Meri Hazal...aapki muskurahaToN ki nazr....................

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Meri Hazal...aapki muskurahaToN ki nazr....................

Post by jawaid badauni »

Dosto! Salam

MaiN Hazal pahle bahut kahta tha ab kum kar dee hai.

Yeh Hazal maiN ne Janab At.har Jafiri ki zameenmeN kahe hai.Kisi ki zameen meN sher kahna Urdu meN bath adab ki baat mani jati hai aur dushwaar kaam bhi hai. Iss ihteyat ke Pesh.e nazar keh mera koii sher mausoof se Takra nah jaye, maiN ne qafiya badal diya hai. Hazal ujlat meN kahee hai (taqreeban 10 minutes meN).

Ummid hai apnee aara se nawazeNge.

Mukhlis,
Jawaid Badauni



HAZAL


Ishq ne dee hai Khooshee yaas ki aisee taisee
Jalne wale tiri bakwaas ki aisee taisee

Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

Bachcha Teacher se yeh bola mujhe bus ishq paRhaaoo
Aaj Bhoogol ki Itihaas ki aisee taisee

Unse milna mira hota hai adoo ko mahsoos
Mire dushman tire ehsaas ki aisee taisee

Haath meN jaam uThate hi yeh bola maiKhuwaar
Ab gham.o.bebasee.o.yaas ki aisee taisee

Jinpe humko tha bharosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee
Last edited by jawaid badauni on Fri Jul 29, 2005 8:48 pm, edited 1 time in total.
RAUSHNEE
-
-
Posts: 66
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:32 pm
Contact:

Post by RAUSHNEE »

Bohat khoob !

:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

lolz nice one....khoob@@@@ :-)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

RAUSHNEE wrote:Bohat khoob !

:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:
Shukriya Raushinee Sahibah

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Shummu wrote:lolz nice one....khoob@@@@ :-)
Aapko haNsee aaaii meri mehnat wosool.

Jawaid
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil hazal paRhkar bahut hii luTf aayaa:

HAZAL


Ishq ne dee hai Khooshee yaas ki aisee taisee
Jalne wale tiri bakwaas ki aisee taisee

Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

Bachcha Teacher se yeh bola mujhe bus ishq paRhaaoo
Aaj Bhoogol ki Itihaas ki aisee taisee

Unse milna mira hota hai adoo ko mahsoos
Mire dushman tire ehsaas ki aisee taisee

Haath meN jaam uThate hi yeh bola maiKhuwaar
Ab gham.o.bebasee.o.yaas ki aisee taisee

Jinpe humko tha bahrosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee

Yeh tou maAloom thaa ke aap bahut achche ghazalgo shayer heiN aur nazmeN bhii kehte heiN. Aaj tou aap ne kamaal kar dikhaayaa. Is qadar behtareen hazal kahii hei ke meri raaye meiN paRhne waale hanse baghair nahiN reh sakte. :lol: :lol: :lol:
Is behtareen takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Meri Hazal...aapki muskurahaToN ki nazr.................

Post by Mahtab Qadr »

Bahut khoob Jawaid sahib , ujlat mai ye aalam hai to etmenaan se kia kuch kahte hoNge aap, MashaAllah. saari hazal qabil e daad o tahseen hai, khas taur par radeef bahut lutf deraha hai aur qafioN ke khoobsurat aur barjasta istemaal ne hazal ko aur jaandaar banadia hai.Mubarak ho.
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:Dosto! Salam

MaiN Hazal pahle bahut kahta tha ab kum kar dee hai.

Yeh Hazal maiN ne Janab At.har Jafiri ki zameenmeN kahe hai.Kisi ki zameen meN sher kahna Urdu meN bath adab ki baat mani jati hai aur dushwaar kaam bhi hai. Iss ihteyat ke Pesh.e nazar keh mera koii sher mausoof se Takra nah jaye, maiN ne qafiya badal diya hai. Hazal ujlat meN kahee hai (taqreeban 10 minutes meN).

Ummid hai apnee aara se nawazeNge.

Mukhlis,
Jawaid Badauni



HAZAL


Ishq ne dee hai Khooshee yaas ki aisee taisee
Jalne wale tiri bakwaas ki aisee taisee

Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

Bachcha Teacher se yeh bola mujhe bus ishq paRhaaoo
Aaj Bhoogol ki Itihaas ki aisee taisee

Unse milna mira hota hai adoo ko mahsoos
Mire dushman tire ehsaas ki aisee taisee

Haath meN jaam uThate hi yeh bola maiKhuwaar
Ab gham.o.bebasee.o.yaas ki aisee taisee

Jinpe humko tha bharosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri Hazal...aapki muskurahaToN ki nazr.................

Post by jawaid badauni »

Mahtab Qadr wrote:Bahut khoob Jawaid sahib , ujlat mai ye aalam hai to etmenaan se kia kuch kahte hoNge aap, MashaAllah. saari hazal qabil e daad o tahseen hai, khas taur par radeef bahut lutf deraha hai aur qafioN ke khoobsurat aur barjasta istemaal ne hazal ko aur jaandaar banadia hai.Mubarak ho.
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:Dosto! Salam

MaiN Hazal pahle bahut kahta tha ab kum kar dee hai.

Yeh Hazal maiN ne Janab At.har Jafiri ki zameenmeN kahe hai.Kisi ki zameen meN sher kahna Urdu meN bath adab ki baat mani jati hai aur dushwaar kaam bhi hai. Iss ihteyat ke Pesh.e nazar keh mera koii sher mausoof se Takra nah jaye, maiN ne qafiya badal diya hai. Hazal ujlat meN kahee hai (taqreeban 10 minutes meN).

