salaamun alaikum
dosto,
arz kiya hai
"ek din zamee.n pe"
ek din zamee.n pe khuld se phenka gaya hame.n
auqaat apni kya hai bataya gaya hame.n
jo kuch bhi chahte the woh milta tha muft mei.n
anmol ne^amato.n se hataaya gaya hame.n
ek lamhe ki khata ki saza humko yu.n mili
dukh dard ke makaan mei.n bheja gaya hame.n
naadim hua jo dil yeh hamara khata ke baad
rahmat ki baarisho.n se bhigoya gaya hame.n
ammara nafs ke kabhie shaitaa.n rajeem ke
do dushmano.n ke beech mei.n daala gaya hame.n
in dushmano.n se har ghadi ladne ke waaste
panja namaaz padhna sikhaya gaya hame.n
eemaan aur nek amal se baqa mile
paigham yeh khuda ka sunaya gaya hame.n
haamid karoge fikr to miljaayega jawaab
kiswaaste jahaan mei.n bheja gaya hame.n
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"ek din zamee.n pe"hamaari aik ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"ek din zamee.n pe"hamaari aik ghazal
Last edited by haamidbaaqri on Sun Dec 11, 2005 6:04 am, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
mohtaram ehsaas saahibehsaas wrote:Haamid sahib
aap ki ghazal pasand ayee, accha likhtay hein aap .dua hay keh aur bhi accha likhein.ghazal share kernay ka shukria
wassalam
salaamun alaikum
aapne hamaari ghazal ko pasand kiya,saraaha aur daad bhi dee iskeliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
khair andesh
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- rahmed25682
- -
- Posts: 126
- Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
- Location: Karachi
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami
[/u]Haamid Baaqri SaaHib,[/u]
PurkhulooS tasleemaat,
Aapkke apne andaaz meiN likhkhaa houaa yeh kalaam bahut khoob hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumrahmed25682 wrote:Salam HAAMID sahab ...
Aik achhy aur sachai se muzayyan ghazal share karnay ka bay-hadd shukriya ...
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
mohtaram r ahmed saahib
bahut bahut shukriya duao.n ke liye.
aap bhi hamesha khush rahe.n .jazakallah
talibe dua
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
[/u]Haamid Baaqri SaaHib,[/u]
PurkhulooS tasleemaat,
Aapkke apne andaaz meiN likhkhaa houaa yeh kalaam bahut khoob hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
bahut bahut shukriya mohtaram.aapki purkhuloos daad hamare liye sanad hai.aapki dilee mubaarakbaad ke bhi hum behad shukrguzaar hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye aameen.
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa