Meri Ghazal aapki nazr......................................
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri Ghazal aapki nazr......................................
Dosto aur saathiyo!
Salam qubool farmaaiye
Meri ek ghazal haazir-e khidmat hai. Kuch mun-
farid mazaamin per qalam uThane ki koshish ki
hai. Ummid hai apni aara se nawaazeNge aur
meri Hauclahafzaii farmayeNge.
Naacheez,
Jawaid Badauni
-----------------------------------------------
Ghazal
Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
Yeh mana keh ab ghar meN nahiN teeragi-e shub
Per sub,H kahooN aisa ujala bhi nahiN hai
Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
Dekho to zaraa kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Jawaid Badauni
Last edited by jawaid badauni on Mon Aug 29, 2005 8:14 pm, edited 1 time in total.
wah khoobsurat aaGhaaz ek khoobsurat ghazal ka...bahut umda matla hai..der tak khoyi rahi...Jawaid Badauni wrote: Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
wah wah wahhhhhhhhhhhhhh lajawaab sher!haasil-e-ghazal sher!Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
bahut sahi farmaaya aapne..Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
woww..another beautiful sher....Yeh mana keh ab ghar meN nahiN teeragi-e shub
Per sub,H kahooN aisa ujala bhi nahiN hai
kya andaaz-e-bayaan..bahut umda..saare hi sher ek se baRhkar ek hain...Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
sahi kaha aapne..aisa hi hota hai...Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
wahhhhhhhh maqta bhi lajawaab!Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Jawaid bhai...poori ki poori ghazal hi is qadar umda hai ki main chaah kar bhi koi ek sher nahi chun saki....baDa munfarid andaaz laga ghazal ka....dil ki gehraaiyon se dheron daad haazir hai...duaa kijiye ke humein bhi aisa likhna aa jaaye :D
Jawaid Badauni [/color][/quote]
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
[/quote]Shummu wrote:wah khoobsurat aaGhaaz ek khoobsurat ghazal ka...bahut umda matla hai..der tak khoyi rahi...Jawaid Badauni wrote: Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
wah wah wahhhhhhhhhhhhhh lajawaab sher!haasil-e-ghazal sher!Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
bahut sahi farmaaya aapne..Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
woww..another beautiful sher....Yeh mana keh ab ghar meN nahiN teeragi-e shub
Per sub,H kahooN aisa ujala bhi nahiN hai
kya andaaz-e-bayaan..bahut umda..saare hi sher ek se baRhkar ek hain...Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
sahi kaha aapne..aisa hi hota hai...Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
wahhhhhhhh maqta bhi lajawaab!Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Jawaid bhai...poori ki poori ghazal hi is qadar umda hai ki main chaah kar bhi koi ek sher nahi chun saki....baDa munfarid andaaz laga ghazal ka....dil ki gehraaiyon se dheron daad haazir hai...duaa kijiye ke humein bhi aisa likhna aa jaaye :D
Jawaid Badauni [/color]
Azeezah Shummu Sahibah (Mujhe aapka yeh naam likhne meN ziyadah aasani hoti hai.)
Ghazal ki mufaccil, bharpoor aur purkhuloos daad ke liye aa ka behud mamnoon hooN. Aap mashq jari rakhiye, Insha Allah mujh se bhi achcha kaheNgee.
Faqat,
Jawaid Badauni
moHtaram Jawaid Baduni SaaHib, aadaab
janaab Ghazal to hamesha ki t^araH laa-jawaab hai! Khaas kar is maiN maujood jiddat ne bohut muta'accir kiyaa jo aap ka KhaaSSa bantaa jaarahaa hai ! naye mazaamen naye duar k Hisaab se , aur phir Safaayee ! ye sab cheezeN aap ko mumtaaz rakHtee haiN ! tamaam ash'aar apnee apnee jaga Khoob haiN ! daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS : Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Azeezi Zia Baloch Sahab,Star Mind wrote:moHtaram Jawaid Baduni SaaHib, aadaab
janaab Ghazal to hamesha ki t^araH laa-jawaab hai! Khaas kar is maiN maujood jiddat ne bohut muta'accir kiyaa jo aap ka KhaaSSa bantaa jaarahaa hai ! naye mazaamen naye duar k Hisaab se , aur phir Safaayee ! ye sab cheezeN aap ko mumtaaz rakHtee haiN ! tamaam ash'aar apnee apnee jaga Khoob haiN ! daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Aadaab
Aapki purKhuloos daad ke liye aapka behud mamnoon hooN. Mujhe khooshi hai aap phir dikhaayee dene lage haiN, warnah pichle dinoN to aap Ghaaib hi ho gaye thay. Ummid hai ab tamam ChaupaloN meN aate jate rahenge.
Apka mukhlis
Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal aapki nazr..................................
Azeezah Sara Sahibah,sara_j wrote:jawaid badauni wrote:
Dosto aur saathiyo!
Salam qubool farmaaiye
Meri ek ghazal haazir-e khidmat hai. Kuch mun-
farid mazaamin per qalam uThane ki koshish ki
hai. Ummid hai apni aara se nawaazeNge aur
meri Hauclahafzaii farmayeNge.
Naacheez,
Jawaid Badauni
-----------------------------------------------
Ghazal
Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
Yeh mana keh ab ghar meN nahiN teeragi-e shub
Per sub,H kahooN aisa ujala bhi nahiN hai
Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Jawaid Badauni
jawaid bhai,
tasleemat.
wah kya baat hai.........bohat khoob!
Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
bohat ache! shair pasand aaya!
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
wah waah!
Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
very nice!
Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
bohat khoob!
bhai ye ashaar bohat ziyada pasand aaye.
aek kamyaab ghazal per daad qubool keejiye.
mukhlis
sara
Ghazal ki pazeeraai ke liye aap ka mamnoon hoN. Ummid hai aaindah bhi apne tabsaroN se nawazti raheNgee.
Bahut bahut shukriya bahin.
Mukhlis
Jawaid
Re: Meri Ghazal aapki nazr..................................
Waah waah bohot khoob....bohot pasand aayi aap ki ghazal.jawaid badauni wrote:
Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri Ghazal aapki nazr..................................
Anmol SahibahAnmol wrote:Waah waah bohot khoob....bohot pasand aayi aap ki ghazal.jawaid badauni wrote:
Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
Dekho to miyaaN kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Aapka jawab nazar nawaz hoa. Bahut Khooshi hoii.
Bahut bahut shukriya.
Jawaid
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob waah waah
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zel ghazal paRhkar maiN bahut luTf andouz houaa. Hameshah kii tarah mukhtalif mazaameen se aaraastah hei.
Ghazal
Tum ne miree yadoN ko saNbhala bhi nahiN hai
Pal bhar ke liye dil se nikala bhi nahiN hai
Eeman faroshi ka mire sir peh hai ilzaam
Aur haath meN sone ka niwalah bhi nahiN hai
Iss daur ke Rawan ka sitam phir bhi hai jaari
Seeta ne qadam ghar se nikala bhi nahiN hai
Yeh mana keh ab ghar meN nahiN teeragi-e shub
Per sub,H kahooN aisa ujala bhi nahiN hai
Muflis hooN kahaN ghar ki hifazat ka mujhe Khauf
Soya bhi hooN darwaze meN tala bhi nahiN hai
Ayyam-e masarrat thay to ahbaab bhi thay saath
Mushkil meN koii poochne wala bhi nahiN hai
Dekho to zaraa kaisa ajab shaKhs hai "Jawaid"
Aibee bhi nahiN KhoobiyoN wala bhi nahin hai.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.