Aek taazah ghazal baraaye islaah / June 14

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »



Mohtarmah Duniya SahibaH, Tasleemaat

Aapki ghazal dekhee. Achche mazamin haiN aap ne achche koshish ki hai. Meri janib se dad qubool farmaaiye.

Ghazal ko bharpur tawajjo se dekhne ke bAAd maiN iss nateeje per pahooNcha keh aap ko sher kahna aata hai bus misAroN ko thoRee Safaii ki zaroorat hai. Aap ya to kise ustaad se madad hasil kijiye ya Khood apne misAroN per nazr-e saani kijiye aur unheN Saaf karne ki koshish kijiye. Maslan "Raat baqi bahut hai Khuwaab karo". Iss misAre meN Khuwaab karo kuch namunasib sa lagta hai. Khuwaab kabhi kiya nahiN jata dekha jata hai. Agar iss misAre ko yooN kaha jaaye to kitna farq ho jata hai zara Ghaur farmaaiye: "Apnee aaNkhoN ko nazr-e Khuwaab karo."

Ummid hai meree baat aap samajh gayee hoNgee. Agar aap munsib samjheN to apni aaindaH ghazal post karne se qabl mujhe PM kar dijiyega maiN misroN ko Saaf karne kee habt.al.imkaan koshish karooNga.

Khair Andesh,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

wah waah bahut khoob , umda kalam aur achi raye
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: shukriya

Post by jawaid badauni »

dunya wrote:
Ustad Jawaid Badayuni Sahib,

Adaab o Tasleemat,

Aapki qeemati raaye ke liye behad shukriya. Aap ne likhha hei:
Mohtarmah Duniya SahibaH, Tasleemaat

Aapki ghazal dekhee. Achche mazamin haiN aap ne achche koshish ki hai. Meri janib se dad qubool farmaaiye.

Ghazal ko bharpur tawajjo se dekhne ke bAAd maiN iss nateeje per pahooNcha keh aap ko sher kahna aata hai bus misAroN ko thoRee Safaii ki zaroorat hai. Aap ya to kise ustaad se madad hasil kijiye ya Khood apne misAroN per nazr-e saani kijiye aur unheN Saaf karne ki koshish kijiye. Maslan "Raat baqi bahut hai Khuwaab karo". Iss misAre meN Khuwaab karo kuch namunasib sa lagta hai. Khuwaab kabhi kiya nahiN jata dekha jata hai. Agar iss misAre ko yooN kaha jaaye to kitna farq ho jata hai zara Ghaur farmaaiye: "Apnee aaNkhoN ko nazr-e Khuwaab karo."

Ummid hai meree baat aap samajh gayee hoNgee. Agar aap munsib samjheN to apni aaindaH ghazal post karne se qabl mujhe PM kar dijiyega maiN misroN ko Saaf karne kee habt.al.imkaan koshish karooNga.

Khair Andesh,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman


Jee achcha, aayindah maiN aapko pm bhejkar mashwirah karungi. Lekin aek sawal poochnaa chaahti hooN. Aap ne "kharab karo" ko ghalat qarar diyaa hei tou Meer Taqi Meer ke yeh sheAr ghalat hei?

'khuda kareem hei uske karam se rakhkar chashm
daraz kheincho kisi maikade mein khwab karo'

Aapke irshad ki muntazir rahungi.shukriya.

khair andesh,
Dunya,

MohtarmaH Dunya SahibaH

Meer ki zubaan hi alag thee. Aap ki puree ghazal agar Meer ke raNg ya unki zubaan meN hoti to baat deegar thee. Main ne aap ko PM bhi kiya hai dekh lijiyega.

Nez yeh keh maiN Khood tifl-e maktab hooN mujhe Ustaad kahkere shamindah nah kijiye.

Khulooskaar,

Jawaid
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

USTAAD E SUKHAN Jawaid badauni sahib , ham ne kia ghalati ki thi agar aapko is laqab se mukhatib kia tha, ke aapne khud sabit bhi kia ke aap ustaad haiN aur dunya bhi aapko yahi kahti hai, dunya se murad sirf dunya dehlavi hargiz nahi.
niazmand
Mahtab Qadr
Post Reply