Search found 30 matches

by poetrazi
Sat May 31, 2008 6:00 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: raasta to ho
Replies: 3
Views: 514

raasta to ho

manzil agar nahin hay koi raasta to ho
apnay bhataktay rehnay ka ik silsila to ho

mayri talaash main karay khud ko koi talaash
mayri tara say khud ko koi dhoondta to ho

us ka wisaal mojzay sy kum sahi magar
is mojzay sy barh k koi mojza to ho

main ik charaagh aur too khushboo bhari hawa
phir ...
by poetrazi
Wed Nov 28, 2007 6:08 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal Guzarish # 34............. Afzaal Naveed
Replies: 7
Views: 2663

afzaal naveed sahib
aaj aap ki ghazal nazar sy guzri khushi hui k internet forums par aap jaysay samjeeda shoraaa bhi ab dikhaai day rahay hain
aglay roz aysi hi khushi azm behzaad aur liaqat ali asim sahib ko mehfil e sukhan main daykh kar hui thee
aap ki ghazal murassa hay tamaaam ashaar ...
by poetrazi
Thu Nov 15, 2007 8:49 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: magar hamaray paas jo charagh hy
Replies: 2
Views: 249

moHtaram RaZ^ee SaaHib tasleemaat!

Aap kee a't^aa kardah nazm dekhee. jo keh bohot pasand aaee. keree jaanib se is khubSurat kalam par daad qubool keejiye.
kiya hee achchaa ho agar aap yeh silsilah barqaraar rakheeN. aor aesee hee khubSurat chezooN se mustafeed hone kaa maoqa' faraham karte raheeN ...
by poetrazi
Wed Nov 14, 2007 7:49 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: mukalmati nazm
Replies: 5
Views: 819

Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:Mohtram Razi saheb, AADAB,
WAH KYA ZABARDAST NAZM KAHI HAI AAP NAY, JANAB MERI TARF SAY ITNI ACHI NAZM PER DHEROON DAAD AUR MUBARAKBAAD QABOOL FARMAIN,

ATIQ-UR-REHMAN SAFFY
atiq bhai shukria k aap ny pazeeraai ki
thanx
razi
by poetrazi
Fri Nov 09, 2007 7:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: mukalmati nazm
Replies: 5
Views: 819

sara_j wrote:Razi sahib,

tasleemaat!

nazm bohat pasand aayi khaas jis tarah aapne khatm kiya hai...waah!

daad qubool keejiye.

sara
sara ji bohat shukria nazm pasand karnay ka
thanx
razi
by poetrazi
Thu Nov 08, 2007 6:20 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: mukalmati nazm
Replies: 5
Views: 819

rukhsar wrote:mohtaram razi sahib
aadab
mizaj-e giraami
wah razi sahib wah kia khoob nazm kahi hay sahib aisi nazm kahna aapka hi ka istehqaaq hay .
bhut khoob is nazm ki jitni tareef ki jay kum hay waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
rukhsar
bohat shukria k aap ny pasandeedgi ka izhaar kia
thanx
razi
by poetrazi
Wed Nov 07, 2007 7:18 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: mukalmati nazm
Replies: 5
Views: 819

mukalmati nazm

bohat arsay baad doston k liay aik mukaalmaati nazm laaya hoon
aap ki aaraa ka muntazir rahoon ga
thanx
razi

Image
by poetrazi
Thu Jul 26, 2007 9:49 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nahin chaahtay hain
Replies: 3
Views: 459

nahin chaahtay hain

r aah main aik bhi deevar nahin chaahtay hain
log ab ishq main azaar nahin chaahtay hain

chaahnay waalay tera wasl yaqeenan chaahain
haan magar hum say talabgaar nahin chaahtay hain

hum kahaani say kai baar nikalnay waalay
is main ab koi bhi kirdaar nahin chaahtay hain

ab zubaan kaat kay sir bhi ...
by poetrazi
Sun Nov 12, 2006 8:43 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: muhabat main mer gia
Replies: 3
Views: 355

Re: muhabat main mer gia

[quote="poetrazi
Dukh to nahin k tanha masafat main mer gia
Acha hua main tayri muhabat main mer gia

Haakim khud apnay ehd e hakoomat main mer gia
Zinda wohi raha jo baghawat main mer gia

Kuch nafratoN ki nazr hua mayra yeh wajood
Baaqi jo bach gia tha muhabat main mer gia

Mujh ko kabhi hisaar ...
by poetrazi
Sun Nov 12, 2006 8:41 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: muhabat main mer gia
Replies: 3
Views: 355

Re: Bahut khoob, waah waah


MuHtarami
Razi ud-dden Razi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne aek sakht radeef "meN mar gayaa" ke isteAmaal ke baavajoo bahut achchi ghazal likhkhi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.
[/size][/color]

shukria janab abdullah sahab ...
by poetrazi
Sun Nov 12, 2006 8:35 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: pehlay aata
Replies: 3
Views: 408

Re: pehlay aata

sukh ka lamha agar aalaam say pehlay aata
main razi lot kay ghar shaam say pehlay aata

waah! bohat khoob!

log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata

bohat ache!

meray aaghaaz ka aaghaaz agar ho na saka
mera anjaam to anjaam say pehlay aata

:-) nice ...
by poetrazi
Sat Oct 14, 2006 5:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: muhabat main mer gia
Replies: 3
Views: 355

muhabat main mer gia

http://i68.photobucket.com/albums/i24/poetrazi/mmmm.gif

Dukh to nahin k tanha masafat main mer gia
Acha hua main tayri muhabat main mer gia

Haakim khud apnay ehd e hakoomat main mer gia
Zinda wohi raha jo baghawat main mer gia

Kuch nafratoN ki nazr hua mayra yeh wajood
Baaqi jo bach gia tha ...
by poetrazi
Sat Oct 14, 2006 4:44 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: pehlay aata
Replies: 3
Views: 408

Shummu wrote:
log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata
sahi kaha...wah..bahut khoob..
shukria shummu ji
thanx
razi
by poetrazi
Sat Oct 14, 2006 3:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: pehlay aata
Replies: 3
Views: 408

pehlay aata

sukh ka lamha agar aalaam say pehlay aata
main razi lot kay ghar shaam say pehlay aata

log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata

meray aaghaaz ka aaghaaz agar ho na saka
mera anjaam to anjaam say pehlay aata

main bhatakta hua ab door nikal aaya hoon
us ...