INTEHA

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

INTEHA

Post by Steve Almas »

Azeezan-e-Mehfil
Tasleemat..
Taza kalam pesh-e-khidmat he.
Umeed he pasand aaye ga.
:-) :-) :-)


Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Mohatramee S.Almas sahib bahut umda kalam hai kafi din baad aapki ghzal parhna naseeb huva hai , umeed ke ainda bhi nawazisheiN jari raheiNgi.
Mahtab Qadr
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: INTEHA

Post by najma »

Steve Almas wrote:Azeezan-e-Mehfil
Tasleemat..
Taza kalam pesh-e-khidmat he.
Umeed he pasand aaye ga.
:-) :-) :-)


Image



janab Steve Almas

aadaab

aapka kalam bohat hi paand aya.har she,r ek apna hi umdah andaaz aur khayal liye hay.

waah

dilii daad qubool kijiye

khair andesh

najma
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Post by Steve Almas »

Mahtab Qadr Ji
Kalam ki pasand ka teh dil se shukriya qabool kijiye, A'inda bhi Mulaqat to hoti rahe gi, bashart-e-zindagi :grin: :grin: :grin:

Niazmand
Steve Almas
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Post by Steve Almas »

janab Steve Almas

aadaab

aapka kalam bohat hi paand aya.har she,r ek apna hi umdah andaaz aur khayal liye hay.

waah

dilii daad qubool kijiye

khair andesh

najma
Najma Ji
Nawazish, karam shukriya, mehrbani....Kalam ki pasandeedgi per, Daad bhi mosool hooi.

Bohat shukriya

Mamnoon
Almas
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Post by Steve Almas »

Almas ji,

Adaab arz hai.

waah! subh subh aapka kalaam dekh ker bohat khushi hui.

maine aapki hansti muskuraati tehreerein ziyada paRhi hain, is kavish ka zara mukhtalif rang hain.
ye andaaz bhi pasand aaya. bohat hi dilkush aur jazbaat se bharpoor is kavish per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

shehr-e-afsos mien gul hue sab diiye
ghup andhera hai dushman hawaa hougayii

waah! bohat khoob!

haal-e-dil us se Almaas poocho zara
zindagi mil ke jis se khafa hougayii
bohat bohat khoob!

sara
Sara Ji
Aadab
Pata nahein yeh ashaar khoobsoorat andaz mein hein ya nahein lekin aap ki himat afza daad zaroor hasb-e-ma'mool khoobsoorat he. Shukriya qabool kijiye.
Aap ka kehna baja he ke issey me ne gham-e-doran ke zer-e-asr munasbat se likh diya, aap ko pasand aaya to acha laga. :lol: :lol: :lol:

Abhi bhi kuch waqt ki kami rehti he iss liye kabhi der ho jaye to umeed he aap aour sab arbab-e-mehfil isse nazar andaz kerein ge :-) :-)

Shukriya
Steve Almas
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaram
Steve Almas Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal majmooAi Taur per beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka rang-e-tghazzul din ba'din dilkash houtaa jaarahaa hei. Ummeed hei ke aapka safar-e-sukhan yooN hii jaari rahegaa aur ham ko aapkaa kalaam paRhne kaa mauqaA moyassar aataa rahegaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Post by Steve Almas »

MuHtaram
Steve Almas Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal majmooAi Taur per beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka rang-e-tghazzul din ba'din dilkash houtaa jaarahaa hei. Ummeed hei ke aapka safar-e-sukhan yooN hii jaari rahegaa aur ham ko aapkaa kalaam paRhne kaa mauqaA moyassar aataa rahegaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.
Janab-e mohtaram Nazir Sahab

Takheer ke liye m'azrat chahta hoon, aapki purkhuloos daad ka shukriya pesh kerney ki jasarat ker raha hoon. Yaqeen kijiye aap jaisey mukhlis logon ki sarprasti hamarey liye b'ais-e-izat he, aour nihait zaroori bhi. Gahe bagahe mulaqat hoti hi rahe gi.
Apna khayal rakhiye ga.
Aik baar phir se shukriya qabool kijiye

Steve Almas
Post Reply