Aadaab Dosto...
aaj aap kee khidmat main AHMED FARAZ sahab kee aik ghazal paish kar raha hooN.Umeed hay ka pasand aaye gee
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
QurbatoN Main Bhee....Ahmed Faraz
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- rahmed25682
- -
- Posts: 126
- Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
- Location: Karachi
- Contact:
QurbatoN Main Bhee....Ahmed Faraz
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib

-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam RaHeel saaHib,
Faraaz saaHib kii yeh bahot hii dil_kash Ghazal aur phir us par aapkii utnii hii dil_fareb 'akkaasii paRh kar aur dekh kar dil baaGh baaGh ho gayaa. aapkaa teh-e-dil se shukria. ummeed hai ki aap aise hii umda o urfa kalaam se hameN navaazte raheNge. shukria.
is Ghazal ko [paRH kar be_moHaala Ghaalib kii ek Ghazal zehn meN ubhar aayii:
'ishq vo Gham ki aashufta_bayaanii maaNge
isii taraHii Ghazal par janaab e Raj Kumar "qai's" saaHib kii bhii ek bahot hii a'alaa Ghazal yaad aagayii jo unhoN ne Toronto, Canada meN yaum-e-Ghaalib ke silsile se ek mushaair'e meN paRhii thii aur jise mausoof ne kaii adabii forums par chaspaaN bhi kii thii.
Hashmat
Faraaz saaHib kii yeh bahot hii dil_kash Ghazal aur phir us par aapkii utnii hii dil_fareb 'akkaasii paRh kar aur dekh kar dil baaGh baaGh ho gayaa. aapkaa teh-e-dil se shukria. ummeed hai ki aap aise hii umda o urfa kalaam se hameN navaazte raheNge. shukria.
is Ghazal ko [paRH kar be_moHaala Ghaalib kii ek Ghazal zehn meN ubhar aayii:
'ishq vo Gham ki aashufta_bayaanii maaNge
isii taraHii Ghazal par janaab e Raj Kumar "qai's" saaHib kii bhii ek bahot hii a'alaa Ghazal yaad aagayii jo unhoN ne Toronto, Canada meN yaum-e-Ghaalib ke silsile se ek mushaair'e meN paRhii thii aur jise mausoof ne kaii adabii forums par chaspaaN bhi kii thii.
Hashmat
- rahmed25682
- -
- Posts: 126
- Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
- Location: Karachi
- Contact:
HASHMAT sahab ..
aap kay bay-hadd shukria kay aap nay mery post kee huee ghazal ko pasand kia ..
waqai AHMED FARAZ aisay shayer hain kay jin ka kalaam hota he bara dil-kash hay.
Main apni poori koshish karooN ga kay aainda bhee achhay aur khoobsurat kalam share karooN.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
aap kay bay-hadd shukria kay aap nay mery post kee huee ghazal ko pasand kia ..
waqai AHMED FARAZ aisay shayer hain kay jin ka kalaam hota he bara dil-kash hay.
Main apni poori koshish karooN ga kay aainda bhee achhay aur khoobsurat kalam share karooN.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
WAHHHHHHHHHHH FARAZ sahab ki bahut hi behtareen ghazal aap ne yahan chaspaaN ki hai...kya ash'aar hain..wah...khaaskar 3rd,5th aur 6th sher ke baare mein kya hi kehna...bahut bahut shukriya Raheel sahab share karne ka :)
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai