Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Assalam alaikum
kafi taveel arsay baad aap sab say muKhtaib hooN .... waja taaleemi masroofiyaat haiN jin say inshaAllah November main kaamyaabi ke sath faraaGhat naseeb hogi....
tab tak isi tarah taveel Ghair haaziri ke sath ek nikammay bachay ki tarah forum per aaya karooNgi....aaj tou ghar ka kaam(homework) kar ke laai hooN ...so haazir hai.....:)
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
wafa jesi Khata, maana, baRi hai
Khata hoti hai saahib aadmi say
badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
jo hanstay haiN bohut, chehroN pe unkay
maiN dukh paRhti hooN saaray Khamushi say
gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
hamaiN aadat si hoti jaa rahi hai
hazaaroN baar hum guzray haiN jee say
Nigaah

Re: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
nigaah wrote:Assalam alaikum
kafi taveel arsay baad aap sab say muKhtaib hooN .... waja taaleemi masroofiyaat haiN jin say inshaAllah November main kaamyaabi ke sath faraaGhat naseeb hogi....
W/salaam
aaKhir kaar aap aa hi gayeeN ! bohut Khushee hoi aap ko itne a'rSe baaa'd dekh kar ! , ham intezaar kareNge , kyoNke aap ki taHreeroN maiN ham apne zaqu ka a'ks dekhte haiN
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
waah bohut Khoob ! aap ka ye andaaz bohut hi pasand aayaa ! aek jaariHaana andaaz ! bohut Khoob !
jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
bohut Khoob ! zindagee ka jawaab aap ne paaliyaa ! aur woh bhi aagahii se ! nehaayat u'mdah ! kyaa baat hai ! mubaarak ho
wafa jesi Khata, maana, baRi hai
Khata hoti hai saahib aadmi say
girah to aap hamesha hi Khoob lagaati aarahee haiN ! daad Haazir hai
badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
kyaa kehney ! naa jaane kyoN mujhe apna aek matla' yaad aayaa
"muasam-e-dil badal na jaaye kaheeN
tuu hi dil se nikal na jaaye kaheeN " !
jo hanstay haiN bohut, chehroN pe unkay
maiN dukh paRhti hooN saaray Khamushi say
bohut Khoob ! chehroN ko paRhna har kisee k bas ki baat nahiN !
gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
kyaa tewar haiN is shea'r k waah ! ab to aap ki book ka shiddat se intezaar hai
hamaiN aadat si hoti jaa rahi hai
hazaaroN baar hum guzray haiN jee say
Nigaah
guzree haiN jee se ....
waah , mujhe Faiz ki yaad aagayee ! aaKhree shea'r bhi nehaayat Khoob hai ! balke laa-jawaab hai !
agar aap maqta' bhi add karteN to kyaa jaataa aap ka
maHroom reh gaye ham
nigaah SaaHiba ,
aap ki mushaai'ra maiN Ghazal aur ab ye Ghazal ......ham to qaai'l hogaye aap k , balke ab aap hameN apne maddaHoN k Saf maiN shaamil kejeyega ! Ghazal har lihaaz bohut Khoob hai ! nehaayat pasand aayee !
tamaam ash;aar apnee apnee jagal Khoob haiN !
daad jitnee aap chaaheN qabool kejeyga ! shukriya
AH
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
ji janab!...aaKhir kaar maiN aahi gai buray waqt ki tarah...:).....aap ke aala zauq ko taskeen ponhchaaye ...ye hamaari tukbandi ki haisiyat kahaN.... is qadarafzaai ke liye saraapa tashakkur hooN....aaKhir kaar aap aa hi gayeeN ! bohut Khushee hoi aap ko itne a'rSe baaa'd dekh kar ! , ham intezaar kareNge , kyoNke aap ki taHreeroN maiN ham apne zaqu ka a'ks dekhte haiN
is bharpoor daad ke liye bay hud nawaazish.....mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
waah bohut Khoob ! aap ka ye andaaz bohut hi pasand aayaa ! aek jaariHaana andaaz ! bohut Khoob !
ye shair maiN shaamil karna hi nahiN chaahti thi...kuch Khush fehmi ki boo aati hai is shair say....goya maiN Khud ko aagahi ka tamGha khud hi inaayat kar rahi hooN :).....phir bhi aap nay hosla baRha diya ...acha laga...jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
bohut Khoob ! zindagee ka jawaab aap ne paaliyaa ! aur woh bhi aagahii se ! nehaayat u'mdah ! kyaa baat hai ! mubaarak ho
ye baRay aizaaz ki baat hai ke itnay forums per bohut say shoraa-o-shaairaat ko paRhtay rehnay ke baawujood, aur meri taveel-ul-mee'aad Ghair haaziri ke bawujood aap ko yaad hai ke maiN girhaiN kesi lagaati rahi hooN :).... nawaazish aapki...wafa jesi Khata, maana, baRi hai
Khata hoti hai saahib aadmi say
girah to aap hamesha hi Khoob lagaati aarahee haiN ! daad Haazir hai
bazaahir masoom sa Khadsha hai....albatta yaqinun bohut naraaz hoga sun kar....:).....aur Khoob ittefaq hai ke mujhay aap ka matla paRh kar Nasir Kazmi sahab ka ek matla yaad aaya ....badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
kyaa kehney ! naa jaane kyoN mujhe apna aek matla' yaad aayaa
"muasam-e-dil badal na jaaye kaheeN
tuu hi dil se nikal na jaaye kaheeN " !
niyyat-e-shouq bhar na jaaye kahiN
too bhi dil say uter na jaaye kahiN..
baja farmaaya aap nay.....lekin jo bohut haNstay haiN ...kabhi un ke chehroN ko Ghour say dekhiye...baRay aasan hotay haiN aisay loag...:)...wo ek mash'hoor-e-zamaana Ghazal hai...jo hanstay haiN bohut, chehroN pe unkay
maiN dukh paRhti hooN saaray Khamushi say
bohut Khoob ! chehroN ko paRhna har kisee k bas ki baat nahiN !
tum itna jo muskura rahay ho
kia Gham hai jisko chupa rahay ho
aray aray....janab!!....aaj aap nay kia mujhay sharminda karnay ki thaan li hai.....pehle hi aap ki itni hosla afzaai mujhay paani paani kar rahi hai...gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
kyaa tewar haiN is shea'r k waah ! ab to aap ki book ka shiddat se intezaar hai
hamaiN aadat si hoti jaa rahi hai
hazaaroN baar hum guzray haiN jee say
Nigaah
guzree haiN jee se ....
waah , mujhe Faiz ki yaad aagayee ! aaKhree shea'r bhi nehaayat Khoob hai ! balke laa-jawaab hai !
sachi baat hai ke maqtaa koi acha soojha hi nahiN...aur maiN shaairi maiN zabardasti ki qaail nahiN...phir meri azli kaahili....har tarahi mushaairay maiN aakhiri Ghazal meri hi hoti hai...aakhiri din beth kar likhti hooN ...ab aamad hi ain waqt per ho tou kia karay koi...aur aap ka daad dene ka andaaz lajawaab hai!.... KhuamaKhuaah banda Khud ko baRa shaair samajhnay lagay....:)
agar aap maqta' bhi add karteN to kyaa jaataa aap ka
maHroom reh gaye ham
nigaah SaaHiba ,
aap ki mushaai'ra maiN Ghazal aur ab ye Ghazal ......ham to qaai'l hogaye aap k , balke ab aap hameN apne maddaHoN k Saf maiN shaamil kejeyega ! Ghazal har lihaaz bohut Khoob hai ! nehaayat pasand aayee !
tamaam ash;aar apnee apnee jagal Khoob haiN !
daad jitnee aap chaaheN qabool kejeyga ! shukriya
AH
Zia Baloch
aur ye jo aap nay "qaail honay" aur " maddahoN ki saf maiN shaamil honay" ki baat ki....to yehi kahooNgi.... Khaaksaar ko us ki jaga per hi rehnay dijye ....bila waja kursi tang ho jayegi jis per maiN baraajmaan hooN....:)...
