Assalam-o-alaikum
kuch arsa qabl Josh Malihabadi saHib ki zameen meiN aik ghazal likhi thi, aap sab ki aala basaaratoN aur intiqaad-o-aiHtisaab ki nazr kar rahaa hooN :
rastay jo munsalik the mire koo-e-yaar se
ab tak aTey hue haiN voh dil ke ghubaar se
maaloom ye hua hai mujhe hijr-e-yaar se
koi sazaa nahiN hai baRee intizaar se
maana visaal shauq ki manzil ka hai naqeeb
phir bhi khayaal-e-yaar ghaneemat hai yaar se
andoh-e-aashiqee ne bahot kuch dia hameN
kuch kam nahiN milaa hai gham-e-rozgaar se
kis kis ko le rahaa hai ye apni panaah mein
pooche to koi is dil-e-jaageer daar se
kuch dostoN ko taaqat-e-goyaaee kia milii
dil daagh daagh kar gaye lafzoN ke vaar se
kuch log jab gaye miree mehfil ko choR ker
mujh ko lagaa ke patte gire shaakhsaar se
is aashiqee mein Haal miraa ye hua ke log
pehchaante haiN pairahan-e-taar taar se
kyuN guftgoo se aaj bahot jhaR rahe haiN phool
shaayad Tehel ke aaye haiN voh laala zaar se
ahl-e-chaman ki shaan-e-nazaakat hai kia nabeel
"uRti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se "
shukria
Amjad
"urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
"urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Last edited by Ibn-e-siddique on Mon Nov 28, 2005 5:30 am, edited 1 time in total.
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Re: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Adaab, Amjad Sahib!
Naqeeb means what? Something like naqaab? :? Aur wese mujhe ye sher samajh nahiN aaya. Bhala yaar se zyada khyaal-e-yaar ghaneemat kyooN lagta hay aap ko?
Kuch aashiqi ne bhi hameN ruswa kia bohot
Aur dukh bhi bohot mile heN Ghum-e-rozgaar se
I wonder why u changed it? I liked the old one. May be your new version's 2nd misra is not that clear.
Takraar-e-lafzi se sher ka lutf dobala ho gaya.
Lekin ab naya pairhan silwa lijiye, rasm-e-dunya bhi hay, moqa bhi hay aur , dastoor bhi hay.
Kafi tareef ho gayi, nahiN??? ya ab ye bhi kahooN k ghazal bohot pasand aayi? Chaliye keh hi deti huN, akhir murawwat bhi koi cheez hay na.
Seriously, no jokes. You always write very well.
Raste bhi sanwar jayeNge, inshaAllah. Matla bohot pasand aaya.rastay jo munsalik the mire koo-e-yaar se
ab tak aTey hue haiN voh dil ke ghubaar se
Well said. Very nice sher. ChaleN koi to mera hum'khyaal shaks mila jise meri tarah intezaar pasand nahiN. Jaane kaun log hote heN jo kehte heN k intizaar meiN maza hay. Hum to kehte heN, intizaar jaan'leva hay.maaloom ye hua hai mujhe hijr-e-yaar se
koi sazaa nahiN haiN baRee intizaar se
maana visaal shauq ki manzil ka hai naqeeb
phir bhi khayaal-e-yaar ghaneemat hai yaar se
Naqeeb means what? Something like naqaab? :? Aur wese mujhe ye sher samajh nahiN aaya. Bhala yaar se zyada khyaal-e-yaar ghaneemat kyooN lagta hay aap ko?
Hmm i remember, is sher ki asl soorat ye thi,andoh-e-aashiqee ne bahot kuch dia hameN
kuch kam nahiN milaa hai gham-e-rozgaar se
Kuch aashiqi ne bhi hameN ruswa kia bohot
Aur dukh bhi bohot mile heN Ghum-e-rozgaar se
I wonder why u changed it? I liked the old one. May be your new version's 2nd misra is not that clear.
Waah waah, "dil-e-jageerdaar" ki tarkeeb bohot khoob lagi. 8)kis kis ko le rahaa hai ye apni panaah mein
pooche to koi is dil-e-jaageer daar se
Bohot khoob. Aap ko goonge dost banane chahye they na.kuch dostoN ko taaqat-e-goyaaee kia milii
dil daagh daagh kar gaye lafzoN ke vaar se
Takraar-e-lafzi se sher ka lutf dobala ho gaya.
