Look who is here

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Look who is here

Post by Anmol »

Assalam Alekum! :D

Un-suni meri daastaaN :Anmol:
un-kaha mera mud'da'aa baaqi

:rose
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Look who is here

Post by Star Mind »

Anmol wrote:Assalam Alekum! :D

Un-suni meri daastaaN :Anmol:
un-kaha mera mud'da'aa baaqi

:rose
zahe naSeeb, zahe naSeeb !! yeh aaj soraj kahaaN se tulu'a howaa ! :shock: . chaar so ujaale hi ujaale haiN, fazaa to jaise khushbooN maiN dhul gayee ho, kalyouN ko jaise muskuraanaa aagayaa ho, pholoN maiN jaise sangeet ki meHfil sajee ho , aur hawaa ki taal pe rangoN ka dil-kash raqs jaari ho, chamakte , damakte , baa-waqqar soraj ki khush-numaa kirneN jaise zarre zarre par apna naqash-e-daai'mee cabt kar_rahi hoN :shock: .

palaT k dekha to Anmol SaaHiba jalwa-afroz haiN , aur fitrat ki ye saari jalva-reziyaaN jaise us ki aamad par jashn manaarahi hoN.
kyoN na Ahl-e-meHfil ! ham bhi is jashn maiN shareek hojaayeN ?? aur Anmol SaaHiba ka waalihaana isteqbaal kareN ? 8) .

haaN to Anmol SaaHiba , ham aap ko is meHfil maiN , tah-e-dil se khuish-aamadeed kehte haiN, aur umeed rakte haiN k aap k mubaarak qadam hamesha is meHfil par apne nuqooSh choReNge !! :D . tashreef-aavari ka shukriya.

mokhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

arey wah baDi der kar di mehrbaaN aate aate...so glad to see u..bahut achcha kiya jo tum bhi aa gayi....ANMOL a very warm welcome to u :D

Aati rehna ok!ye phool tumhaare liye..

shumaila
Attachments
basket.gif
basket.gif (18.68 KiB) Viewed 573 times

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Naveed_Ahmad_Naveed
-
-
Posts: 68
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
Location: Pakistan
Contact:

Post by Naveed_Ahmad_Naveed »

wa/slaam Anmol saaHiba.

aap ka dil ki gehraioN se is mehfil meiN khair maqdam hai. :) umeed hai aap aapni takhliqaat se mehfil ko sajati raheiNgi.

Naveed.
Naveed.
User avatar
Amoodi
-
-
Posts: 91
Joined: Fri Jan 28, 2005 9:42 am
Contact:

Post by Amoodi »

Khushamdeed @ Urdubandhan.
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Look who is here

Post by Mahtab Qadr »

Walaikum Salaam

vo aaye bazm mai itnaa to meer ne dekhaa
phir us ke baad charaghoN mai raoshni na rahi

KHUSHAAMDEED
Mahtab Qadr
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

[rainbow][h2]Khush-aamded/Welcome/Shubh-aagaman
[/b][/h2][/rainbow]

mujhe pata hai kaun aayaa hai hamaarii maGfil meN 32 chaand lagaane...koii aur nahiiN bas hamaarii haldi_azeez [har dil 'zeez] [rainbow][h2]ANMOL RATAN[/rainbow][/h2] aayii haiN hamaare beech.

zahe naseeb...aji hameN iimaan se baRii masarrat ho rahii hai tumheN dekh kar ANNO. ummeed hai ki tum yahaN bhi apne jauhar dikhaaogii aur hameN apne tumhaarii taab_naakii se maHzooz hona ka mauq'a milega.

aane kaa shukria. ab zara jaldi se do ek kalaam apnaa pesh karo...ham hama-tyan Khargosh haiN sunne ke liye.

faqat tumhaaraa vohii daireena saathii [buDDha nahiiN, BTW!],

MM
Image
Post Reply