Search found 500 matches

by muhammad_19k
Fri Oct 05, 2007 7:09 am
Forum: Moshaairah
Topic: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!
Replies: 8
Views: 1385

Re: GuZarish#33 hadiyah-e-na'at pesh-e-khidmat hai!

Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb

aap ki paishkarda n'aatl bohat umdaa khyaalaat se muzzayan aik dilkash n'aat hai. lehjaa aor andaaz bohat mutacir kun meHsoos huwaa. mairi taraf se daad o mubaarak qubool kijiaye.

MukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Tue Oct 02, 2007 8:03 am
Forum: Moshaairah
Topic: GuZarish#33 ke liye miSra'h pesh-e-khidmat hai.
Replies: 2
Views: 552

Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb! Allah t'aalaa aap ko khush o khurram rakhay aor aap par apni reHmateN aor nai'mteN barsaa-aye. maah e ramzaan ki munasibat se "taraH miSra" aor phir us par n'aatoN ki darkhaast aap ki taraf se aik khoobSoorat khyaal aor aik aHsan 'amal hai. Allah t'aalaa aap ...
by muhammad_19k
Tue Oct 02, 2007 7:56 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHee N'aat Shareef (Guzarish 33)
Replies: 10
Views: 1487

Re: taraHee N'aat Shareef (Guzarish 33)

Mohtaram Jawaid SaHeb, aap likhte heN. Dosto! aadab N'aat dar madH Sarwar.e kaaiynaat* Haazir.e Khidmat hai. MiSra aasaan hai jismeN qawafee ki bohtaat hai. Mujhe ummid hai achchee achchee nateN paRhne ko mileNge, "Insha Allah." Agar koii naujawan saathee apni n'aat ke silsiley meN mujh na...
by muhammad_19k
Mon Sep 24, 2007 7:36 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

kis t^arH kahooN, kaise kahooN, kyaa daikh rahaa hooN har Husn ke parday meN khudaa daikh rahaa hooN. Hairan hooN kis qism ki ye jalwaa gari hai. hay sab meN magar sab se judaa daikh rahaa hooN. naSeH ki nazar maire gunaahoN pe hai laikin meN reHmat baari ki adaa daikh rahaa hooN. kis shokh ne ulTa...
by muhammad_19k
Fri Sep 21, 2007 6:03 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

bulaa ke paas kissi fitna gar ne looT leeyaa mareez e dard ko khud chaara gar ne looT leeyaa na pooch qiSSa e shab haaye intzaar na pooch kissi Haseen ki shaam o seHar ne looT leeyaa. kahaaN mujaal ke phir aarzoo-aye deed kareN hameN to aap ki pehli nazar ne looT leeyaa hai phir talaash ussi sang e...
by muhammad_19k
Thu Sep 20, 2007 6:44 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

nigaah hi se mujhe kuch pilaa ke chhoR diyaa. khudi ke putlay ko bay khud banaa ke chhoR diyaa na uTh sake ga qiyaamat talak khudaa ki qasam k jis ko tu ne nazar se giraa ke chhoR diyaa hamaari aankhoN ne zarray bhi chun leeaye us ke tumhaaray jalway ne jis ko jalaa ke chhoR diyaa tiri nigaah ki sa...
by muhammad_19k
Thu Sep 20, 2007 12:16 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

aaj phir dard ki shiddat hai khudaa khair karay josh par phir mairi weHshat hai khudaa khair karay phir tairi yaad ne cheRa maire armaanoaN ka phir taire milne ki Hasrat hai khudaa khair karay mairi faryaad bhi sun-nay ki jisay taab naheeN aise bay dard se ulfat hai khudaa khair karay aakhiri waqt ...
by muhammad_19k
Thu Sep 20, 2007 12:07 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

ye aarzoo naheeN hai ke qaaim ye sir rahay. mairi dua to hai ke tairaa saNg e dar rahay aye saaqi tairi khair, taire maikaday ki khair, aisi pilaa ke jis ka nashaa umr bhar rahay furqat ki sakhtiaN mujhe manzoor heN magar itnaa zaroor ho ke tujhe bhi khabar rahay. aye jaan e jaaN tu hi to hai maqSo...
by muhammad_19k
Thu Sep 20, 2007 12:04 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Muhammad Azam Chishti RA
Replies: 5
Views: 864

Muhammad Azam Chishti RA

Dosto, is meN kyaa shak hai ke urdu adab ke ufaq par bohat se gumnam sitaray apni roshni nichaawar karte rahay heN. un hi meN se aik naam janab Muahmmad Azam Chishti RA ka hai. meN khud ko is qaabil naheeN paata ke un ka t'aaruf karwaa-sakooN. is leeaye un ki takhleeqat gaahay bigaghay pesh karta ra...
by muhammad_19k
Thu Sep 20, 2007 7:25 am
Forum: Moshaairah
Topic: guzarish # 32 aapkay hawaalay
Replies: 6
Views: 726

Mohtaram Janab Haamid SaHeb aap ki ye ghazal bhi mozoo'aat ke 'aitbaar se shaandaar aor taghuzal ke 'aitbaar se behtareen hai. har sher apne ma'aani meN saaf aor bunat bhi mazboo^t lag rahaa hai. kayee baar is baat ka zikr ho chukaa hai ke jo mazaamen aap nikaalte heN un meN aisay achhchay sher keh...
by muhammad_19k
Thu Sep 13, 2007 12:19 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nazm --- Juda deeN hay juda duniya
Replies: 4
Views: 361

Doctor SaHeb

aik achchi koshish par mubaarak baad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Thu Sep 13, 2007 11:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nazm --- Juda deeN hay juda duniya
Replies: 4
Views: 361

Doctor SaHeb

aik achchi koshish par mubaarak baad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Wed Sep 12, 2007 9:37 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 32 --- sohail malik
Replies: 9
Views: 1751

Sohail SaHeb aor muzaffar SaHeb! aap ki yehi baateN sun ker hamaiN bhi kabhi kabhi apnay shaer honay ka gumaan honay lagta hay :-) aor muzaffar SaHeb ki ye baateN paRh kar mujhe aisaa lagtaa hai ke fazool shaairi karne se to achhchha hai ke muzaffar SaHeb jaisi nacr likhne ki practice kar looN. :-)....
by muhammad_19k
Wed Sep 12, 2007 9:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 32 --- sohail malik
Replies: 9
Views: 1751

Sohail bhai waZaaHat ka bohat shukriyaa. meN is sher ko aisaa hi samajh rahaa thaa jaise aap ne farmayaa hai. laikin is ke bawajood ;). janab 'aashiq ki touheen hai ke kissi aor ke dar par jaa-aye ;). aor shaair to hotaa hi 'aashiq hai. chaliaye khair. ye baat to kayee baar ho chuki hai ke har shak...
by muhammad_19k
Wed Sep 12, 2007 9:28 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: : ehl-e-khirad kii khud say Shanaasaa,i kYuuN nahiiN? :
Replies: 6
Views: 675

Waqar SaHeb!

aap theek farmaateN heN. har shakhS ka aik hi taraH sochna mumkin naheeN. aap ne waqt nikaal kar maire leeaye apne ashaar ki tashreeH ki, meN aap ka qarzdaar ho gayaa. shukriyaa qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui