salaamun alaikum
dosto
aap sabko eid mubarak ho
aapke diye hue misre per ek adna see kaavish
gar qubool uftad zahe......
"shaatir shaitaan"
shaatiraanaH chaal se shaitaa.n hame.n behkaaye hai
jab talak insaa.n na behke chaiyn woh kab paaye hai
aadmi ghaflat mei.n hota hai magar shaitaa.n nahi.n
mouqa^ milne per yeH gahri khaayee mei.n pahu.nchaaye hai
nekiyaa.n hum karna chaahe.nge to rokega nahi.n
jaldi kya hai b^aad mei.n karlena yeh samjhaaye hai
iske behkaave mei.n jo aajaaye sunlo dosto
jaa.nkani ke waqt beshak woH bahut pachtaaye hai
nekiyaa.n gar kar bhi lega aadmi to phir osay
hum se accha kaun hai ke jaal mei.n phanswaaye hai
bach nikalta hai jab insaa.n is gunaH se bhi agar
tab riyaakari ke sh^olo.n mei.n osay jhulsaaye hai
dil mei.n ghar karle kisee ke yeH riyaakaari agar
"haai kya kahiye keH dil ke saath kya kya jaaye hai"
isse bachna hai to haamid maang lo rab ki panaaH
bas isee hathyaar se shaitaan ko maut aaye hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
guz#13 ke misre per nazm by haamidbaaqri
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
guz#13 ke misre per nazm by haamidbaaqri
Last edited by haamidbaaqri on Tue Jan 17, 2006 12:23 pm, edited 1 time in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: bahut khoob kyaa nazm hei waah waah
salaamun alaikumdunya wrote:
Janab Haamid Baaqri sahib,
tasleemat,
tarahi misrea per aapki nazm bahut hi khoob hei. meri dili daad aur mubarakbad qubool farmayiye.
khair andesh,
Duny DeHlawi,
mohtarama duny dehlawi saahebah
bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumRAUSHNEE wrote:Bohat ala Hameed Sahab...
Bohat he khoobsorat Kalaam pesh keeya aap nay.....
Daad qubool keejyee
Maushairay ko aj kal issi kism k kalaam ki sakhat zarorat hai
RAUSHNEE
mohtarama raoshni sahebah
hausla afzaayee aur aapki khoobsoorat daadke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, kyaa kehne
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki nazm beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MulaaHizaat
shaatiraanaH chaal se shaitaa.n hame.n behkaaye hai
jab talak insaa.n na behke chaiyn woh na paaye hai
MaTlaA khoob hei. Doosre miSreA meiN "nah" ko "naa" ke vazn per isteAmaal karne kii micaaleN isqadar shaaz o naadir heiN ke gurez karnaa chaahie. (miSreA ko yooN kerleejiye: "jab talak insaaN nah behke chain wo kab paayhe hei" yaa jaise bhii aap munaasib samjheN.
aadmi ghaflat mei.n hota hai magar shaitaa.n nahi.n
mouqa^ milne per yeH gahri khaayee mei.n pahu.nchaaye hai
Jee bahut khoob.
nekiyaa.n hum karna chaahe.nge to rokega nahi.n
jaldi kya hai b^aad mei.n karlena yeh samjhaaye hai
yeh bhi bahut achchaa sheAr hei. aap ne shaiTaan ki khoob khinchaayi kii hei.
iske behkaave mei.n jo aajaaye sunlo dosto
jaa.nkani ke waqt beshak woH bahut pachtaaye hai
bilkul saHeeH farmaayaa aap ne. YooN tou her waqt hii pachtaataa hei lekin jaaNkani ke waqt bahut pachtaataa hei.
nekiyaa.n gar kar bhi lega aadmi to phir osay
hum se accha kaun hai ke jaal mei.n phanswaaye hai
is sheAr meiN "ham se achchaa kaun hei" kii ibaarat kaa zaahiri Taur per aadmi se taAlluq paidaa karnaa mushkil hei lekin mafhoom ke liHaaz se baat samajh meiN aajaati hei keh shaiTaan aadmi ko takabbur ke jaal meiN phansaata hei. waah.
bach nikalta hai jab insaa.n is gunaH se bhi agar
tab riyaakari ke sh^olo.n mei.n osay jhulsaaye hai
jee achchaa sheAr hei.
dil mei.n ghar karle kisee ke yeH riyaakaari agar
"haai kya kahiye keH dil ke saath kya kya jaaye hai"
jee haaN riyaakaari agar dil meiN ghar karle tou insaan Haq o BaaTil ke darmiyaaN farq nahiN kar saktaa aur us kii kitni hii doosri achchaayiaaN houN koi vazn nahiN rakhteeN aur naaqaabil-e-eAtibaar houjaati heiN.. Bahut khoob.
isse bachna hai to haamid maang lo rab ki panaaH
bas isee hathyaar se shaitaan ko maut aaye hai
Jee HaaN Haamid SaaHib aap ne sach farmaayaa ke allah se panaah maangnaa hi aek aisa vaseelah hei jo hameN shaiTan ke kaid o makr se bachaataa hei. Waah waah.