Oho kaun log heN woh? zara hum bhi to suneN.kuch log jab gaye miree mehfil ko choR ker
mujh ko lagaa ke patte gire shaakhsaar se
So sad.is aashiqee mein Haal miraa ye hua ke log
pehchaante haiN pairahan-e-taar taar se
Lekin ab naya pairhan silwa lijiye, rasm-e-dunya bhi hay, moqa bhi hay aur , dastoor bhi hay.
HeN? Zyada sawaal jawab na kijiye, phooloN k sath kaaNte bhi to hote heN, kahiN kuch der meiN un k jhaRne ki baari na aa jaye. Wese aap un k Tehelne ki adat kum karwayye, agar woh kitchen meiN zyada Tehelna shru ho gaye to phir choolhe ki tarah tapish ugalne lageNge.kyuN guftgoo se aaj bahot jhaR rahe haiN phool
shaayad Tehel ke aaye haiN voh laala zaar se
Waah waah aap tazmeen k ashaar hamesha hi bohot Khoob likhte heN. Go k aadha credit to misra-e-tarah ke khaaliq ko jana chahye, lekin jaane kya baat hay k har baar aisa lagta hay k is misre ke sath misra joR kar aap ne isey Khoobsoorat bana dia hay.ahl-e-chaman ki shaan-e-nazaakat hai kia nabeel
"uRti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se "
Kafi tareef ho gayi, nahiN??? ya ab ye bhi kahooN k ghazal bohot pasand aayi? Chaliye keh hi deti huN, akhir murawwat bhi koi cheez hay na.
Seriously, no jokes. You always write very well.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
Re: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
va'aadaab Anmol saHiba :)Anmol wrote: Adaab, Amjad Sahib!
pasandeedgi ke liye shukria :)
Raste bhi sanwar jayeNge, inshaAllah. Matla bohot pasand aaya.
jee jee bilkul intizaar to bahot takleef deh hota hai, ab dekhiye na mujhe apni salary ka poore maheene intizaar karna paRta hai :x , tab jaa ker kahin milti haiWell said. Very nice sher. ChaleN koi to mera hum'khyaal shaks mila jise meri tarah intezaar pasand nahiN. Jaane kaun log hote heN jo kehte heN k intizaar meiN maza hay. Hum to kehte heN, intizaar jaan'leva hay.
mazaaq bar.taraf she'r ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria
naqeed ke maa'ni haiN, khabar dene vaala, ya pata dene vaala. visaal se ishq ki manzil ka ta'iyyun hota hai, aisa mera khayaal hai jise maine she'r mein baandha , aur meHboob ka khayaal meHboob se zyaada acha hota hai, kyunke khayaal meiN meHboob jhagRaa nahin karta, gila shikva nahin karta , naak mein dam nahin karta ;)Naqeeb means what? Something like naqaab? :? Aur wese mujhe ye sher samajh nahiN aaya. Bhala yaar se zyada khyaal-e-yaar ghaneemat kyooN lagta hay aap ko?
dar.asl pehle yehi she'r tha jo aap ne quote kia, magar phir maine socha ke gham-e-rozgaar bhi gham hai, aur dukh bhi gham ko hi kehte hain, to gham se gham milna kia baat hui ? is liye khud hi doosri soorat likh di. agar aap ko pehli soorat zyaada pasand hai to use hi rehne deta hoon.Hmm i remember, is sher ki asl soorat ye thi,
Kuch aashiqi ne bhi hameN ruswa kia bohot
Aur dukh bhi bohot mile heN Ghum-e-rozgaar se
I wonder why u changed it? I liked the old one. May be your new version's 2nd misra is not that clear.
jee bahot shukria,
Waah waah, "dil-e-jageerdaar" ki tarkeeb bohot khoob lagi. 8)
goonge be.shak na hoN, magar zabaan bhi to bahot zyaada na chalaaiN na ;), vaise Allah ka shukr hai ke mere dost aise nahiN haiN, ye to aik kaifiyat hai jise bayaan kia hai.Bohot khoob. Aap ko goonge dost banane chahye they na.
