ASWK
Adaab-o-tasleemaat.
main apnay tootay phoootay cheNd ashaar say saath hazir hoon. aap sub ki tawajjoh ka talib, tabsaroon ka muntazir . farhan.
Har baar hum nazar un ki bad utartay hain
Tan tan kay jab voh apna seena ubhaartay hain
Zulf-e-gam-e-judayee ko jab saNwartay hain
Deed-e-rukh-e-junooN ko sehra pukartay hain
Baazi yeh ishq ki hai kya haar jeet iss maiN
Dil haar hi chukay lo jaaN bhi yeh wartay hain
Sood o ziyaaN ki parwaa kab koun yaaN karay hai
Nadaan ishq main dil jaaN jism hartay hain
Barbaad jab karay dil kay sub nagar nagar ishq
Jo dil kay meer thay ab damaan pasaartay hain.
Farhan
TARAHI GHAZAL BY FARHAN
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Re: TARAHI GHAZAL BY FARHAN
wah aap ki tarahi ghazal yahan dekh kar behad khushi ho rahi hai farhan...achchi koshish ki hai aapne...daad pesh hai lekin abhi bayaan ko mazeed saaf karne ki zaroorat hai..ummeed hai Abdullah Nazir sahab aap ki madad farmaayenge
zor-e-qalam aur ziyaada,
Shumaila
zor-e-qalam aur ziyaada,
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
achchi kaavish hei
Janab
Farhan Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal aek Taweel tabSireh kii muHtaaj hei lekin maah-e-Ramadhan kii ziyaadah maSroofiyat kii vajah se maiN is qaabil nahiN hooN keh apni tafseeli aaraa pesh karsakuN.
Baharhaal aapki kaavish qaabil-e-daad o teHseen hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: achchi kaavish hei
WEBMASTER wrote:
Janab
Farhan Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal aek Taweel tabSireh kii muHtaaj hei lekin maah-e-Ramadhan kii ziyaadah maSroofiyat kii vajah se maiN is qaabil nahiN hooN keh apni tafseeli aaraa pesh karsakuN.
Baharhaal aapki kaavish qaabil-e-daad o teHseen hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
JANAB NAZIR SAHEB
aap ka jawab abhi abhi paRha.bahut achcha laga. waisay main aap kay tafseeli tabsaray ka muntazir rahoonga. main jaanta hoon ki ramzanul mubarak main KSA main job timings tabseel hojatay hain. aur thakaan bahut hojati hai. waisay zimnan main yeh batadooN ki main bhi Jeddah main hi rahta hoon.ummid karta hoon ki aap say mulaqaat ka koi mouka miljayaga.
daad ka s hukriya. INSHALLAH aap say mulaqaat phir hogi.
duavoon ki guzarish kay saath.
Farhan
sara_j wrote:farhan sahib,
adaab arz hai.
mujhe behad khushi hui ek aap bhi is baar diye gaye tarhee misre
per taba azmaayi aur mushaire mein shirket kiye.
aainda bhi umeed hai ke hissa lete rahenge.
aapke khayalat ache hain bas ustadji ki rehnumayi se
bohat kuch seekh jayenge.
mohtaram abdullah nazir sahib aur sarwar sahib ke mazameen is link per zaroor parhiyega fayeda hoga.
http://urdubandhan.com/index1a.htm#mazameen
akhir mein meri taraf se ghazal per daad qubool keejiye.
mukhlis
sara
SARA JI
aap nay yeh ghazal paRhi aur apni raye say nawaza, bahut bahut shukriya. aap nay sahi kaha, "ustadji ki rehnumayi se
bohat kuch seekh jayenge.
per koi ustaad ji milay tab na. hum becharoon ko koun poochta hai.waisay aap say darkhast hai aap hi agar meri ustani banjayeeN to kaisa rahayga.
inshallah main abhi visit kartahoon gayegay link per.thankx for providing this info.
daad kayliya bhaut hi mamnoon hoon. duvaooN main yaad rakhiyaga.
Farhan