Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Azeezan.e Gramai, Tasleem
Mohtram Nazir sahab ne jo misra tajveez farmaya tha uss meN Hazal pahle hi irsal kar chuka hooN. Ab ek mukhtasar see Ghazal bhi haazir-e khidmat hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Muscat - Oamn
-------------------------------------------------------------------------
Dar hai iss meN bhi koii chaal na ho
Dosti dostoN ka jaal na ho
Tujh sa koii rukh-e jamal na ho
Husn-e janaN tiree misaal na ho
Intahaa-e kamaal hai woh shaKhs
Jis se baRhker shikasta haal na ho
Ai taraqqi pasaNd ! apnaa le
Aisa rastaa ke jismeN dhhal na ho
Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho
Yaad rakhkho koii kamal nahiN
Jiskee taqdeer meN zawaal na ho
Kitna besharm hai woh ai “Jawaid”
Jurm karke jise malaal na ho

Last edited by jawaid badauni on Wed Jan 12, 2005 6:28 pm, edited 1 time in total.
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
jawaid badauni wrote:Azeezan.e Gramai, Tasleem
Mohtram Nazir sahab ne jo misra tajveez farmaya tha uss meN Hazal pahle hi irsal kar chuka hooN. Ab ek mukhtasar see Ghazal bhi haazir-e khidmat hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Muscat - Oamn
-------------------------------------------------------------------------
Dar hai iss meN bhi koii chaal na ho
Dosti dostoN ka jaal na ho
Tujh sa koii rukh-e jamaal na ho
Husn-e janaN tiree missal na ho
Intahaa-e kamal hai woh shaKhs
Jis se baRhker shikasta haal na ho
Ai taraqqi pasaNd ! apnaa le
Aisa rastaa ke jismeN dhhal na ho
Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho
Yaad rakhkho koii kamal nahiN
Jiskee taqdeer meN zawaal na ho
Kitna besharm hai woh ai “Jawaid”
Jurm karke jise malaal na ho
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami J.B SaaHib, aap ki kaavish hameN jee jaan se pasand aayee :D . mashaa Allah bahut hi u'mdah asha'aar aap ne nikaale haiN. mujhe pori ghazal hi pasand aaye. daad qabool kejeye :D
mokhliS : Zia Baloch[/b]
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Star Mind wrote:jawaid badauni wrote:Azeezan.e Gramai, Tasleem

Jurm karke jise malaal na ho[/b]
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami J.B SaaHib, aap ki kaavish hameN jee jaan se pasand aayee :D . mashaa Allah bahut hi u'mdah asha'aar aap ne nikaale haiN. mujhe pori ghazal hi pasand aaye. daad qabool kejeye :D
mokhliS : Zia Baloch[/b]
Azeezi Zia Baloch Sahab, Tasleem
Sub se pahle to yeh ke mujhe aapka tarz-e takallum khusoosan aapke alqaab bahut pasaNd aaye. Ab tak kisee ne mujhe "J.B.Sahab" kah ker nahiN pukara tha. Iss munfarid andaze guftagoo ke liye shukriya.
Aaapke mukammil khat see aap ka khuloos numayaN hai. Itnee sada see ghazal aap ko itni pasaNd aayee yeh bhi khuloos wali baat hai.
Marhoon-e minnat hooN aapka.
Jawaid Badauni
Muscat Oman
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
jawaid badauni wrote:Star Mind wrote:jawaid badauni wrote:Azeezan.e Gramai, Tasleem
Mohtram Nazir sahab ne jo misra tajveez farmaya tha uss meN Hazal pahle hi irsal kar chuka hooN. Ab ek mukhtasar see Ghazal bhi haazir-e khidmat hai. Ummid hai pasaNd farmayeNge.
