Welcome Shummu
Bahut Shukriya Saara jee..lekin humein aap se shikayat hai...aapne apni site banayi aur humein bataya bhi nahi na hi invite kiya.. woh to Hashmat sahab ne aap ki site ka bataya to hum Daure chale aaye..khair ab to hum aa gaye aur aap ne humein welcome bhi kara hai isliye no more shikaayat :D
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam Shummu,
Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman!
aaiye aaiye aur padhaariye...waah kia baat hai...aapke aane se yaqeen jaaniye yuN laga jaise ki bahaar aa gaii is chaman meN... Saara inheN zaraa thaam ke baiThiyegaa aur inke kalaam ke liye apnaa dil thaam ke.
aatii jaatii rahiiyega Shummu aur apne kalaam se ham sab ko faiz_yaab hone ka mauq'a dijiiyega...
sho'la sa lapak uTThe hai awaaz o kalaam to dekho!
ummeed hai ki aapkaa waqt yahaaN Khoob se Khoob_tar guzregaa. shukria tashreef aavorii ka.

wowwwwww. zahe naSeeb, zahe naSeeb . yeh maiN kyaa dekh raha hoN . ab to is MB ki taraqqi chogni hojaayegee :D . ajee kyoN na hojaaye MoHtarama Shumaai'la jee ne jo apne mubarak qadam rakhdeye haiN. baqol-e-ghaalib
"JahaaN tira naqsh-e-qadam dekhte haiN
KhayaabaaN khayaabaaN iram dekhte haiN"
Khush aamadeed, Jee aayaaN noN, Pa-kher raghale, Ahlan wa-sahlan-wa-maRhabaa, Welcome, Wash aatke,...........
MokhliS : Zia Baloch

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Khushaamadeed
SHUMAILAH BAIHAN
Behad khushi houi ke aap apne hii is ghar meiN tashreef laakar usko chaar chaand lagaadiye.
"wo aayen ghar meiN hamaare khudaa ki qudrat hei
kabhi ham unko kabhi apne ghar ko dekhte heiN"
K H U S H AAMADEED.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- Naveed_Ahmad_Naveed
- -
- Posts: 68
- Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
- Location: Pakistan
- Contact:
-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am
arey Hashmat sahab shukriya to humein aap ka ada karna chaahiye jo is mehfil mein aane ki daawat di :) so tah-e-dil se shukriyaaa qubool farmaayein...inshaAllah aati jaati rahungi...!Hashmat Usmani wrote:salaam Shummu,
Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman!
aaiye aaiye aur padhaariye...waah kia baat hai...aapke aane se yaqeen jaaniye yuN laga jaise ki bahaar aa gaii is chaman meN... Saara inheN zaraa thaam ke baiThiyegaa aur inke kalaam ke liye apnaa dil thaam ke.
aatii jaatii rahiiyega Shummu aur apne kalaam se ham sab ko faiz_yaab hone ka mauq'a dijiiyega...
sho'la sa lapak uTThe hai awaaz o kalaam to dekho!
ummeed hai ki aapkaa waqt yahaaN Khoob se Khoob_tar guzregaa. shukria tashreef aavorii ka.
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Star Mind wrote:wowwwwww. zahe naSeeb, zahe naSeeb . yeh maiN kyaa dekh raha hoN . ab to is MB ki taraqqi chogni hojaayegee :D . ajee kyoN na hojaaye MoHtarama Shumaai'la jee ne jo apne mubarak qadam rakhdeye haiN. baqol-e-ghaalib
"JahaaN tira naqsh-e-qadam dekhte haiN
KhayaabaaN khayaabaaN iram dekhte haiN"
Khush aamadeed, Jee aayaaN noN, Pa-kher raghale, Ahlan wa-sahlan-wa-maRhabaa, Welcome, Wash aatke,...........
MokhliS : Zia Baloch
Zia sahab aap ne to is garam joshi se hamara khairmaqdam kiya hai ke humein lajawaab hi kar diya....aap ki is zarra nawaazi ke liye main aap ki saraapa mamnoon hoon....aap ne to zarre ko aaftaab bana diye ek pal mein magar sach to ye hai ki..
Deedar ke qaabil to kahan meri nazar hai
yeh teri inaayat hai ki rukh tera idhar hai :mrgreen:
chalein phir ek baar phir shukriya..inshaAllah yahan bhi mulaqaateiN hoti rahengi!
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Khushaamadeed
WEBMASTER wrote:
SHUMAILAH BAIHAN
Behad khushi houi ke aap apne hii is ghar meiN tashreef laakar usko chaar chaand lagaadiye.
"wo aayen ghar meiN hamaare khudaa ki qudrat hei
kabhi ham unko kabhi apne ghar ko dekhte heiN"
K H U S H AAMADEED.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Salaam Nazir bhai sab se pehle to bahut dher saari MUBARAKBAAD qubool farmaayein is site ke liye.. aur Bhai aap ne to waAllah humein sharminda hi kar diya ye keh ke... magar bahut khushi bhi hui ke aap jaisi shaksiyat ne mera itna waalihaana welcome kiya....shukriya bahut bahut bahut! :)
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Naveed_Ahmad_Naveed wrote:Slaam Shummu
tumhara dil ki gehraioN se istqbaal hai is mehfil meiN. :D
w'salaam Naveed jee..kaise hain aap..long time no see...good to see u here...Although hum sab yahan naye hain magar phir bhi aapne mujhe welcome kiya dekh kar accha laga....hamari jaanib se aap ko bhi yahan khushaamadeed :D
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 46
- Joined: Thu Dec 16, 2004 8:13 am
- Location: Lahore
- Contact: