Search found 163 matches

by naheedv
Tue Jun 06, 2006 7:11 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: GUzarish (Aik Nazm)
Replies: 4
Views: 456

Re: GUzarish (Aik Nazm)

Qabl-e-Sud Ekhtram Dosto, Assalam u Alikum, aik nazm pesh-e-hidmat hai "Guzarish" Atiq-ur-Rehman Saffy Saffy saaheb, aap kee ye nazm email meN aayee thee magar iss kaa font buhat baareek hone kee binaa par sahee taraH se paRh'ee naheeN gayee thee. aaj idher kaa chakkar lagaa tau aap kee n...
by naheedv
Wed Apr 26, 2006 1:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 5
Views: 529

a'zeezah Naheed: salaam! do teen din pc ke naKhre uThaataa rahaa. ab kaheeN jaa kar woh qaaboo meN aayaa hai! yeh pc bh`ee Urdu shaa,i'ree ke meHboob se kisee t^araH kam naheeN hai! agar rooTh jaaYe to jaan Z^eeq meN kar detaa hai! :-) aap ne Ghazal kee beHr KhaaSee Ghair-maanoos muntaKhib kee hai....
by naheedv
Sat Apr 22, 2006 4:41 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 5
Views: 529

aik ghazal

Aadaab, Aaj kal masroofiyat kee binaa par inn mehfiloN meN zeyaadah aanaa naheeN ho rahaa hai aur na hee dostoN kee takhliqaat paRhne kaa moqa mil rahaa hai. mujhey poori umeed hai ke ye ghair haaziri aarzi caabit ho gee. kaafi arse se kuch nayaa naheeN likhaa hai magar buhat din pehle kee likhee h...
by naheedv
Fri Apr 07, 2006 7:36 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal - Ghazal Premion ke Naam !!
Replies: 4
Views: 358

janaab Munir Arman saahab,

aap kaa kalaam pehlee baar paRhne kaa moqa milaa hai.
aap kee ghazal saaf.suthree aik achee takhliq hai. meree jaanib se daad qubool kijiye! albattah she'r 3 kaa 2nd misra' kuch mazeed behtaree chaahata hai.

shukriya
Naheed
by naheedv
Thu Feb 23, 2006 3:14 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal
Replies: 9
Views: 937

Dear naheed ji, adaab arz hei. baRe taweel intezar ke baad apka kalaam paRhne mila aur paRh ker bohat acha laga. Masha Allah bohat hi manjha hua kalaam hai. poori ghazal hi lajawaab hai aur ye ashaar kuch ziyada pasand aaye hain. 1. hai jis ke naam ye rehl.e.visaal haathoN meN base huve haiN usee k...
by naheedv
Tue Feb 21, 2006 3:06 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam
Replies: 6
Views: 463

Re: Zameen-e "Faraz" meN mera Salaam

janaab Jawaid saahab, aap ne Faraz Saahab kee zameen meN kyaa bhar.poor kalaame salaam ataa kiyaa hai. mujhey umeed hai ke voh aap kaa ye nazraanah.e.salaam zaroor pasaNd farmaayeN ge kyoN ke ye unhee kee zameen meN likhaa geyaa hai, waisey tau daad dene meN voh khaase kanjoos vaaqe huve haiN :) ba...
by naheedv
Mon Feb 20, 2006 9:47 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal
Replies: 9
Views: 937

wah naheed sis wah itni muhskil zameen mein aap ne to kaafi achchi ghazal kahi hai..ustaadaana rang jhalak raha hai..waqaii ab to aap pakki shaayra ho chuki hain...ek ek sher ghaur karne laayaq hai...dili daad pesh hai is umda kaavish pe :-) Shumaila Shumaila, allah itnee ta'rif. kaheeN mere paayoN...
by naheedv
Mon Feb 20, 2006 9:42 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal
Replies: 9
Views: 937

Re: Bahut khoob, waah waah

MuHtaramah Naheed_Verk SaaHibah, PurkhulooS tasleemaat, Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aap ne bahut mushkil radeef "haathaoN meiN" isteAmaal ki hei aur us ke saath qaafiyaoN ko nibaane kaa mushkil kaam bhi aap ne bakhoobi a...
by naheedv
Mon Feb 20, 2006 9:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal
Replies: 9
Views: 937

