samagayaa suraj -aik taza ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
samagayaa suraj -aik taza ghazal
aik aur taza ghazal ..
- Attachments
-
- suraj ghazal.gif (23.55 KiB) Viewed 630 times
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
maashaa Allah !
janaab-e-sarfaraaz bhai , aadaab
Huzoor ! aap ki Ghazal bhi hamesha ki tarah A 1 hai ! Khyaalat bhi Khoob haiN, andaaz maiN jiddat bhi hai , zameen bhi dil-chasp aur sone pe suhaaga aap ka munfarid lehja ! mazaa aagayaa janaab ! 2 baar paRhee aap ki ye Haseen-o-jameel Ghazal ! tamaam ash'aar dil ko bhaa gaye !
DheroN daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
Janab
Mahtab Qadr Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Hameshah apne doust aHbaab ki ghazlaoN per is liye takheer houjaati hei ke in ke kalaam per phir kisi waqt kuch likhkhaa jaasaktaa hei. Yehi Haalat meri apni ghazal per tabsirah karne waalaoN ko javaab dene meiN bhii houti hei.
Aaj dekhaa tou aapki ghazal achche gehre rangaoN meiN nazar aayi. MaiN ne soucha ke ab mazeed takheer nahiN houni chaahiye.
Aapki ghazal mujhe beHad pasand aayi. Saare ke saare ashAar bahut hii achche heiN.
Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaaiye.
[color\brown]
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[/color]
Adaab, Mehtaab Sahib!
Hamesha ki tarah munfarid zameen le kar aaye heN aap. Ye ghazal bhi Khoob rahi, Khusoosi taur per matla aur sher#2 behad pasand aaye, DheroN daad pesh hay.
Hamesha ki tarah munfarid zameen le kar aaye heN aap. Ye ghazal bhi Khoob rahi, Khusoosi taur per matla aur sher#2 behad pasand aaye, DheroN daad pesh hay.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
ehsaas`
Janaab aapne bhi daad dekar aik khoobsurat ehsaas se nawaza
shukria
Mahtab Qadr
shukria
Mahtab Qadr
ehsaas wrote:janab
buhut khubsoorat ghazal kahee aap nay , mubarak ho,
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Saara sahiba
Tasleemat
Behad khushi huvi aapki is daad aur pazeerai se , bahut bahut shukria
niazmand
Mahtab Qadr
Tasleemat
Behad khushi huvi aapki is daad aur pazeerai se , bahut bahut shukria
niazmand
Mahtab Qadr
sara_j wrote:mohtaram mahtab sahib,
adaab arz hai.
amaanatein sabhi raaton ki khaa gaya sooraj
huii jo subh andhere chupa gayaa sooraj
wah! bohat zabardast shair hai.
wah! har shair bohat khoob.
har shair paRhne wale ke khayaalat ko
jazb karta hai.......a very deep thought
is hidden within....mujhe tou aisa hi
mehsoos hota hai.
kabhi milo tou aisi berukhi kya hai
ye baat chaand ko ik din suna gayaa sooraj!
awesome!
main tamaam ashaar ko quote nahi kar rahi hoon lekin har shair lajawaab hai....
bohat hi haseen ghazal per dil se daad qubool keejiye.
mukhlis
sara
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Bradar e Azeez Zia sahib
salaam e masnoon
aap ki adabnawazi se is pazeerai aur sitayesh ki hi umeed thi. mai behad mashkoor hoN aapka
niazmand
Mahtab Qadr
salaam e masnoon
aap ki adabnawazi se is pazeerai aur sitayesh ki hi umeed thi. mai behad mashkoor hoN aapka
niazmand
Mahtab Qadr
Star Mind wrote:maashaa Allah !
janaab-e-sarfaraaz bhai , aadaab
Huzoor ! aap ki Ghazal bhi hamesha ki tarah A 1 hai ! Khyaalat bhi Khoob haiN, andaaz maiN jiddat bhi hai , zameen bhi dil-chasp aur sone pe suhaaga aap ka munfarid lehja ! mazaa aagayaa janaab ! 2 baar paRhee aap ki ye Haseen-o-jameel Ghazal ! tamaam ash'aar dil ko bhaa gaye !
DheroN daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Jawaid Badauni Saheb
Aadaab
Bahut shukria aap ne ghazal ko pasand farmakar sanad e qubooliat bakshi . bahut zarra nawazi hai janab
shukria
Mahtab Qadr
Aadaab
Bahut shukria aap ne ghazal ko pasand farmakar sanad e qubooliat bakshi . bahut zarra nawazi hai janab
shukria
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:Azeezi Mahtab Qadr Sb.,
Aadaab
Bahut achchee ghazal hai. Meri daad qubool farmaaiyega. Kuch arce qabl maiN ne ek "Suraj namaH" irsaal kiya tha mujhe khooshee hai aap ne bhi aaj ek "Surah namah" inayat farmaya hai.
Ummid hai mizaj bakhair hoNge.
Khair Andesh
Jawaid
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Bahut khoob
Mohatramee Abdullah bhai sahib
salaam e masnoon
Hamesha ki tarah aap se sanad pakar ghazal moatabar ho gai. is aitebaar ke lye behad mashkoor hoN. aapne apni guN nagooN masroofiat ke bawajood is ghazal par nazr e eltefaat se nawaaza jiske lye mai aapka mamnoon o mashkoor hoN.

WEBMASTER wrote: