Search found 11 matches

by khudrath ali khan
Wed Nov 07, 2007 9:18 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 5
Views: 628

burjustha sher

muhtharam sara saheba...bahuth burjustha sher tehreer kiya hai..arz-guzashth ye hai ke"jo phool ko shajar pur rehna meyassar hi na raha bhala woh aur kya kahe" tasleem
by khudrath ali khan
Mon Nov 05, 2007 3:25 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 5
Views: 628

[b]aap thamam hazrath ka tah-e-dil se shukrguzar hoon..himmath afzai ka shukriya..khair andesh ...khudrath ali khan
by khudrath ali khan
Sat Nov 03, 2007 6:09 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 5
Views: 628

ek ghazal

nazar khamoosh hai dil bhi bujha sa rehtha hai thera khayal bhi dil se juda sa rehtha hai jis ghadi barsi hai tere visal ki shabnam meri palkon pe woh lamha sa ruka rehtha hai dushth-e-ehsas mein veeran hai lazzath-e-girya hujoom-e-deeda-e-thur bhi thuma sa rehtha hai tera khayal tasavur tera teri ...
by khudrath ali khan
Wed May 30, 2007 7:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek aur ghazal zehmath-e-nazar keliye
Replies: 4
Views: 531

ek aur ghazal zehmath-e-nazar keliye

veeran nazar hai hasrath-e-dil bhi khamoosh hai sur pur hai hushr-e-zeesth tho ghum bhi badosh hai hur shaam aatsheen hai tho hur subha marg-e-nau khana-kharab-e-hasthi-e-dil sukht kosh hai pinhan hai jis mein raaz-e-bayan masti-e-junoon dhonde jise falak ye wohi bada naush hai hairani-e-nazara ban...
by khudrath ali khan
Mon May 28, 2007 5:09 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal...zehmath-e-nazar ke liye
Replies: 1
Views: 184

ek ghazal...zehmath-e-nazar ke liye

kabhi koi apna hua na thha mujhe aap kis liye mil gaye kabhi dard yoon tho hua na thha mujhe aap kis liye mil gaye na hi humsafar na hi humnawa na hi rahbar na hi rahnuma mujhe manzilon ka patha na thha mujhe aap kisliye mil gaye kabhi thhi na apni nigah thur kabhi thhi na apni dhuan sehar kabhi di...
by khudrath ali khan
Mon May 21, 2007 12:32 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Mehfil e sukhan ke liye
Replies: 7
Views: 954

bahut khoob...taba azami bam-e-orooj pur hai....fun apne poore nikhar pur hai...daad qubool farmaein...khudrath
by khudrath ali khan
Fri May 04, 2007 1:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal - Meray Saaqi
Replies: 3
Views: 362

bahuth khoob..andaz asatezaon ka hai...daad qubool kijiye
by khudrath ali khan
Sat Apr 21, 2007 3:57 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm
Replies: 4
Views: 395

bahut khoob

bahut khoob....jama-e-jiddath zor-e-kalam mein wazeh aur ayaan hai...allah zor-e-khalam mein aur chashni de....khudrath
by khudrath ali khan
Wed Apr 18, 2007 1:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 4
Views: 310

mukarrami sbashwar sahed shukrya himmat afzai ka....khudrath ali khan
by khudrath ali khan
Wed Apr 18, 2007 4:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 4
Views: 310

ek ghazal

na woh jaan rahi na woh dil raha na hi dil ki phir woh lugi rahi na sukoon raha na junoon raha na khayal-e-khana dari rahi na malal-e-ishq-e-buthan raha na sawal-e-soz-nehan raha jo raha so deeda-e-thur raha jo rahi so daman thuri rahi na hi ghum tera na hi justuju na hi soz-e-ghum na hi aarzoo na ...
by khudrath ali khan
Tue Apr 10, 2007 7:02 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khushamdeed Khudrath Ali Khan
Replies: 1
Views: 335

its very courteous of you to extend and accept me...im sure and confident that this forum will enhance my well founded curiosity and happy proportions...shukriya once again khudrath ali khan