aap ke is Khuloos ka bay hud shukriya.....sach much bohut acha lagta hai jab aap jese Khus apna ek dilkash andaaz-e-bayaN rakhnay walay shaair saraahtay haiN ....:)
Nigaah
Re: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
nigaah wrote:Assalam alaikum
kafi taveel arsay baad aap sab say muKhtaib hooN .... waja taaleemi masroofiyaat haiN jin say inshaAllah November main kaamyaabi ke sath faraaGhat naseeb hogi....
tab tak isi tarah taveel Ghair haaziri ke sath ek nikammay bachay ki tarah forum per aaya karooNgi....aaj tou ghar ka kaam(homework) kar ke laai hooN ...so haazir hai.....:)
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
Nigaah
wah nigaah sis wah..badi din baad aap ka deedaar naseeb hua...kaisi hain aap? main khud kaafi arsa net se gayab rhai thi chunki india gayi hui thi magar ab jab se wapis aayi hono to sab jagah reular hoon... aap ki ghazal ke pehle do sher mein mukaalmaana andaaz bahut bhala laga.... aur woh saadgi wala sher bhi bahut khoob....
sher bahut umda hai magar is mein shuturgurbah hai....badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
ise aise theek kar lijiye...
badal baiThaa tha woh mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya,dil lagii se!!
ya aise..
badal baiThe the woh mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaye,dil lagii se!!
ek baar phir daad hazir hai is umda kalaam pe..aati rahiyega!
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Nigaah SaaHiba,nigaah wrote:bazaahir masoom sa Khadsha hai....albatta yaqinun bohut naraaz hoga sun kar....:).....aur Khoob ittefaq hai ke mujhay aap ka matla paRh kar Nasir Kazmi sahab ka ek matla yaad aaya ....badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
kyaa kehney ! naa jaane kyoN mujhe apna aek matla' yaad aayaa
"muasam-e-dil badal na jaaye kaheeN
tuu hi dil se nikal na jaaye kaheeN " !
niyyat-e-shouq bhar na jaaye kahiN
too bhi dil say uter na jaaye kahiN..
ham ne Nasir Kamzi k isee matla' se muta'accir ho kar isee Khyaal ko apne andaaz maiN bayaan karne ki koshish kii hai
mere Khyaal maiN is maiN koi buraayee nahiN hai ? :P
aap ne jis kacar-e-nafsee ka izhaar farmaaya hai woh mere leye koi nayee baat nahiN hai , yaqeen jaaneye , maiN ne KhaamKhwaah aisa nahiN kahaa , rasmee waah waah nahiN tha mera tabSira !
maiN ne jo kuch maHsoos kiyaa ! likkhaa !
is leye aap se guzaarish hai k aap apnee shaai'ree ki qadr Khud bhi pehchaaneye ! aur kasar-e-nafsee se guzrez kejeye !
shukriya
moKhliS:
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
nahi Shummu ji...ye shutr gurba nahi hai..Quote:
badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
sher bahut umda hai magar is mein shuturgurbah hai....
ise aise theek kar lijiye...
badal baiThaa tha woh mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya,dil lagii se!!
ya aise..
badal baiThe the woh mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaye,dil lagii se!!
badal bethay thay wo mauzoo achanak
muhabbat tak jab aaya dil lagi say
yahan "aaya" mauzoo ke liey isemaal hua hai...na ke us shakhs ek liye....agar maiN "mauzoo" ka zikr na karti tou phir ye baat laagu hoti ...filhaal nahi ho rahi...
bohut shukriya ke aap nay is jaanib tawajju dilaai.....zehen maiN jo baat aaye bay jhijak keh leni chahiye ....:)
Nigaah
- irfan barabankwi
- -
- Posts: 69
- Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
- Location: jeddah
- Contact:
Bahut achci ghazal kahi hei aap ne
mohtaramah
NIGAH SAAHIABH
tasleemat
wah kamal hai. bahut hi achhi ghazal aapney pesh ki hai. meri bahut bahut daad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
NIGAH SAAHIABH
tasleemat
wah kamal hai. bahut hi achhi ghazal aapney pesh ki hai. meri bahut bahut daad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
ji janab hargiz koi buraai nahiN hai....:)...aur shaairi maiN tou aisa hota hi hai.....ke ek hi Khayaal muKhtalif shora apnay apnay andaaz maiN baandhtay haiN.....Nigaah SaaHiba,
ham ne Nasir Kamzi k isee matla' se muta'accir ho kar isee Khyaal ko apne andaaz maiN bayaan karne ki koshish kii hai
mere Khyaal maiN is maiN koi buraayee nahiN hai ?
