Tarahi Ghazal: Abdulqayyum Sahil, Jeddah

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
abdulqayyum sahil
-
-
Posts: 20
Joined: Mon Jan 03, 2005 1:30 am
Location: jeddah
Contact:

Tarahi Ghazal: Abdulqayyum Sahil, Jeddah

Post by abdulqayyum sahil »

[
Muhtaramaat o MuHtarameen,

Adaab o Tasleemaat,

Urdubandhan kii Guzarish No.1 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aapki giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA milega. Shukriyah.

GHAZAL

1)retiy-e-Husn meiN micaal nah hou
yooN koii paikar-e-jamaal nah hou
2)dam nikal jaye kunj-e-khalwat meiN
munkashif us pah apnaa haal nah hou
3)us prinde kii samt kyaa dekhaiN
jou hamaare liye halaal nah hou
4)ham nah deN khoon-e-dil agar apnaa
rang phoolaoN kaa itnaa laal nah hou
5)guftagu meiN mazah nahiN aataa
if koii apnaa ham-khayaal nah hou
6)sab yaqeenan hameeN se poochenge
"tum se shayad koii sawaal nah hou"
7)qatra-e-khooN badan meiN hei jab tak
aabroo koiee paa'imaal nah hou
8)khudkushi per koii kamar baandhe
zindagi isqadar muHaal nah hou
9)jis taraf bhii maiN dekhooN gulshan meiN
khaali phoolaoN se koii Daal nah hou
10)phir khushi kaa zamaanah aayegaa
shiddat-e-ranj se niDhaal nah hou
11)Dekh lo aaj khoob jii bhar ke
kyaa khabr phir kabhi visaal nah hou
12)sheesha-e-dil bhii touRde zaalim
aur us per zaraa malaal nah hou
13)Us ko khafgi nah kahiye aiy :Sahil:
tamtamaakar jou surkh gaal nah hou.
----------
End.

Khair Andesh,
Sahil,
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

moHtarami A.SaaHil SaaHib,

mashaa Allah aap ne khoob koshish ki hai, hameN jee jaan se pasand aaye !! :D . aap to mashaa Allah jab bhi khaama-farsaaii karte haiN , khoob karte haiN !! . DheeroN daad qabool kejeye . shukriya

mokhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

1)retiy-e-Husn meiN micaal nah hou
yooN koii paikar-e-jamaal nah hou

2)dam nikal jaye kunj-e-khalwat meiN
munkashif us pah apnaa haal nah hou

khoob!

3)us prinde kii samt kyaa dekhaiN
jou hamaare liye halaal nah hou


hahahaha



4)ham nah deN khoon-e-dil agar apnaa
rang phoolaoN kaa itnaa laal nah hou


waah kayaa baat hai :)


5)guftagu meiN mazah nahiN aataa
if koii apnaa ham-khayaal nah hou


iF ??? yeh tau angrezi kaa hai naa ghaaliban aap gar kehnaa chaah rehay thay. bahar Haal bohat a'Alaa mazmoon baandha hai.

6)sab yaqeenan hameeN se poochenge
"tum se shayad koii sawaal nah hou"


wah khoob girah lagaaee hai moHteram


7)qatra-e-khooN badan meiN hei jab tak
aabroo koiee paa'imaal nah hou


aA''alaa...

8)khudkushi per koii kamar baandhe
zindagi isqadar muHaal nah hou


color=brown]wah :D [/color]

9)jis taraf bhii maiN dekhooN gulshan meiN
khaali phoolaoN se koii Daal nah hou


achaa hai

10)phir khushi kaa zamaanah aayegaa
shiddat-e-ranj se niDhaal nah hou


zabaerdast!!!


11)Dekh lo aaj khoob jii bhar ke
kyaa khabr phir kabhi visaal nah hou


:( udaas magar jhoob

12)sheesha-e-dil bhii touRde zaalim
aur us per zaraa malaal nah hou


khoob ast!!!

13)Us ko khafgi nah kahiye aiy :Sahil:
tamtamaakar jou surkh gaal nah hou.


aik shaandaar ghazal per mubarikbaad qbul kereiN
wassalam
live and let live

Image
Post Reply