Aapke andaaz meiN kahi houi yeh nazm bahut achchi hei jiske liye maiN dobaarah aapko daad o teHseen pesh kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob, kyaa kehne
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
Aapki nazm beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
bahut bahut shukriya jazakallah
MulaaHizaat
shaatiraanaH chaal se shaitaa.n hame.n behkaaye hai
jab talak insaa.n na behke chaiyn woh kab paaye hai
MaTlaA khoob hei. Doosre miSreA meiN "nah" ko "naa" ke vazn per isteAmaal karne kii micaaleN isqadar shaaz o naadir heiN ke gurez karnaa chaahie. (miSreA ko yooN kerleejiye: "jab talak insaaN nah behke chain wo kab paayhe hei" yaa jaise bhii aap munaasib samjheN.
leejiye durust kardiya.allah(sbhnwt)aapko jazaaye khair de.aameen
aadmi ghaflat mei.n hota hai magar shaitaa.n nahi.n
mouqa^ milne per yeH gahri khaayee mei.n pahu.nchaaye hai
Jee bahut khoob.
shukriya
nekiyaa.n hum karna chaahe.nge to rokega nahi.n
jaldi kya hai b^aad mei.n karlena yeh samjhaaye hai
yeh bhi bahut achchaa sheAr hei. aap ne shaiTaan ki khoob khinchaayi kii hei.
shukriya. uski khinchaayee to hame.n musalsal karni padegee warna wo hame.n khainch dega
iske behkaave mei.n jo aajaaye sunlo dosto
jaa.nkani ke waqt beshak woH bahut pachtaaye hai
bilkul saHeeH farmaayaa aap ne. YooN tou her waqt hii pachtaataa hei lekin jaaNkani ke waqt bahut pachtaataa hei.
yahi qaule ahmede mursal(s.a.w.) hai.dua hai keh hamaare saath aisa na ho.aameen
nekiyaa.n gar kar bhi lega aadmi to phir osay
hum se accha kaun hai ke jaal mei.n phanswaaye hai
is sheAr meiN "ham se achchaa kaun hei" kii ibaarat kaa zaahiri Taur per aadmi se taAlluq paidaa karnaa mushkil hei lekin mafhoom ke liHaaz se baat samajh meiN aajaati hei keh shaiTaan aadmi ko takabbur ke jaal meiN phansaata hei. waah.
hame.n khushee hai keh hamaari mehnat kaamiyaab huee.
bach nikalta hai jab insaa.n is gunaH se bhi agar
tab riyaakari ke sh^olo.n mei.n osay jhulsaaye hai
jee achchaa sheAr hei.
shukriya.mohtaram
dil mei.n ghar karle kisee ke yeH riyaakaari agar
"haai kya kahiye keH dil ke saath kya kya jaaye hai"
jee haaN riyaakaari agar dil meiN ghar karle tou insaan Haq o BaaTil ke darmiyaaN farq nahiN kar saktaa aur us kii kitni hii doosri achchaayiaaN houN koi vazn nahiN rakhteeN aur naaqaabil-e-eAtibaar houjaati heiN.. Bahut khoob.
shukriya.is gunaH se allah(sbhnwt)har insaan ko mahfooz rakkhe.aameen
isse bachna hai to haamid maang lo rab ki panaaH
bas isee hathyaar se shaitaan ko maut aaye hai
Jee HaaN Haamid SaaHib aap ne sach farmaayaa ke allah se panaah maangnaa hi aek aisa vaseelah hei jo hameN shaiTan ke kaid o makr se bachaataa hei. Waah waah.
shukriya.
Aapke andaaz meiN kahi houi yeh nazm bahut achchi hei jiske liye maiN dobaarah aapko daad o teHseen pesh kartaa hooN.
aik baar phir hamaari adna see kaavish per ^aarifaana tabsarey keliye hum aapke behad shukrguzaar hai.n.
allah(sbhnwt)aapke taufeeqaat mei.n mazeed ezaafa farmaaye aur aapko salaamat rakkhe.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Aapka MukhliS,
Nazir.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: guz#13 ke misre per nazm by haamidbaaqri
salaamun alaikumsara_j wrote:hamid sahib
adaab arz hei.
aapki ghazal bohat apsand aayi.......aapka aek alag andaz hai
jo mujhe bohat pasand aata hai...aek sabaq aur yaad dehani hoti hai jo waqai humein nahi bhoolna chaahiye.
itni umda kavish per daad qubool keejiye
sara
haamidbaaqri wrote:"shaatir shaitaan"
shaatiraanaH chaal se shaitaa.n hame.n behkaaye hai
jab talak insaa.n na behke chaiyn woh kab paaye hai
aadmi ghaflat mei.n hota hai magar shaitaa.n nahi.n
mouqa^ milne per yeH gahri khaayee mei.n pahu.nchaaye hai
nekiyaa.n hum karna chaahe.nge to rokega nahi.n
jaldi kya hai b^aad mei.n karlena yeh samjhaaye hai
iske behkaave mei.n jo aajaaye sunlo dosto
jaa.nkani ke waqt beshak woH bahut pachtaaye hai
nekiyaa.n gar kar bhi lega aadmi to phir osay
hum se accha kaun hai ke jaal mei.n phanswaaye hai
bach nikalta hai jab insaa.n is gunaH se bhi agar
tab riyaakari ke sh^olo.n mei.n osay jhulsaaye hai
dil mei.n ghar karle kisee ke yeH riyaakaari agar
"haai kya kahiye keH dil ke saath kya kya jaaye hai"
isse bachna hai to haamid maang lo rab ki panaaH
bas isee hathyaar se shaitaan ko maut aaye hai
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mohtaramah sara saahebah
aapki pukhuloos daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
aaiye hum dua kare.n keh allah(sbhnwt) har insaan ko is shaitaan ke shar se mahfooz rakkhe.aameen
jazakallah