ek baar phir bay hud nawaazish!..:)... mujhay poora yaqeen hai ke aap nay wohi likha jo aap ko laga......"rasmi waah waah" maiN itan Khuloos hota hai bhala?..:)aap ne jis kacar-e-nafsee ka izhaar farmaaya hai woh mere leye koi nayee baat nahiN hai , yaqeen jaaneye , maiN ne KhaamKhwaah aisa nahiN kahaa , rasmee waah waah nahiN tha mera tabSira !
maiN ne jo kuch maHsoos kiyaa ! likkhaa !
is leye aap se guzaarish hai k aap apnee shaai'ree ki qadr Khud bhi pehchaaneye ! aur kasar-e-nafsee se guzrez kejeye !
bay saaKhta hansi aayi ye paRh kar......aap nay tou daant hi diya .......acha laga bohut aap ka phir say aana aur daantna bhi....shukriya
Nigaah
Shummu wrote:oh achcha u mean "mauzoo" ..theek theek ab samajh gayi..:) sorry han....mujhe smajhne mein ghalti hui...thanx for the clarification!:)
aray aray....ye sorry worry kia hota hai......
AISA HI KIA KARAIN .... jab bhi koi baat waazeh na ho Khaas tor say meri shaairi maiN ...thik hai na ?..:)
mujhay acha lagta hai jab koi apna Khayaal bay jhijak mujhay bata deta hai.....kiuNke maiN bhi aisa hi karti hooN ....
Nigaah
Re: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
sara_j wrote:aek umdah kavish per daad qubool keejiye.nigaah wrote:Assalam alaikum
kafi taveel arsay baad aap sab say muKhtaib hooN .... waja taaleemi masroofiyaat haiN jin say inshaAllah November main kaamyaabi ke sath faraaGhat naseeb hogi....
tab tak isi tarah taveel Ghair haaziri ke sath ek nikammay bachay ki tarah forum per aaya karooNgi....aaj tou ghar ka kaam(homework) kar ke laai hooN ...so haazir hai.....:)
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
jawaab aaya,"jo naadaN haiN wo Khush haiN
ye shikwa kar too apni aagahi say"
wafa jesi Khata, maana, baRi hai
Khata hoti hai saahib aadmi say
badal bethay thay wo mauzoo achaanak
muhabbat tak jab aaya, dil lagi say
jo hanstay haiN bohut, chehroN pe unkay
maiN dukh paRhti hooN saaray Khamushi say
gilay sab bay asar karta gaya wo
jawaaban muskuraa kar saadgi say
hamaiN aadat si hoti jaa rahi hai
hazaaroN baar hum guzray haiN jee say
Nigaah
moshaire mein shirket karne ke liye aapka
shukriya ada karti hoon, umeed ke ainda bhi saath rahega.
mukhlis
sara
Nawazish Sara ji...aap nay Ghazal pasand ki ...dil Khush ho gaya....
shukriya ki qat'an zaroorat nahiN....is mushaairay maiN shareek hona Khud mere liye bohut Khushkun tajirba hai.....inshaALlah aayenda bhi aati rahooNgi....:)
Nigaah
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
MuHtaramah
Nigaah Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN. MaiN apni raaye dene meiN t'akheer ke liye muAaafi chaahtaa hooN.
Aapki ghazal paRhkar bahut luTfandouz houaa.
Meri jaanib se is kaamyaab koushish per daad aur mubaarakbaad qubool farmayiye.
[color\brown]
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[/color]
Re: Bahut achci ghazal kahi hei aap ne
irfan barabankwi wrote:mohtaramah
NIGAH SAAHIABH
tasleemat
wah kamal hai. bahut hi achhi ghazal aapney pesh ki hai. meri bahut bahut daad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
Shukriya....Irfan sahab....aap ke alfaaz ke liye bohut mamnoon hooN...
Nigaah