tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by nigaah »

Assalam alaikum


ye Ghazal ek muqaablay maiN bheji thi....kaiee din say chaah rahi thi ke urdu bandhan per post kar dooN...lekin kuch taleemi masroofiyat aisi thiN ke kisi kaam ka hosh nahiN tha....bahar kaif....Ghazal abb haazir hai..... :-)

rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa

roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa

ik lagaao hai ajab saa hamaiN veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa

hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa


Nigaah
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by Mahtab Qadr »

nigaah wrote:Assalam alaikum


ye Ghazal ek muqaablay maiN bheji thi....kaiee din say chaah rahi thi ke urdu bandhan per post kar dooN...lekin kuch taleemi masroofiyat aisi thiN ke kisi kaam ka hosh nahiN tha....bahar kaif....Ghazal abb haazir hai..... :-)

Nigaah sahiba bahut umda ghazal inayat ki hai aapne , mashkoor haiN ham sab.

rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa
waah wah ..

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa
bahut khoob jor ke kaffaaray ka jawab nahi , bahut acha isstemal kia hai aapne

roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa
acha sher hai magar pahle misre mai agar "aah o fughaani keeje" ke bajaye "roz ki baat pe ham aah o fughaaN kia karte" ziada munasib ho sakta hai. ya phir aap jaise munasib samjheiN.

ik lagaao hai ajab saa hamaiN veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa
khoob


hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa
acha khyal hai

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa
bahut umda bahut acha sher hai , waah waah.

shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa
waah waah ghazal ka shandar sher hai. bahut khoob

Nigaah
asad
-
-
Posts: 16
Joined: Sun Jan 23, 2005 9:11 pm

Post by asad »

Nigaah Sahiba,
Adab!
aapki Ghazal bohat pasaNd aayee!!
Ghazal mashaAllah pooree hi bohat umdah hai!....lekin is sh'er ki baat hi aur hai...

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

kya khoob kahaa hai! subhanAllah!

khairaNdesh
asad
har ek se vo bazm mein shab poochte the naam
thaa lutf jo koii miraa hamnaam nikaltaa:)
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by Hashmat Usmani »

salaam Nigaah saaHiba,

ummeed hai ki aapke mizaaj ba_Khair hoNge. aapse shaayad merii yeh pahlii sharf-e-mulaaqaat hai. is bazm emN aapkaa teh-e-dil se Khair maqdam hai.

aapkii Ghazal nazar_guzaar huii aur yaqeen jaaniiye mujhe be_intehaa lutf aayaa. ek ek sher par daad o taHseen ke kalimaat adaa huye. bahot umda...marHaba...subhaan Allah!

yuN to saare hii ash'aar Khoob se Khoob_tar haiN magar phir bhii mujhe zel meN darj ash'aar nisbatan kuchh ziyaada hii pasand aaye:


rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa

hum wo Khuddaar haiN, Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa
Image
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by nigaah »

Mahtab Qadr wrote:
nigaah wrote:Assalam alaikum


ye Ghazal ek muqaablay maiN bheji thi....kaiee din say chaah rahi thi ke urdu bandhan per post kar dooN...lekin kuch taleemi masroofiyat aisi thiN ke kisi kaam ka hosh nahiN tha....bahar kaif....Ghazal abb haazir hai..... :-)

Nigaah sahiba bahut umda ghazal inayat ki hai aapne , mashkoor haiN ham sab.

rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa
waah wah ..

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa
bahut khoob jor ke kaffaaray ka jawab nahi , bahut acha isstemal kia hai aapne

roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa
acha sher hai magar pahle misre mai agar "aah o fughaani keeje" ke bajaye "roz ki baat pe ham aah o fughaaN kia karte" ziada munasib ho sakta hai. ya phir aap jaise munasib samjheiN.

ik lagaao hai ajab saa hamaiN veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa
khoob


hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa
acha khyal hai

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa
bahut umda bahut acha sher hai , waah waah.

shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa
waah waah ghazal ka shandar sher hai. bahut khoob

Nigaah
Mahtab Qadr sahab

aap ka jawaab hamesha hi mufassil aur bharpoor hausla afzaai liye hota hai.......aap ki bay hud mamnoon hoon is nawaazish ke liye.....

