt is baat ka khayaal rakha jaaye ke javaaban jo she'r likha jaa rahaa hai, us ka koi na koi rabt pichle she'r se hona chaahiye :) lijiye aap ke javaab meiN she'r Haazir hai : maiN chalaa hooN tiree bazm se is tarHa zakhm khaate hue, gham ...
by Ibn-e-siddique
Thu Mar 31, 2005 12:07 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75247

Hai mujhe pe taa'na zan khud mera aHsaas
tamanna apni qeemat kho rahi hai

khusha ye tarz-e-taa'zeem-e-moHabbat
ye taa'zeem-e-moHabbat ho rahi hai

gham-e-furqat ka shikva karne vaali
meri maujoodgi meiN so rahi hai
:grin: :grin:

meri / hai
by Ibn-e-siddique
Thu Mar 31, 2005 12:05 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10174

Haal-e-dil apna sunaane meiN mujhe deir lagee
zakhm-e-dil apna dikhaane meiN mujhe deir lagee

Nabeel
by Ibn-e-siddique
Thu Mar 31, 2005 12:01 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1257

Re: Bahut khob waah waah

Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aap ne bahut saare achche mazaameen baandhe heiN. Agar ijaazat hou tou maiN apni aaraa pesh karne kii jasaarat karuN jin se aapka muttafiq hounaa zaroori nahiN. [/size] [/i] mohtaram Nazir saHib: salaam arz hai: ye baat mere liye baaic-e-sad.iftikhaar hai ke ...
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:50 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5798

Yeh ehtijaaj baja hai ke tez thi baarish
Yeh man'na hai ke kacha tha apne sheher ka rang
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:47 am
Forum: Anjuman
Topic: maahaanah muntaKhib shaa'ir...Dr. MoHammad Iqbaal
Replies: 39
Views: 11631

vaah, bahot khoobsurat silsilaa, aur utni hi khoobsurati se chal rahaa hai :) meri jaanib se aik nazm: Haqeeqat-e-Husn khudaa se Husn ne ik roz ye savaal kia jahaaN meiN kyuN na mujhe tu ne laa.zavaal kia milaa javaab ke tasveer khaana hai dunya shab-e-daraaz-e-adam ka fasaana hai dunya hui hai rang...
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:43 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75247

kehte ho na deN ge ham, dil agar paRaa paaya
dil kahaaN ke gum keeje, ham ne muda'aa paaya


dil / paaya
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1257

Hashmat saHib: salaam arz hai huzoor main aap ka mamnoon-o-mutashakkir hooN ke aap ne meri is adnaa si ghazal ko itna saraaha. ye yaqeenan aap ka Husn-e-nazar hai, jo khaaksaar ki ghazal ko is qadar pasand farmaaya mere paas to izhaar-e-tashakkur ke liye alfaaz bhi kam paR rahe haiN :-) phir bhi aap...
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:33 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MERI EK MUNFARID GHAZAL AAPKE HAWALE........................
Replies: 7
Views: 684

Mohtaram Jawaid saHib: salaam arz hai aap ki ye ghazal bahot pasand aayee. tamaam ash'aar hi khoob haiN, bas matle meiN aap ne qavaafi ki paabandi barqaraar nahiN rakhi, is liye "eetaa" vaarid ho rahaa hai, magar jaisa ke Nazir saHib ne farmaaya, aaj kal sho'araa ke haaN ye musta'mal hai, ...
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "yuuN umr kaT rahii hai ..."
Replies: 10
Views: 881

Irfan bhai: salaam arz hai ye dekh ker bahot khushi hui ke aap ne khaaksaar ki farmaaish per Hazrat-e-ghalib ki zameen meiN ghazal pesh ki :) aap ne is zameen ka khoob Haq adaa kia, lutf aaya paRh ker meri jaanib se daad qubool kijiye :Abid: kii paarsaaii par uNglii uThii hai aaj mumkin hai kal ko d...
by Ibn-e-siddique
Wed Mar 30, 2005 7:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 14
Views: 1031

Naheed saHiba:

salaam arz hai

aap ki ye ghazal abhi abhi nazar navaaz hui :)

mere nazdeek ye zameen itni zarkheiz nahiN hai, magar aap ne bahot umda ash'aar kahe haiN. aap yaqeenan daad aur mubarak.baad ki mustaHiq haiN

meri jaanib se DheiroN daad qubool kijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 29, 2005 12:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1257

tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta

Assalam-o-alaikum kuch arsa qabl senior shaa'ir janaab Irfan Abid saHib ne Ahmed Nadeem Qasmi ke is misre per ghazal pesh ki thi: tujh se kis tarHa maiN izhaar-e-tamanna karta mujhe ye misra hamesha se pasand tha, aur inspiration, janaab-e-Irfan Abid se milee, is liye apni taba aazmaai aap sab ke Hu...
by Ibn-e-siddique
Mon Mar 28, 2005 4:42 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5798

baarish-e-vasl vo hui saara ghubaar dhul gaya
vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye
by Ibn-e-siddique
Mon Mar 28, 2005 4:40 am
Forum: Anjuman
Topic: maahaanah muntaKhib shaa'ir...Dr. MoHammad Iqbaal
Replies: 39
Views: 11631

Assalam-o-alaikum maashallah , maiN aap sab ko mubarak.baad pesh karta hooN ke aap ne Hakeem.ul.Ummat Allama Mohammad Iqbal per itna khoobsurat silsila shuru kia, aur use itni kaamiyaabi se jaari-o-saari rakha , meri jaanib se Iqbal ki aik nazm haazir hai : AQL AUR DIL AQL aql ne aik din ye dil se k...
by Ibn-e-siddique
Mon Mar 28, 2005 4:28 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: muqadar ........parveen shakir
Replies: 10
Views: 1103

Aanchal saHiba:

salaam arz hai

Parveen ki ye mukhtasar magar jaame' nazm pesh karne ke liye shukria

amjad