Re: bahut khoob

Naheed sahiba Aadaab Aap ki ghazal nazarnawaz huvi behad shukria , hamesha ki tarah aapki ghazal ka apna aik achoota andaaz aik khoobsurat ehsasaat ka ghuncha e lajawaab , bahut haseen ghazal jo aaj ki bahut si haqeeqatoN ki akkasi bhi karti hai. pasand aai. har sher acha . Mahtab Qadr janaab Mahta...
by naheedv
Sun Feb 19, 2006 7:11 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal
Replies: 9
Views: 937

ghazal

1. hai jis ke naam ye rehl.e.visaal haathoN meN base huve haiN usee ke malaal haathoN meN 2. kisee niSaab meN jin ke jawaab mil na sakeN baSaaratoN ne paRhe voh sawaal haathoN meN 3. maiN suntee hooN tira be.taabiyoN bharaa lehjah bane huve haiN tire khadd.o.khaal haathoN meN 4. jo rezah rezah ho ka...
by naheedv
Thu Dec 22, 2005 2:57 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: meraa she'ree majmoo'a: tere naam kee aahaT
Replies: 4
Views: 398

Re: Bahut Mubarak

Naheed sahiba salaam e masnoon bahut khushi huvi ke aapka majmue kalaam manzar e aam par aachuka hai. bahut bahut dili mubarakbaad shukria Mahtab Qadr janaab Mahtab saahab, aadaab, mubaarak baad kaa buhat shukriya! aap apnaa mailing address muujhey email kar dijiye taa ke aap ko kitaab bhijwaa sako...
by naheedv
Thu Dec 22, 2005 2:53 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: meraa she'ree majmoo'a: tere naam kee aahaT
Replies: 4
Views: 398

Bohat bohat mubarak ho naheed ji :rose .............naam bhi bohat khoobsurat hai aapke majmuae ka aur aapki takhleeqat bhi utni hi khoob houngi. kya aapne iski runumaii ki koi taqreeb ki hai ya nahi?? aur ki hai to humein kyun bhool gayein? hum zaroor aate the :grin: Sara ji, buhat shukriya, kitaa...
by naheedv
Thu Dec 15, 2005 9:27 pm
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: lafz.e.nagree yaa nagaree??
Replies: 2
Views: 2032

lafz.e.nagree yaa nagaree??

aadaab,

mujhey iss lafz ke sahi talaffuz meN kuch mushkil aa rahi hai.
mere khayaal meN jis tarah :safar: se :safaree, hum-safaree: aur :khabar: se :khabaree, be-khabaree: hotaa hai, usee taraH :nagar: se :nagaree: honaa chaahiye.

agar koyee madad kar sake tau navaazish ho gee.

mukhlis
Naheed
by naheedv
Wed Dec 14, 2005 1:34 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal: makaaN badlaa hai
Replies: 5
Views: 531

------------------------ makaaN badlaa hai par manzar naheeN badlaa miree tanhaayee kaa bistar naheeN badlaa mat^la' achh`aa hai. pasand aayaa. daad! waise meraa Khayaal hai keh :bistar: kee bajaaYe aap ke qalam se koyee aur lafz^ nikaltaa to behtar hotaa! daad kaa shukriya, aap kaa kehnaa bajaa hai...
by naheedv
Wed Dec 14, 2005 1:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal: makaaN badlaa hai
Replies: 5
Views: 531

Re: Bahut achchi ghazal kahi hei aap ne

MuHtaramah Naheed V. SaaHibah, PurkhulooS tasleemaat, aek ArSah baAd aapki yeh Haseen ghazal paRhne ko mili. BeHad luTf-andouz houaa. Saare ke saare ashAar bahut hii dilkash heiN aur aapke apne khaaS andaaz meiN kahe gaye heiN. Is beHr kii kam-yaabi aur mushkil ke baa-vujood aap ne iske vazn ko poo...