Welcome Shummu

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Bahut Shukriya Saara jee..lekin humein aap se shikayat hai...aapne apni site banayi aur humein bataya bhi nahi na hi invite kiya.. :cry: woh to Hashmat sahab ne aap ki site ka bataya to hum Daure chale aaye..khair ab to hum aa gaye aur aap ne humein welcome bhi kara hai isliye no more shikaayat :D

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Shummu,

Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman!

aaiye aaiye aur padhaariye...waah kia baat hai...aapke aane se yaqeen jaaniye yuN laga jaise ki bahaar aa gaii is chaman meN... Saara inheN zaraa thaam ke baiThiyegaa aur inke kalaam ke liye apnaa dil thaam ke.

aatii jaatii rahiiyega Shummu aur apne kalaam se ham sab ko faiz_yaab hone ka mauq'a dijiiyega...


sho'la sa lapak uTThe hai awaaz o kalaam to dekho!

ummeed hai ki aapkaa waqt yahaaN Khoob se Khoob_tar guzregaa. shukria tashreef aavorii ka.
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

wowwwwww. zahe naSeeb, zahe naSeeb . yeh maiN kyaa dekh raha hoN :shock: . ab to is MB ki taraqqi chogni hojaayegee :D . ajee kyoN na hojaaye MoHtarama Shumaai'la jee ne jo apne mubarak qadam rakhdeye haiN. baqol-e-ghaalib
"JahaaN tira naqsh-e-qadam dekhte haiN
KhayaabaaN khayaabaaN iram dekhte haiN"


Khush aamadeed, Jee aayaaN noN, Pa-kher raghale, Ahlan wa-sahlan-wa-maRhabaa, Welcome, Wash aatke,...........

MokhliS : Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Khushaamadeed

Post by Abdullah Nazir »


SHUMAILAH BAIHAN

Behad khushi houi ke aap apne hii is ghar meiN tashreef laakar usko chaar chaand lagaadiye.


"wo aayen ghar meiN hamaare khudaa ki qudrat hei
kabhi ham unko kabhi apne ghar ko dekhte heiN"

K
H U S H AAMADEED.


Aapka Mukhlis,

Nazir.
User avatar
Naveed_Ahmad_Naveed
-
-
Posts: 68
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
Location: Pakistan
Contact:

Post by Naveed_Ahmad_Naveed »

Slaam Shummu


tumhara dil ki gehraioN se istqbaal hai is mehfil meiN. :D
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam alekum,




WELLCOME SHUMAILA JEEE
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Hashmat Usmani wrote:salaam Shummu,

Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman!

aaiye aaiye aur padhaariye...waah kia baat hai...aapke aane se yaqeen jaaniye yuN laga jaise ki bahaar aa gaii is chaman meN... Saara inheN zaraa thaam ke baiThiyegaa aur inke kalaam ke liye apnaa dil thaam ke.

aatii jaatii rahiiyega Shummu aur apne kalaam se ham sab ko faiz_yaab hone ka mauq'a dijiiyega...


sho'la sa lapak uTThe hai awaaz o kalaam to dekho!

ummeed hai ki aapkaa waqt yahaaN Khoob se Khoob_tar guzregaa. shukria tashreef aavorii ka.
arey Hashmat sahab shukriya to humein aap ka ada karna chaahiye jo is mehfil mein aane ki daawat di :) so tah-e-dil se shukriyaaa qubool farmaayein...inshaAllah aati jaati rahungi...!

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Star Mind wrote:wowwwwww. zahe naSeeb, zahe naSeeb . yeh maiN kyaa dekh raha hoN :shock: . ab to is MB ki taraqqi chogni hojaayegee :D . ajee kyoN na hojaaye MoHtarama Shumaai'la jee ne jo apne mubarak qadam rakhdeye haiN. baqol-e-ghaalib
"JahaaN tira naqsh-e-qadam dekhte haiN
KhayaabaaN khayaabaaN iram dekhte haiN"


Khush aamadeed, Jee aayaaN noN, Pa-kher raghale, Ahlan wa-sahlan-wa-maRhabaa, Welcome, Wash aatke,...........

MokhliS : Zia Baloch

Zia sahab aap ne to is garam joshi se hamara khairmaqdam kiya hai ke humein lajawaab hi kar diya....aap ki is zarra nawaazi ke liye main aap ki saraapa mamnoon hoon....aap ne to zarre ko aaftaab bana diye ek pal mein magar sach to ye hai ki..

Deedar ke qaabil to kahan meri nazar hai
yeh teri inaayat hai ki rukh tera idhar hai
:mrgreen:

chalein phir ek baar phir shukriya..inshaAllah yahan bhi mulaqaateiN hoti rahengi!

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Khushaamadeed

Post by Shummu »

WEBMASTER wrote:
SHUMAILAH BAIHAN

Behad khushi houi ke aap apne hii is ghar meiN tashreef laakar usko chaar chaand lagaadiye.


"wo aayen ghar meiN hamaare khudaa ki qudrat hei
kabhi ham unko kabhi apne ghar ko dekhte heiN"

K
H U S H AAMADEED.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Salaam Nazir bhai sab se pehle to bahut dher saari MUBARAKBAAD qubool farmaayein is site ke liye.. aur Bhai aap ne to waAllah humein sharminda hi kar diya ye keh ke... :oops: magar bahut khushi bhi hui ke aap jaisi shaksiyat ne mera itna waalihaana welcome kiya....shukriya bahut bahut bahut! :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Naveed_Ahmad_Naveed wrote:Slaam Shummu


tumhara dil ki gehraioN se istqbaal hai is mehfil meiN. :D

w'salaam Naveed jee..kaise hain aap..long time no see...good to see u here...Although hum sab yahan naye hain magar phir bhi aapne mujhe welcome kiya dekh kar accha laga....hamari jaanib se aap ko bhi yahan khushaamadeed :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

khurram_shaikh wrote:Assalaam alekum,




WELLCOME SHUMAILA JEEE

W'salaam!

Shukriya aur aap ko bhi WELCOME Khurram jee :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Once again aap sba ka bahut shukriya !!! :) :D

Image

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
riaz ahmed saraa
-
-
Posts: 46
Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
Location: Lahore
Contact:

Post by riaz ahmed saraa »

Shumaaila sahiba

aadaab

meiN kal hi is site par aaya huN

aap ko yahaaN daikh kar bohat khushi huii ummeed hai k yahaaN bhi aap ki guftago aur kalaam se istafaada karne kaa mouqa milta rahe gaa :)

hamaish khush rahaiN

riaz
Post Reply