Assalam Alekum! :D
Un-suni meri daastaaN :Anmol:
un-kaha mera mud'da'aa baaqi
:rose
Look who is here
Re: Look who is here
zahe naSeeb, zahe naSeeb !! yeh aaj soraj kahaaN se tulu'a howaa ! . chaar so ujaale hi ujaale haiN, fazaa to jaise khushbooN maiN dhul gayee ho, kalyouN ko jaise muskuraanaa aagayaa ho, pholoN maiN jaise sangeet ki meHfil sajee ho , aur hawaa ki taal pe rangoN ka dil-kash raqs jaari ho, chamakte , damakte , baa-waqqar soraj ki khush-numaa kirneN jaise zarre zarre par apna naqash-e-daai'mee cabt kar_rahi hoN .Anmol wrote:Assalam Alekum! :D
Un-suni meri daastaaN :Anmol:
un-kaha mera mud'da'aa baaqi
:rose
palaT k dekha to Anmol SaaHiba jalwa-afroz haiN , aur fitrat ki ye saari jalva-reziyaaN jaise us ki aamad par jashn manaarahi hoN.
kyoN na Ahl-e-meHfil ! ham bhi is jashn maiN shareek hojaayeN ?? aur Anmol SaaHiba ka waalihaana isteqbaal kareN ? 8) .
haaN to Anmol SaaHiba , ham aap ko is meHfil maiN , tah-e-dil se khuish-aamadeed kehte haiN, aur umeed rakte haiN k aap k mubaarak qadam hamesha is meHfil par apne nuqooSh choReNge !! :D . tashreef-aavari ka shukriya.
mokhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
arey wah baDi der kar di mehrbaaN aate aate...so glad to see u..bahut achcha kiya jo tum bhi aa gayi....ANMOL a very warm welcome to u :D
Aati rehna ok!ye phool tumhaare liye..
shumaila
Aati rehna ok!ye phool tumhaare liye..
shumaila
- Attachments
-
- basket.gif (18.68 KiB) Viewed 639 times
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Naveed_Ahmad_Naveed
- -
- Posts: 68
- Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
- Location: Pakistan
- Contact:
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Look who is here
Walaikum Salaam
vo aaye bazm mai itnaa to meer ne dekhaa
phir us ke baad charaghoN mai raoshni na rahi
KHUSHAAMDEED
Mahtab Qadr
vo aaye bazm mai itnaa to meer ne dekhaa
phir us ke baad charaghoN mai raoshni na rahi
KHUSHAAMDEED
Mahtab Qadr
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
[rainbow][h2]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/b][/h2][/rainbow]mujhe pata hai kaun aayaa hai hamaarii maGfil meN 32 chaand lagaane...koii aur nahiiN bas hamaarii haldi_azeez [har dil 'zeez] [rainbow][h2]ANMOL RATAN[/rainbow][/h2] aayii haiN hamaare beech.
zahe naseeb...aji hameN iimaan se baRii masarrat ho rahii hai tumheN dekh kar ANNO. ummeed hai ki tum yahaN bhi apne jauhar dikhaaogii aur hameN apne tumhaarii taab_naakii se maHzooz hona ka mauq'a milega.
aane kaa shukria. ab zara jaldi se do ek kalaam apnaa pesh karo...ham hama-tyan Khargosh haiN sunne ke liye.
faqat tumhaaraa vohii daireena saathii [buDDha nahiiN, BTW!],
MM