Tum meray baad

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Tum meray baad

Post by zmufti »

Ahl-e-bazm
aadaab
apni aik adna si kawish pesh kar rahi hoN aap ki aara ka intizaar rahey ga
regards
zmufti

Image

1. ham bichar jaain kabhi to hamieN socha karna
hasraton se dar-o-deewar ko dekha karna

2. yaad jab aaoN to milne mujhe aaya karna
meri turbat ko gulaabon se sajaaya karna

3. zehr tanhaaii ka ashkoN meiN youN ghola karna
tum miri yaad mein chup chup ke bhi roya karna

4. shikva karna na kisi aur se uljhaa karna
tum mire baad faqat khud se hi rootha karna

5. tum sitaaroN meiN falak ke hamieN dhoonda karna
aur kabhi chaandni raaton mein na soya karna

6. bewafaai ki kabhi mujh pe na tohmat dharna
jo bhi kehti rahe dunya nahin parwaa karna

7. ab na karna koi daava-e-mohabbat hargiz
Phir nah is tarha kissi aur ko ruswa karna
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

khoob

Post by Mahtab Qadr »

Zarqa sahiba
salaam
aapki asarangaiz ghazal parhi , bahut takleefda ehsasaat ko aapne sher ki surat mai dhaala hai. bahut khoob. baaz tekneeki bateiN qabile ghaur haiN ksi ustaad se nazr e saani karwa leiN to ghazal ka rang aur nikhar aayega.
shukria
Mahtab Qadr
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mahtaab saheb agar aap khud hi nishandahi kar daitey to acha thaa
aur agar mehfil maiN koi aur bhee nishandahi karey to mera bhala ho jaye ga
regards
zmufti
Post Reply