Search found 30 matches

by afzalshah
Wed Jan 07, 2009 2:49 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: salaam yaa husain aik matla,aik she'r
Replies: 2
Views: 290

salaam yaa husain aik matla,aik she'r

aik matla,aik she'r nazr-e-husain
nazr-e-muslemeen wa muslimaat
AFZAL SHAH


jo zindegaani ko apnay acar men rakhtay haiN
husain ibn-e-ali ko nazar meN rakhtay haiN

qadam ko Choomtay heN unkay raastay afzal
jo khud ko karb-o-balaa kay safar meN rakhtay haiN
afzal shah
by afzalshah
Tue Jan 06, 2009 11:09 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: نئے سال کی نئی غزل
Replies: 2
Views: 297

Re: نئے سال کی نئی غزل

[img][img][/img][/img]نئے سال کی نئی غزل

janaab aabarqi sahib
adaab!
kia kehnay sahib
umadah koshish hay
meri janib say aapko naya bhi mubarik ho
or aapki na'ee ghazal par bhi
is meN mahbbat -o-akkhu'at ka paighaam bhi hay
or gay saal kay halaat bhi
meri taraf say daad qubool kijay

khair ...
by afzalshah
Tue Jan 06, 2009 10:51 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: muHarramul Haraam k Hawaale se
Replies: 5
Views: 579

Re: muHarramul Haraam k Hawaale se

Sabki khidmat maiN salaam

saaneHa-e- kerbalaa bhulaaey jaane waala waqia nahiN hai. is ki yaad her muslamaan k dil mai aik zaKhm ban ker rehti hai.

aik nehaayat aajizana koshish bayaad-e-shaadat-e-Hadhrat-e-Imaam Hussain Alihis alaam

aap sabki basaartoN ki nazr kerti hoN. Allah Ta'ala qabuul ...
by afzalshah
Tue Jan 06, 2009 10:12 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar
Replies: 6
Views: 648

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

Mohtaram Afzal Shah Saheb
:salaam:

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Kya kehne. Bohat khoob. Aapki ye ghazal ko bar bar paRhne ko ji chahta hai. Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar ...
by afzalshah
Tue Jan 06, 2009 10:05 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal
Replies: 6
Views: 1036

Re: aik Ghazal

Mohtaram Afzal Shah Saheb
:salaam:

aam tha pyar ka chalan pehle
ab zamanay meiN ye riwaj nahiN

ehtaram-e-bashr ka daur ghaya
ab wo insaan ka mizaaj nahiN

Bohat khoob. Bohat hi umda nawazish rahi.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar


janaab Salem Bashwar sahib!

adaab-o ...
by afzalshah
Sat Dec 27, 2008 3:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR
Replies: 14
Views: 3451

Re: AIK GHAZAL AHBAB KI NAZR

muhtaram sajhasmi sahib

umeeed -e-wasiq hay keh aap khair say hoNgay

ustaad mushtaaq shabnam sahib wqa'ee bohut baRay aor ustaad shayer thay

wesay to is say qabl mwenay ye she'r nah paRha tha nah suna tha jahaN tak meray ustaad ka ta'alluq hay
to unhoN nay aaj tak esa nahiN kia jis say kisi ko ...
by afzalshah
Sat Dec 27, 2008 2:19 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal
Replies: 6
Views: 1036

Re: aik Ghazal

Bhai Afzal Shah shb Aadab!

aap ki ghazal peRhker jee khush howa waisay tu tamam hi ashaar bohat achay haIN lakin kuch shair tu bas bohat hi khoob...

lagay rahaiN bohat khoob jarahay haiN.....

Allah karay zoray qalam aur zayada....

Ehtesham Anwar

bhai ehtishaam anwer

taslimaat ...
by afzalshah
Sat Dec 27, 2008 2:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Ghazal
Replies: 6
Views: 1036

Re: aik Ghazal

WAQT KA TAAZDAAR HOON MAIN BHI
YE ALAG BAAT SAR PE TAAZ NAHIN

WAH WAH.. BOHAT KHOOB.... PURI GHAZAL DILNASHEEN LAB-O-LEHZE MAIN KAHI GAYI HAI... PADHNE MAIN BOHAT MAZAA AAYA.... BAS YEH SHER

AYE MERE DOST DUSHMANI KE SEWA
KYA TUJHE KOYI KAAM KAAZ NAHIN?

Agar Dost ko Dushmani ke sewa koyi aur ...
by afzalshah
Sat Dec 27, 2008 12:16 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 174890

Re: PASANDEEDA ASH,AAR

gharat gar-e-chaman ye talaafi ki shart hay
jo shaakh jis jag'h thi wohiN chaahiay mujhay

mumkin nahiN ta'yyun-e-manzil pe ittefaaq
tum aasmaaN pasand zameeN chaahiay mujhay

shuhra'aafaaq shaayer
naseer koti sahib
by afzalshah
Sat Dec 27, 2008 12:09 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 174890

Re: PASANDEEDA ASH,AAR

aiy dasht-e-junooN kkuch ho sitam ab to siwa aor
aaiga nahiN mujh sa ko'ee aaabla pa aor

maiN alam-e-imkaaN ki hoN hairat meN abhi gum
aiy gum'shudah-e-shaoq de shu'loN ko hawa aor

ehtishaam anwer shaa'er
by afzalshah
Fri Dec 26, 2008 11:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar
Replies: 6
Views: 648

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

dunya meN aish-o-ishrat-o-daolat ki aarzoo
insaaniyat ki raah meN diwaar thi so hay

Masha'Allah....

Mohtaram Afzal Shah Saaheb... kya khoon ghazal pesh kii hai aap ne... dil o nazar dono ghayaal ho gaye... mandarza bala sher mujhe behad pasand aaya.

Allah kare aap roz roz aisi pyari pyari ...
by afzalshah
Fri Dec 26, 2008 11:32 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar
Replies: 6
Views: 648

Re: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

moHtaram AfZ^al Shah SaaHib aadaab!

Aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar huee. kiya kehne lut^f aageya. har har Harf se Saadaa-e-naalah shewan sunaee de rahee. jo Gham in sut^oor meN bayaN nah ho sakaa. woh baen-ul-sut^oor se aashkaar hai. meree jaanib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

ye ...
by afzalshah
Mon Dec 22, 2008 6:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar
Replies: 6
Views: 648

yoN to usay maiN daikh chuka hoN hazaar baar

ahbaab ki nazr aik aor ghzal umeed hay pasand aaigi
raay ka muntazir
afzal shah

ye zindagi azal say hi dushwaar thi so hay
jaisay ye aik jaadah-e-pur khaar thi so hay

iski ko'ee dawa hi nahiN charagar kay paas
yaani hamaari saoch jo biimaar thi so hay

nafrat ki aag nay hamain barbaad kar diya ...
by afzalshah
Sun Dec 21, 2008 1:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
Replies: 3
Views: 394

Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

kia kehanay muneeer armaan nasimi sahb
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN

khairandaish
afzal shah
by afzalshah
Sun Dec 21, 2008 1:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: taazah ghazal
Replies: 10
Views: 1471

Re: taazah ghazal

salaam

aik taazah ghazal aap ki nazr.
aara ki mutaZir rehoN gee.

wassalam


justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai

khaak kaa putlaa aur yeh aizaaz
raabtay aasmaan rakhtaa hai

tund khuee maiN bhool jaaey bashar
jaan hai tau jehaan rakhtaa hai

bhool jaata hai josh maiN ...