Takraar-e-lafzi se sher ka lutf dobala ho gaya.
ye she'r hamaari bazm-e-urdu qatar choRne vaalon ke liye kahaa hai :POho kaun log heN woh? zara hum bhi to suneN.
jee jee zaroor inshallahSo sad.
Lekin ab naya pairhan silwa lijiye, rasm-e-dunya bhi hay, moqa bhi hay aur , dastoor bhi hay.
kitchen mein be.shak Tehel lia kareN, atleast khaana banaane se meri jaan to chooT jaaye gi , vaise bhi mujhe cooking aati hi kahaaN haiHeN? Zyada sawaal jawab na kijiye, phooloN k sath kaaNte bhi to hote heN, kahiN kuch der meiN un k jhaRne ki baari na aa jaye. Wese aap un k Tehelne ki adat kum karwayye, agar woh kitchen meiN zyada Tehelna shru ho gaye to phir choolhe ki tarah tapish ugalne lageNge.
tazmeen ke she'r ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria. aur us se bhi zyaada shukria is qadar khoobsurat aur pur.lutf tabsira karne ke liye jis ne hameN bahot meHzooz kia :)Waah waah aap tazmeen k ashaar hamesha hi bohot Khoob likhte heN. Go k aadha credit to misra-e-tarah ke khaaliq ko jana chahye, lekin jaane kya baat hay k har baar aisa lagta hay k is misre ke sath misra joR kar aap ne isey Khoobsoorat bana dia hay.
Kafi tareef ho gayi, nahiN??? ya ab ye bhi kahooN k ghazal bohot pasand aayi? Chaliye keh hi deti huN, akhir murawwat bhi koi cheez hay na.
Seriously, no jokes. You always write very well.
aap ka bahot bahot shukria, sadaa khush raheN
amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact:
sara saHiba
salaam arz hai
aap ne jis taraH her she'r ko daad-o-teHseen se navaaza hai, maiN aap ka bahot bahot mamnoon hooN
ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria
sadaa khush raheN :)
amjad
salaam arz hai
aap ne jis taraH her she'r ko daad-o-teHseen se navaaza hai, maiN aap ka bahot bahot mamnoon hooN
ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria
sadaa khush raheN :)
amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
Re: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
salaam janaab Amjad saahab,Ibn-e-siddique wrote:Assalam-o-alaikum
kuch arsa qabl Josh Malihabadi saHib ki zameen meiN aik ghazal likhi thi, aap sab ki aala basaaratoN aur intiqaad-o-aiHtisaab ki nazr kar rahaa hooN :
rastay jo munsalik the mire koo-e-yaar se
ab tak aTey hue haiN voh dil ke ghubaar se
maaloom ye hua hai mujhe hijr-e-yaar se
koi sazaa nahiN haiN baRee intizaar se
maana visaal shauq ki manzil ka hai naqeeb
phir bhi khayaal-e-yaar ghaneemat hai yaar se
andoh-e-aashiqee ne bahot kuch dia hameN
kuch kam nahiN milaa hai gham-e-rozgaar se
kis kis ko le rahaa hai ye apni panaah mein
pooche to koi is dil-e-jaageer daar se
kuch dostoN ko taaqat-e-goyaaee kia milii
dil daagh daagh kar gaye lafzoN ke vaar se
kuch log jab gaye miree mehfil ko choR ker
mujh ko lagaa ke patte gire shaakhsaar se
is aashiqee mein Haal miraa ye hua ke log
pehchaante haiN pairahan-e-taar taar se
kyuN guftgoo se aaj bahot jhaR rahe haiN phool
shaayad Tehel ke aaye haiN voh laala zaar se
ahl-e-chaman ki shaan-e-nazaakat hai kia nabeel
"uRti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se "
shukria
Amjad
aik taveel arse ke ba'd aap kee takhliq ko paRhne kaa moqa' milaa hai aur yaqeen kijiye ke be.had khushee huyee.
mashaa'allah aap ne tau kamaal kar dikhaayaa hai
daad qubool kijiye!
2nd she'r ke 2nd misre' meN shaayad aap se typo ho gayee hai aur aap ne "hai ko haiN" type kar diyaa hai, ise daikh lijiye!
mukhliS
Naheed
-
- -
- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
- Contact: