Aek taazah Ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

Aek taazah Ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah.

Post by irfan barabankwi »


MuHtarameen Ahbaab-e-sukhan,

Tasleemaat,

Taif, Saudi Arab, ke aek adabi idaare kii jaanib se diye houe TaraHi misrea per apni ghazal mukammal karke use yahaN pesh karne kii saAadat Haasil karrahaa hooN.

Ummeed ke aap apne giranqadr tabsiraoN se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqa denge.

GHAZAL

jo khud gharaz haiN uske samar dekh rahey haiN
be laus magar hal - e - shajar dekh rayey haiN

mehfil meiN sabhi unki nazar dekh rahey haiN
wo husn ke jadoo ka asar dekh rahey haiN

ik bar meiN hoti nahi is dil ko tasal l i
so unki taraf bar -e - digar dekh rahey haiN

jo teergi - e- shub se pareshan bahut they
"kis shauq se aghaz-e-sahar dekh rahey haiN"

darbar meiN jakar jo kabhi jhukte nahi thay
nezoN pa sajay aaj wo sar dekh rahey haiN

sajday kiye jatay nahi her aik ke dar per
jis se hameiN nisbat hai wo dar dekh rahey haiN

inAam-e-safar wo hai nigahoN meiN hamari
chehray pa jo ye gard-e-safar dekh rahye hain

darkar hai dastar ki izzat ko bahchana
nadan haiN wo log jo sar dekh rahey hain

wo dekh raha hai ke kahaN ja ke wo barsay
yaN hum kabhi badal, kabhi ghar dekh rahey haiN

jo su - e- waTan jaye hai Irfan yahaN say
us rah ko ba deeda - e- tar dekh rahey haiN
=====

Khair Andesh,
Irfan Barabankwi, Jeddah.
Attachments
a_irf_taif2_f.JPG
a_irf_taif2_f.JPG (87.47 KiB) Viewed 261 times
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami Irfan SaaHb, aadaab

janaab aap ki Ghazal bohut Khoob hai , girah bohut achchi lagaayee hai aap ne ! sabhi ash'aar pasand aaye maqt^a' bhi nehaayat u'mdah hai !

daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS :

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

Adaab, Irfan Sahib!!

Aap ki ghazal bohot Khoob hay, daad balke DheroN daad aap k liye..

Shukria.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

bahut bahut shukriyah

Post by irfan barabankwi »

janab zia saheb

ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah.

khair andaish

iran barbankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

shukriya

Post by irfan barabankwi »

mohtarmah
anmol sahibah

bahu dino bad aapse mukhatib ho raha hooN. ghazal ke pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah

khair andaish

iran barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut khoobsurat ghazal pesh ki hai aapne..giraah samaiT tamaam sher pasand aaye...daad haazir hai Irfan sahab :grin:



Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply