TARAHI GHAZAL BY FARHAN

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

TARAHI GHAZAL BY FARHAN

Post by farhan »

ASWK

Adaab-o-tasleemaat.

main apnay tootay phoootay cheNd ashaar say saath hazir hoon. aap sub ki tawajjoh ka talib, tabsaroon ka muntazir . farhan.



Har baar hum nazar un ki bad utartay hain
Tan tan kay jab voh apna seena ubhaartay hain

Zulf-e-gam-e-judayee ko jab saNwartay hain
Deed-e-rukh-e-junooN ko sehra pukartay hain

Baazi yeh ishq ki hai kya haar jeet iss maiN
Dil haar hi chukay lo jaaN bhi yeh wartay hain

Sood o ziyaaN ki parwaa kab koun yaaN karay hai
Nadaan ishq main dil jaaN jism hartay hain

Barbaad jab karay dil kay sub nagar nagar ishq
Jo dil kay meer thay ab damaan pasaartay hain.






Farhan
Handsome
-
-
Posts: 143
Joined: Mon Jul 11, 2005 2:29 am
Location: Multan
Contact:

Post by Handsome »

WOw nice sharing jee
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

WOw nice sharing jee
thank u handsome ji.

farhan
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: TARAHI GHAZAL BY FARHAN

Post by Shummu »

wah aap ki tarahi ghazal yahan dekh kar behad khushi ho rahi hai farhan...achchi koshish ki hai aapne...daad pesh hai lekin abhi bayaan ko mazeed saaf karne ki zaroorat hai..ummeed hai Abdullah Nazir sahab aap ki madad farmaayenge :-)



zor-e-qalam aur ziyaada,
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

HI

SHUMMU JI

aap ka jawab paRd kar behad khushi hui. aap kay comments bhi pasand aayea. Inshallah koshish jari rahay gi.aap say dua kay darkhast kay saath


Farhan
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

achchi kaavish hei

Post by Abdullah Nazir »


Janab
Farhan Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal aek Taweel tabSireh kii muHtaaj hei lekin maah-e-Ramadhan kii ziyaadah maSroofiyat kii vajah se maiN is qaabil nahiN hooN keh apni tafseeli aaraa pesh karsakuN.

Baharhaal aapki kaavish qaabil-e-daad o teHseen hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: achchi kaavish hei

Post by farhan »

WEBMASTER wrote:
Janab
Farhan Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal aek Taweel tabSireh kii muHtaaj hei lekin maah-e-Ramadhan kii ziyaadah maSroofiyat kii vajah se maiN is qaabil nahiN hooN keh apni tafseeli aaraa pesh karsakuN.

Baharhaal aapki kaavish qaabil-e-daad o teHseen hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


JANAB NAZIR SAHEB

aap ka jawab abhi abhi paRha.bahut achcha laga. waisay main aap kay tafseeli tabsaray ka muntazir rahoonga. main jaanta hoon ki ramzanul mubarak main KSA main job timings tabseel hojatay hain. aur thakaan bahut hojati hai. waisay zimnan main yeh batadooN ki main bhi Jeddah main hi rahta hoon.ummid karta hoon ki aap say mulaqaat ka koi mouka miljayaga.

daad ka s hukriya. INSHALLAH aap say mulaqaat phir hogi.

duavoon ki guzarish kay saath.

Farhan

farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

sara_j wrote:farhan sahib,

adaab arz hai.

mujhe behad khushi hui ek aap bhi is baar diye gaye tarhee misre
per taba azmaayi aur mushaire mein shirket kiye.

aainda bhi umeed hai ke hissa lete rahenge.

aapke khayalat ache hain bas ustadji ki rehnumayi se
bohat kuch seekh jayenge.

mohtaram abdullah nazir sahib aur sarwar sahib ke mazameen is link per zaroor parhiyega fayeda hoga.

http://urdubandhan.com/index1a.htm#mazameen

akhir mein meri taraf se ghazal per daad qubool keejiye.

mukhlis

sara

SARA JI

aap nay yeh ghazal paRhi aur apni raye say nawaza, bahut bahut shukriya. aap nay sahi kaha, "ustadji ki rehnumayi se
bohat kuch seekh jayenge.
per koi ustaad ji milay tab na. hum becharoon ko koun poochta hai.waisay aap say darkhast hai aap hi agar meri ustani banjayeeN to kaisa rahayga. :grin:

inshallah main abhi visit kartahoon gayegay link per.thankx for providing this info.

daad kayliya bhaut hi mamnoon hoon. duvaooN main yaad rakhiyaga.

Farhan
Post Reply