Ummid hai apnee aara se nawazeNge.

Mukhlis,
Jawaid Badauni



HAZAL


Ishq ne dee hai Khooshee yaas ki aisee taisee
Jalne wale tiri bakwaas ki aisee taisee

Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

Bachcha Teacher se yeh bola mujhe bus ishq paRhaaoo
Aaj Bhoogol ki Itihaas ki aisee taisee

Unse milna mira hota hai adoo ko mahsoos
Mire dushman tire ehsaas ki aisee taisee

Haath meN jaam uThate hi yeh bola maiKhuwaar
Ab gham.o.bebasee.o.yaas ki aisee taisee

Jinpe humko tha bharosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee
Azeezi Mahtab Qadr Sahab,
Salam-e-masnoon

Hazal ki pazeeraaii ke liye shukriya. Mizaah meN kahna maiN na ab bhaut kum kar diya hai. Yeh hazal bhi Aligarians meN kuch members ki farma.ish per hi kahee thee.

Khair Andesh,
Jawaid
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Jawaid saaHib,

man gaye bhai maan gaye...Ghazal meN to the hii janaab aur aaj hazal ka bhii maidaan maar diyaa...waah bahot Khoob...mujhe bhii radeef ne bahot lutf diyaa. sabhi ash'aar meN radeef ne gul khilaaye haiN, bi_KHusoos sasuraali rishtedaaroN aur job ke saathiyoN kii nisbat se.

jaarii rakhiye hazal goyii ka silsila..yeh sinf e suKhan na sirf muskuraahaToN kii zaamin hai balki Khaasii mushkil sinf bhi hai. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

Hashmat
Image
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

vaah jawaid bhai

bahot khoob

aap ke is zareefaana kalaam ne bahot lutf diya :D

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Ibn-e-siddique wrote:vaah jawaid bhai

bahot khoob

aap ke is zareefaana kalaam ne bahot lutf diya :D

amjad
Shukriya Amjad Sahab keh aap ne meri Hazal ko pasand farmaya. Iss rang meN maiN kum hi kahta hooN.

Mukhlis
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Hashmat Usmani wrote:salaam Jawaid saaHib,

man gaye bhai maan gaye...Ghazal meN to the hii janaab aur aaj hazal ka bhii maidaan maar diyaa...waah bahot Khoob...mujhe bhii radeef ne bahot lutf diyaa. sabhi ash'aar meN radeef ne gul khilaaye haiN, bi_KHusoos sasuraali rishtedaaroN aur job ke saathiyoN kii nisbat se.

jaarii rakhiye hazal goyii ka silsila..yeh sinf e suKhan na sirf muskuraahaToN kii zaamin hai balki Khaasii mushkil sinf bhi hai. Allah kare zor-e-qalam aur ziyaada.

Hashmat
Mohtarmee Hashmat Sahab
Tasleem

Hazal ki pazeeraai ke liye marhoone minnat hooN. MaiN ne mizaah meN kahna kum kar diya hai. Aligarians meN kuch members ka israar tha isee liye yeh TooTe phoTe ashar kah liye the aur aapki muskurahaTon ki nazr kar diye thay.

Ek baar phir shukriya.


Khair Andesh
Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote::grin: bohat ache jawaid bhai, bohat ache!
jis tarah kabhi kabhi tylenol ki zaroorat parti ahi usi tarah mujhe aaj
bohat zaroorat thi hansne ki aur ye dose mujhe milgaya .........
bohat lutfandoz hui aapki si hazal se:

Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

Bachcha Teacher se yeh bola mujhe bus ishq paRhaaoo
Aaj Bhoogol ki Itihaas ki aisee taisee

Haath meN jaam uThate hi yeh bola maiKhuwaar
Ab gham.o.bebasee.o.yaas ki aisee taisee

Jinpe humko tha bharosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee


wah wah! kya hi andaaz hai aur aapne jiase likhe hain ki
ujlat mein likhi hai.........I can't beleive it! shayari ho tou
aisi aek Nazir sahib ko dekhi ke bas aek lafz kahun aur
shair haazir. aur doosre apko i admire you bhai.

aapka tehdil se shukriya aur dhairrrrrrrrrr saaaaaaaaaaaaaari daad qubool keejiye :rose .

sara


Aap haNs deeN Sara aap ke bhaai ki mehnat wosool hoii. MaiN ne hazal kahna bahut kum kar diya hai kyooNkeh aise kalam ka sirf waqti mazah hota hai, Ghazal ki baat hi kuch aur hai.

Hazal ki pazeeraaii ka shukriya.

Jawaid
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Meri Hazal...aapki muskurahaToN ki nazr.................

Post by Anmol »

jawaid badauni wrote:
Nisf ghar wali samajhta hooN harik Saali ko
Mere SaloN ki miree Saas ki aisee taisee

:twisted:

Ishq ka mood hai maiN kaam peh jaaooNga nah aaj
Mere office kee mire Boss kee aisee taisee

:o

Jinpe humko tha bharosa woh nah aaye “Jawaid”
Kardee ik shaKhs ke vishwaas ki aisee taisee

:wink:

Bohot Khoob Jawed Sahib, aap ki hazal pasand aayi. :grin:
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
User avatar
nazneen_72
-
-
Posts: 5
Joined: Wed Jan 26, 2005 4:10 pm
Location: karachi
Contact:

Post by nazneen_72 »

:lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

wahh kia baat yahaan tu aapne har abat ki aise ki taise laga di lolzzzzzzzzz
Grace Of God
Post Reply