Khair Andesh,
Jawaid Badauni
Muscat - Oamn
-------------------------------------------------------------------------
Dar hai iss meN bhi koii chaal na ho
Dosti dostoN ka jaal na ho
Tujh sa koii rukh-e jamaal na ho
Husn-e janaN tiree missal na ho
Intahaa-e kamal hai woh shaKhs
Jis se baRhker shikasta haal na ho
Ai taraqqi pasaNd ! apnaa le
Aisa rastaa ke jismeN dhhal na ho
Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho
Yaad rakhkho koii kamal nahiN
Jiskee taqdeer meN zawaal na ho
Kitna besharm hai woh ai “Jawaid”
Jurm karke jise malaal na ho[/b]
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami J.B SaaHib, aap ki kaavish hameN jee jaan se pasand aayee :D . mashaa Allah bahut hi u'mdah asha'aar aap ne nikaale haiN. mujhe pori ghazal hi pasand aaye. daad qabool kejeye :D
mokhliS : Zia Baloch[/b]
Azeezi Zia Baloch Sahab, Tasleem
Sub se pahle to yeh ke mujhe aapka tarz-e takallum khusoosan aapke alqaab bahut pasaNd aaye. Ab tak kisee ne mujhe "J.B.Sahab" kah ker nahiN pukara tha. Iss munfarid andaze guftagoo ke liye shukriya.
moHtarami Jawed Badauni SaaHib,
aSl maiN , maiN bahut jaldi maiN thaa, aur "al-a'jalatu mina-sh-shait^an" k miSdaaq mujh se yeh gustaakhi sarzad hogayee
jis keleye maiN tah-e-dil se ma'zirat chaahtaa hoN :D . umeed hai k qaboll farmaayeNge. shukriya
mokhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Star Mind wrote:jawaid badauni wrote:Star Mind wrote:
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami J.B SaaHib, aap ki kaavish hameN jee jaan se pasand aayee :D . mashaa Allah bahut hi u'mdah asha'aar aap ne nikaale haiN. mujhe pori ghazal hi pasand aaye. daad qabool kejeye :D
mokhliS : Zia Baloch[/b]
Azeezi Zia Baloch Sahab, Tasleem
Sub se pahle to yeh ke mujhe aapka tarz-e takallum khusoosan aapke alqaab bahut pasaNd aaye. Ab tak kisee ne mujhe "J.B.Sahab" kah ker nahiN pukara tha. Iss munfarid andaze guftagoo ke liye shukriya.
moHtarami Jawed Badauni SaaHib,
aSl maiN , maiN bahut jaldi maiN thaa, aur "al-a'jalatu mina-sh-shait^an" k miSdaaq mujh se yeh gustaakhi sarzad hogayee
jis keleye maiN tah-e-dil se ma'zirat chaahtaa hoN :D . umeed hai k qaboll farmaayeNge. shukriya
mokhliS : Zia Baloch
KyooN shaminda karte haiN Zia sahab. Chalta hai. Mujhe to bahut achcha laga aap ka yeh andaaz.
Khoosh RaheN
Jawaid Badauni
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Aapki Tarahi ghazal bahut achchi hei
Muhtarami
JAWAID Badaayooni Saahib
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki TaraHi ghazal baasira navaaz houi. Saare ashAar khoob heiN khaaskar mujhe yeh sheAr bahut ziyaadah pasand aayaa:
"Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho "
Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Aapki Tarahi ghazal bahut achchi hei
Abdullah Nazir wrote:
Muhtarami
JAWAID Badaayooni Saahib
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Aapki TaraHi ghazal baasira navaaz houi. Saare ashAar khoob heiN khaaskar mujhe yeh sheAr bahut ziyaadah pasand aayaa:
"Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho "
Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Janab Abdullah Nazir Sahab, Aadab,
Ghazal per tabsare ke liye aap ka marhoon-e minnat hooN.
Bahut bahut shukriya.
Khulooskaar,
Jawaid Badauni
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
salaam Javed saaHib,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. aapkii Hazal ke ba'd aaj aapkii yeh taraHii Ghazal paRhii aur bas daad be_saakhta muNh se nikal gaii...subHaan Allah, bahot umda kalaam pesh kiya hai. ek ek she'r maanind e durr-e-naa_yaab hai. kisi ek she'r kii traf ishaara karna be_jaa hogaa kiuNki sabhii ash'aar bahot hii Khoob haiN...chaliye, un ash'aar ka zikr karta hii chaluN jo mujhe be_Had pasand aaye:
Dar hai is meN bhi koii chaal na ho
dostii! dostoN ka jaal na ho
intahaa-e kamaal hai vo shaKhs
jisse baRh kar shikastah Haal na ho
dene_vaaloN se kah raha tha faqeer
mere jaisa tumhara haal na ho
Allah kare zor e qalam aur ziyaada. ek umda aur kaamiyaab Ghazal kahne par merii jaanib se DheroN daad aur mubaarak_baad qubool farmaaiye.
faqat Khaak_saar,
Hashmat

Wah janaab waah...hazal ke baad ghazal bhi aap ki paRhi aur kya kehne..intehaaii saad alfaaz mein khoob keh gaye aap...daad haazir hai..wubool farmaayein :)jawaid badauni wrote:
Dar hai iss meN bhi koii chaal na ho
Dosti dostoN ka jaal na ho
Intahaa-e kamaal hai woh shaKhs
Jis se baRhker shikasta haal na ho
Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho
Yaad rakhkho koii kamal nahiN
Jiskee taqdeer meN zawaal na ho
Kitna besharm hai woh ai “Jawaid”
Jurm karke jise malaal na ho
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Ghazal ki bahud pazeerayee ki hai ap ne. Jazak Allah. Mamnoon hooN aapka. Mujhe iss baat ki bahut khooshi hai ke mere seedhe saade ashAar aap ko itne achche lage. Shukriya bhai.Hashmat Usmani wrote:salaam Javed saaHib,
ummeed hai ki mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. aapkii Hazal ke ba'd aaj aapkii yeh taraHii Ghazal paRhii aur bas daad be_saakhta muNh se nikal gaii...subHaan Allah, bahot umda kalaam pesh kiya hai. ek ek she'r maanind e durr-e-naa_yaab hai. kisi ek she'r kii traf ishaara karna be_jaa hogaa kiuNki sabhii ash'aar bahot hii Khoob haiN...chaliye, un ash'aar ka zikr karta hii chaluN jo mujhe be_Had pasand aaye:
Dar hai is meN bhi koii chaal na ho
dostii! dostoN ka jaal na ho
intahaa-e kamaal hai vo shaKhs
jisse baRh kar shikastah Haal na ho
dene_vaaloN se kah raha tha faqeer
mere jaisa tumhara haal na ho
Allah kare zor e qalam aur ziyaada. ek umda aur kaamiyaab Ghazal kahne par merii jaanib se DheroN daad aur mubaarak_baad qubool farmaaiye.
faqat Khaak_saar,
Hashmat
Ummid hai aainda bhi yaad karte raheNge.
Khoosh RaheN,
Jawaid Badauni
Muscat - Oman
Last edited by jawaid badauni on Thu Jan 13, 2005 3:52 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal...TUM SE SHAYAD.......
Shumaila BahinShummu wrote:Wah janaab waah...hazal ke baad ghazal bhi aap ki paRhi aur kya kehne..intehaaii saad alfaaz mein khoob keh gaye aap...daad haazir hai..wubool farmaayein :)jawaid badauni wrote:
Dar hai iss meN bhi koii chaal na ho
Dosti dostoN ka jaal na ho
Intahaa-e kamaal hai woh shaKhs
Jis se baRhker shikasta haal na ho
Dene waloN se kah raha tha faqeer
Mera jaisa tumhara haal na ho
Yaad rakhkho koii kamal nahiN
Jiskee taqdeer meN zawaal na ho
Kitna besharm hai woh ai “Jawaid”
Jurm karke jise malaal na ho
Shumaila
Ghazal ko pasand karne ke liye aap ka marhoon-e minnat hooN. Bahut bahut shukriya.
Jawaid Badauni
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
sara_j wrote:Jawaid bhai ,
salam.
waah! abhi hazal ka nasha utra nahi ke aapki ghazal bhi naseeb hogayi.
matla tou behad pasand aaya bohat khoob! tamaam asha'ar bohat umdah hain, aek baar aur daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
Sara main aap ka mail miss kar gaya tha aj hi dekha hai. Ghazal ki pazeerayee ke liye shukria. Nashsha sharab se hota hai Bibi. Woh to ek sada see hazal thee aap sub ko haNsane ke liye. Ghazal bhi ujlat meN kahi hai aap ke mushaaireh meN shirkat karna thi iss liye.
Yaad aavri ka shukriya.
Khair Andesh
Jawaid Badauni
- shahzadwaseem
- nau-waarid
- Posts: 5
- Joined: Tue Jan 04, 2005 1:49 pm
- Location: Somewhere on earth
- Contact:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: