Salaam waise to is silsile ko SYED BILAL ARMAN sahab aaGe baRhaate the magar kayi din se woh aaye nahi bamz meiN isliye aaj unki jagah main is silsile ko aaGe baRhate hue naya lafz de rahi hoon jo ThoRa haT ke hai..."ZEVER" (jewellery) ..Ummeed hai aap sab baRh chaRh ke is meiN hissa lenge...SHUKRIYA!
Abdul Hameed Adam ji nay farmayaa hai keh..
muskurahaT hai husn kaa zevar
ruup ba.Dhataa hai muskuraayaa karo
Lafz par ashaar#25-- Zevar
Lafz par ashaar#25-- Zevar
Last edited by Shummu on Wed Feb 01, 2006 11:39 am, edited 1 time in total.
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
sevar
zevar-e-Husn hei kyaa aankh churaanaa tera
looT loonga maiN tujhe aankh to lag jaaye tiri.
Nazir.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
zevar
uski nigaah-e-luTf ke zevar ko dekhkar
khud ko sanbhaalnaa bhi ab aasaaN nahiN rahaa
Nazir.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
zevar
Apni naachaar muHabbat kaa bharam rakhne ko
Kaash ban jaauN maiN khud tere gale kaa zevar.
Naszie.