Assalam-o-a'laikum,sara_j wrote:Assalamolaikum.
diye gaye tarahee misre per meri koshish haazir hai. :D
umeed ke pasand ayegi.
Ghazal:
1. tum agar mere hum khayaal na ho
" tumse shaayed koi sawaal na ho"
2. Deeda-e-shauq hei tou sab kuch hei
warnah raana-i-e-jamaal na ho
3. baat dilki jo tum karo mujhse
zindagi ka safar muhaal na ho
4. aankh se jazb karliye aansoo
taakeh mujh se koiee sawaal na ho
5. saath tera hai isqadar piyaaraa
hai tamanna ise zawaal na ho
6. yun guzar jaayeN roz o shab apne
zindagaani kabhii vabaal na ho
7. Dil meiN sheereeN kalaam hei Saara,
Lab yeh kehte heiN Arz-e-Haal na ho
moHtarama Saara Jabeen SaaHiba,
waah ! jee waah ! kyaa khne aap ne tu kamaal hi kardiyaa :D .
mashaa Allah bahut khoobSoorat ghazal kahi hai aap ne. mujhe tamaam asha'aar jee jaan se pasand aayee aur khaaS t^or par aap ne girah bhi khoob lagaane ki koshish ki hai ! bahut khoob !!!
daad-o-taHseen qabool kejeye :D . shukriya
mokhliS : Zia Baloch