Ghazal aap ko pasand aayi .....husn-e-nazr hai aap ka...

aap nay jo soorat paish ki hai,

"roz ki baat pe hum aah-o-fuGhan kia kartay"

ye waaqai qadray behter soorat hai...kiuNke "aah-o-fuGhaani" sahi lafz hai bhi nahiN.....ye mujh baad maiN ek aur mehfil maiN ilm hua.....

is raahnumaai ke liye main saraapa tashakkur hooN.....yuNhi bina rukay jab bhi koi islaahi baat zehn maiN aaye likh diya kijye ....mujhay bohut acha lagay ga....

Nigaah
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by Anis Hasan »

Mohtarma Nigaah aap ki yeh ghazal majmooyee taur par buhat achi hai taham mujhay zaati taur par yeh ashaar ziyada pasand aayay.

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa


hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

Meri jaanib say daad qabool kijiyay.
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Post by najma »

nigaah wrote:Assalam alaikum


ye Ghazal ek muqaablay maiN bheji thi....kaiee din say chaah rahi thi ke urdu bandhan per post kar dooN...lekin kuch taleemi masroofiyat aisi thiN ke kisi kaam ka hosh nahiN tha....bahar kaif....Ghazal abb haazir hai..... :-)

rashk ki zad meN har ik taair-e-aazaad aayaa
jis ko ik baar nazar bhi miraa sayyaad aayaa

tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN
too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa

roz ki baat pe kiaa aah-o-fuGhaani keeje
kia hua aaj bhi qaasid miraa naashaad aayaa

ik lagaao hai ajab saa hamaiN veeraanoN say
raah lete haiN badal, sheher jo aabaad aayaa

hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay
bhool kar lab pe agar kalmaa-e-faryaad aayaa

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

shaadi-e-marg na ho jaaye kahiN hum pe Nigaah
aaj un ko hai Khayaal-e-dil-e-barbaad aayaa


Nigaah


waah nigaah sahiba!
aapki ghazal ha har she,r umda aur daad k qabil hay.
bohat khoob
dheroN daad qubool kijiye
:-)
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

asad wrote:Nigaah Sahiba,
Adab!
aapki Ghazal bohat pasaNd aayee!!
Ghazal mashaAllah pooree hi bohat umdah hai!....lekin is sh'er ki baat hi aur hai...

haaye ye aadat-e-nisyaaN! ke Khafaa the us say
us nay hi yaad dilaaya, na hamaiN yaad aayaa

kya khoob kahaa hai! subhanAllah!

khairaNdesh
asad
Asad Sahab

aap ki hausal afzaai ka bay hud shukriya ......aaienda bhi inaayat jaari rakhiye

Nigaah
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtarmah Nigaah SahibaH,

Aapki Ghazal bharpoor tawajjo ke saath paRhee har sher se mahzooz hoa. Bahut achchee kawish hai. Zindabad.

Khoosh raheN,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Nigaah sahiba, v'assalaam!

aap kii Ghazal bahut pasand aayii. daad qubuul keejiye! chand ek maqaamaat par zaraa sii bahtarii kii gunjaaish nazar aayii. sochaa arz kartaa chaluuN. aage aap kii marzii! :-)

sher #2: :tujhe maaNguuN maiN: kii jagah :tujh ko maaNguuNgii:
sher #3: :aah-o-fuGhaanii keeje: kii jagah :aah-o-fuGhaaN kii jaaye: duusre misre meN jo/agar kii kamii khal rahii hai.
sher #4: :raah lete haiN: kii jagah :raah ham leNge:
sher#6: agar aap kisii se Khafaa haiN, to is kii yaad.dahaanii ke kyaa maanii? :Khafaa the us se: kii jagah :manaanaa thaa use: kar ke dekhiye.
maqta: :shaadii-e-marg: aTpaTaa lagtaa hai, aur phir :shaadii (yaanii Khushii) kisii :ko: hotii hai, kisii :pe: nahiiN. is misre par nazar-e-saanii kar leejiye.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply